YouVersion Logo
Search Icon

2 Tímuthiyus 4

4
1Ḳhudá aur Masíh Yisúʻ ko jo zindoṉ aur murdoṉ kí ʻadálat karegá, gawáh karke, aur us ke zuhúr aur bádsháhat ko yád dilákar maiṉ tujhe tákíd kartá húṉ, 2ki tú kalám kí manádí kar; waqt aur bewaqt mustaʻidd rah; har tarah ke tahammul aur taʻlím ke sáth samjhá de, aur malámat aur nasíhat kar. 3Kyúṉki aisá waqt áegá, ki log sahíh taʻlím kí bardásht na kareṉge, balki kánoṉ kí khujlí ke báʻis apní apní ḳhwáhishoṉ ke muwáfiq bahut se ustád kar leṉge; 4aur apne kánoṉ ko haqq kí taraf se pherkar, kahániyoṉ par mutawajjih hoṉge. 5Magar tú sárí bátoṉ meṉ hoshyár rah; dukh uṭhá; bashárat ká kam anjám de; apní ḳhidmat ko púrá kar. 6Kyúṉki maiṉ ab qurbán ho rahá húṉ, aur mere kúch ká waqt á pahuṉchá hai. 7Maiṉ achchhí kushtí laṛ chuká, maiṉ ne dauṛ ko ḳhatm kar liyá, maiṉ ne ímán ko mahfúz rakkhá. 8Áyanda ke liye mere wáste rástbází ká wuh táj rakkhá húá hai, jo ʻádil munsif, yaʻní Ḳhudáwand, mujhe us din degá; aur sirf mujhe hí nahíṉ, balki un sab ko bhí, jo us ke zuhúr ke árzúmand hoṉ.
9Mere pás jald áne kí koshish kar: 10kyúṉki Demás ne is maujúda jahán ko pasand karke mujhe chhoṛ diyá, aur Thissaluníke ko chalá gayá, aur Kreskens Galatiya ko, aur Titus Dalmatiya ko. 11Sirf Lúqá mere pás hai. Marqus ko sáth lekar á já; kyúṉki ḳhidmat ke liye wuh mere kám ká hai. 12Tuḳhikus ko maiṉ ne Ifisus bhej diyá hai. 13Jo choga maiṉ Troás meṉ Karpus ke háṉ chhoṛ áyá húṉ, jab tú áe, to wuh, aur kitábeṉ, ḳhásskar raqq#4:13 raqq Lafz warraq is mádá se nikla hay. Is ki jama ruqooq hay. Ba máni janwar ki khal ya jhilli se bana hua warraq ke túmár, letá áiyo. 14Sikandar ṭhaṭhere#4:14 ṭhaṭhere Peetal, kansi ya taṉbe ke bartan banane aur bechne wálá. ne mujh se bahut buráiyáṉ kíṉ: Ḳhudáwand use us ke kámoṉ ke muwáfiq badla degá. 15Us se tú bhí ḳhabardár rah: kyúṉki us ne hamárí bátoṉ kí baṛí muḳhálafat kí. 16Merí pahlí jawábdihí ke waqt kisí ne merá sáth na diyá, balki sab ne mujhe chhoṛ diyá: kásh ki unheṉ is ká hisáb dena na paṛe. 17Magar Ḳhudáwand merá madadgár thá, aur us ne mujhe táqat baḳhshí, táki merí maʻrifat paigám kí púrí manádí ho jáe, aur sab gairqaumeṉ sun leṉ; aur maiṉ sher ke muṉh se chhuṛáyá gayá. 18Ḳhudáwand mujhe har ek bure kám se chhuṛáegá, aur apní ásmání bádsháhat meṉ sahíh salámat pahuṉchá degá; us kí tamjíd abaduʼl ábád hotí rahe. Ámín.
19Priska aur Akwila se, aur Unesifurus ke ḳhándán se salám kah. 20Irástus Kurínthus meṉ rahá; aur Trufimus ko maiṉ ne Míletus meṉ bímár chhoṛá. 21Jáṛoṉ se pahle mere pás á jáne kí koshish kar. Yúbúlus, aur Púdens, aur Línus, aur Klaudiya, aur âur sáre bháí tujhe salám kahte haiṉ.
22Ḳhudáwand terí rúh ke sáth rahe. Tum par fazl hotá rahe.

Currently Selected:

2 Tímuthiyus 4: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in