Titus 1
1
1Paulus kí taraf se, jo Ḳhudá ká banda aur Yisúʻ Masíh ká rasúl hai, (Ḳhudá ke barguzídoṉ ke ímán, aur us haqq kí pahchán ke mutábiq, jo díndárí ke muwáfiq hai, 2us hamesha kí zindagí kí ummed par, jis ká waʻda azal se Ḳhudá ne kiyá hai, jo jhúṭh nahíṉ bol saktá, 3aur us ne munásib waqtoṉ par apne kalám ko us paigám meṉ záhir kiyá, jo hamáre Munjí Ḳhudá ke hukm ke mutábiq mere supurd húá,) 4ímán kí shirkat ke rú se sachche farzand Titus ke nám. Fazl aur itmínán Ḳhudá Báp aur hamáre Munjí Masíh Yisúʻ kí taraf se tujhe hásil hotá rahe.
5Maiṉ ne tujhe Krete meṉ is liye chhoṛá thá, ki tú báqí rahí húí bátoṉ ko durust kare; aur mere hukm ke mutábiq shahr ba shahr aise buzurgoṉ ko muqarrar kare, 6jo beilzám, aur ek ek bíwí ke shauhar hoṉ, aur un ke bachche ímándár, aur badchalní aur sarkashí ke ilzám se pák hoṉ; 7kyúṉki nigahbán ko Ḳhudá ká muḳhtár hone kí wajh se beilzám honá cháhiye; na ḳhudráe ho, na gussawar; na nashe meṉ gul machánewálá, na már píṭ karnewálá; aur na nájáiz nafaʻ ká lálchí; 8balki musáfirparwar, ḳhairdost, muttaqí, munsifmizáj, pák, aur zabt karnewalá ho; 9aur ímán ke kalám par, jo is taʻlím ke muwáfiq hai, qáim ho, táki sahíh taʻlím ke sáth nasíhat bhí kar sake, aur muḳhálifoṉ ko qáil bhí kar sake.
10Kyúṉki bahut se log sarkash, aur behúdago, aur dagábáz haiṉ, ḳhásskar maḳhtúnoṉ meṉ se; 11in ká muṉh band karná cháhiye; yih log nájáiz nafaʻ kí ḳhátir násháista báteṉ sikhákar ghar ke ghar tabáh kar dete haiṉ. 12Un hí meṉ se ek shaḳhs ne kahá hai, jo ḳháss un ká nabí thá, ki Kretí hamesha jhúṭhe, múzí jánwar, ahadí kháú hote haiṉ. 13Yih gawáhí sach hai; pas unheṉ saḳht malámat kiyá kar, táki un ká ímán durust ho jáe, 14aur wuh Yahúdíoṉ kí kahániyoṉ aur un ádmíoṉ ke hukmoṉ par tawajjuh na kareṉ, jo haqq se gumráh hote haiṉ. 15Pák logoṉ ke liye sab chízeṉ pák haiṉ; magar gunáhálúda aur beímán logoṉ ke líye kuchh bhí pák nahíṉ balki un kí ʻaql aur dil donoṉ gunáhálúda haiṉ. 16Wuh Ḳhudá kí pahchán ká daʻwá to karte haiṉ, magar apne kámoṉ se us ká inkár karte haiṉ, kyúṉki wuh makrúh aur náfarmán haiṉ, aur kisí nek kám ke qábil nahíṉ.
Currently Selected:
Titus 1: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)