2 Tímuthiyus 3
3
1Lekin yih ján rakh, ki aḳhír zamáne meṉ bure din áeṉge. 2Kyúṉki ádmí ḳhudgaraz, zardost, sheḳhíbáz, magrúr, badgo, máṉ báp ke náfarmán, náshukr, nápák, 3tabaʻí mahabbat se ḳhálí, saṉgdil, tuhmat lagánewále, bezabt, tundmi-záj, nekí ke dushman, 4dagábáz, ḍhíṭh, ghamanḍ karnewále, Ḳhudá kí nisbat ʻaish o ʻishrat ko ziyáda dost rakhnewále hoṉge; 5wuh díndárí kí wazaʻ to rakkheṉge, magar us ke asar ko qubúl na kareṉge; aisoṉ se bhí kanára karná. 6In hí meṉ se wuh log haiṉ, jo gharoṉ meṉ dabe páṉw ghus áte haiṉ, aur un chhachhorí ʻauratoṉ ko qábú meṉ kar lete haiṉ, jo gunáhoṉ meṉ dabí húí haiṉ, aur tarah tarah kí ḳhwáhishoṉ ke bas meṉ haiṉ; 7aur hamesha taʻlím pátí rahtí haiṉ, magar haqq kí pahchán tak kabhí nahíṉ pahuṉchtíṉ. 8Aur jis tarah ki Yannes aur Yambres ne Músá kí muḳhálafat kí thí, isí tarah yih log bhí haqq kí muḳhálafat karte haiṉ. Yih aise ádmí haiṉ, jin kí ʻaql bigṛí húí hai, aur wuh ímán ke iʻtibár se námaqbúl haiṉ. 9Magar is se ziyáda na baṛh sakeṉge, is wáste ki in kí nádání sab ádmíoṉ par záhir ho jáegí, jaise un kí bhí ho gayí thí. 10Lekin tú ne taʻlím, chál chalan, iráde, ímán, tahammul, mahabbat, sabr, satáe jáne, aur dukh uṭháne meṉ merí pairawí kí: 11yaʻní aise dukhoṉ meṉ, jo Antákiya aur Ikuniyum aur Lustra meṉ mujh par paṛe, aur âur dukhoṉ meṉ bhí jo maiṉ ne uṭháe haiṉ, magar Ḳhudáwand ne mujhe un sab se chhuṛá liyá. 12Balki jitne Masíh Yisúʻ meṉ díndárí ke sáth zindagí guzárná cháhte haiṉ, wuh sab satáe jáeṉge. 13Aur bure aur dhokebáz ádmí fareb dete aur fareb kháte húe bigaṛte chale jáeṉge. 14Magar tú un bátoṉ par jo tú ne síkhí thíṉ, aur jin ká yaqín tujhe diláyá gayá thá, yih jánkar qáim rah, ki tú ne unheṉ kin logoṉ se síkhá thá; 15aur tú bachpan se un pák nawishtoṉ se wáqif hai, jo tujhe Masíh Yisúʻ par ímán láne se naját hásil karne ke liye dánáí baḳhsh sakte haiṉ. 16Har ek sahífa jo Ḳhudá ke ilhám se hai, taʻlím, aur ilzám, aur isláh, aur rástbází meṉ tarbiyat karne ke liye fáidamand bhí hai; 17táki mard i Ḳhudá kámil bane, aur har ek nek kám ke liye biʼlkull taiyár ho jáe.
Currently Selected:
2 Tímuthiyus 3: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)