Lekin yih ján rakh, ki aḳhír zamáne meṉ bure din áeṉge. Kyúṉki ádmí ḳhudgaraz, zardost, sheḳhíbáz, magrúr, badgo, máṉ báp ke náfarmán, náshukr, nápák, tabaʻí mahabbat se ḳhálí, saṉgdil, tuhmat lagánewále, bezabt, tundmi-záj, nekí ke dushman, dagábáz, ḍhíṭh, ghamanḍ karnewále, Ḳhudá kí nisbat ʻaish o ʻishrat ko ziyáda dost rakhnewále hoṉge; wuh díndárí kí wazaʻ to rakkheṉge, magar us ke asar ko qubúl na kareṉge; aisoṉ se bhí kanára karná.