Titus 2
2
1Lekin tú wuh báteṉ bayán kar, jo sahíh taʻlím ke munásib haiṉ; 2yaʻní yih kí búṛhe mard parhezgár, sanjída, aur muttaqí hoṉ, aur un ká ímán, aur mahabbat, aur sabr sahíh ho. 3Isí tarah búṛhí ʻauratoṉ kí bhí wazaʻ muqaddasoṉ kí sí ho; tuhmat lagánewálí, aur ziyáda mai píne meṉ mubtalá na hoṉ, balki achchhí báteṉ sikhánewálí hoṉ; 4táki jawán ʻauratoṉ ko sikháeṉ, ki apne shauharoṉ ko piyár kareṉ, bachchoṉ ko piyár kareṉ, 5aur muttaqí, aur pákdáman, aur ghar ká kárbár karnewálí aur mihrbán hoṉ, aur apne apne shauharoṉ ke tábiʻ raheṉ, táki Ḳhudá ká kalám badnám na ho. 6Jawán ádmíoṉ ko bhí isí tarah nasíhat kar, ki muttaqí baneṉ. 7Sárí bátoṉ meṉ apne áp ko nek kámoṉ ká namúna baná. Terí taʻlím meṉ safáí, aur sanjídagí, 8aur aisí sihhatkalámí páí jáe, jo malámat ke láiq na ho; táki muḳhálif ham par ʻaib lagáne kí koí wajh na pákar sharminda ho jáe. 9Naukaroṉ ko nasíhat kar, ki apne málikoṉ ke tábiʻ raheṉ, aur sab bátoṉ meṉ unheṉ ḳhush rakkheṉ; aur un ke hukm se kuchh inkár na kareṉ; 10chorí chálákí na kareṉ; balki har tarah kí diyánatdárí achchhí tarah záhir kareṉ; táki un se har bát meṉ hamáre Munjí Ḳhudá kí taʻlím ko raunaq ho. 11Kyúṉki Ḳhudá ká wuh fazl záhir húá hai, jo sáre ádmíoṉ kí naját ká báʻis hai, 12aur hameṉ tarbiyat detá hai, táki bedíní aur dunyawí ḳhwáhishoṉ ká inkár karke, is maujúda jahán meṉ parhezgárí, aur rástbází, aur díndárí ke sáth zindagí guzáreṉ; 13aur us mubárak ummed, yaʻní apne buzurg Ḳhudá aur Munjí Yisúʻ Masíh ke jalál ke záhir hone ke muntazir raheṉ; 14jis ne apne áp ko hamáre wáste de diyá, táki fidya hokar hameṉ har tarah kí bedíní se chhuṛá le, aur pák karke apní ḳháss milkíyat ke liye ek aisí ummat banáe, jo nek kámoṉ meṉ sargarm ho.
15Púre iḳhtiyár ke sáth yih báteṉ kah, aur nasíhat de, aur malámat kar. Koí terí haqárat na karne páe.
Currently Selected:
Titus 2: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)