Titus 3
3
1Un ko yád dilá, ki hákimoṉ aur iḳhtiyárwáloṉ ke tábiʻ raheṉ, aur un ká hukm máneṉ; aur har nek kám ke liye mustaʻidd raheṉ; 2kisí kí badgoí na kareṉ; takrárí na hoṉ; balki narmmizáj hoṉ, aur sab ádmíoṉ ke sáth kamál halímí se pesh áeṉ. 3Kyúṉki ham bhí pahle nádán, náfarmán, fareb khánewále, aur rang ba rang kí ḳhwáhishoṉ, aur ʻaish ʻishrat ke bande the; aur badḳhwáhí aur hasad meṉ zindagí guzárte the; nafrat ke láiq the, aur ápas meṉ kína rakhte the. 4Magar jab hamáre Munjí Ḳhudá kí mihrbání, aur insán ke sath us kí ulfat záhir húí; 5to us ne ham ko naját dí, magar rástbází ke kámoṉ ke sabab nahíṉ, jo ham ne ḳhud kiye, balki apní rahmat ke mutábiq nayí paidáish ke gusl aur Rúhuʼl Quds ke hameṉ nayá banáne ke wasíle se, 6jise us ne hamáre Munjí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat ham par ifrát se názil kiyá; 7táki ham us ke fazl se rástbáz ṭhahrkar, hamesha kí zindagí kí ummed ke mutábiq wáris baneṉ. 8Yih bát sach hai, aur maiṉ cháhtá húṉ, ki tú in bátoṉ ká yaqíní taur se daʻwá kare; táki jinhoṉ ne Ḳhudá ká yaqín kiyá hai, wuh achchhe kámoṉ meṉ lage rahne ká ḳhayál rakkheṉ. Yíh báteṉ bhalí aur ádmíoṉ ke wáste fáidamand haiṉ. 9Magar bewuqúfí kí hujjatoṉ, aur nasabnámoṉ, aur jhagṛoṉ, aur un laṛáiyoṉ se jo sharíʻat kí bábat hoṉ, parhez kar, is liye ki yih láhásil aur befáida haiṉ. 10Ek do bár nasíhat karke bidʻatí shakhs se kanára kar, 11yih jánkar ki aisá shaḳhs bargashta ho gayá hai, aur apné áp ko mujrim ṭhahrákar gunáh kartá rahtá hai.
12Jab maiṉ tere pás Artimás yá Tuḳhikus ko bhejúṉ, to mere pás Níkupulis áne kí koshish karná: kyúṉki maiṉ ne wahíṉ jáṛá káṭne ká qasd kár liyá hai. 13Zenás ʻálim i sharaʻ aur Apullos ko koshish karke rawána kar de, is taur par ki un ko kisí chíz kí hájat na rahe; 14aur hamáre log bhí zarúratoṉ ko rafaʻ karne ke liye achchhe kámoṉ meṉ lage rahná síkheṉ, táki bephal na raheṉ.
15Mere sab sáthí tujhe salám kahte haiṉ. Jo ímán ke rú se hameṉ ʻazíz rakhte haiṉ, un se salám kah.
Tum sab par fazl hotá rahe.
Currently Selected:
Titus 3: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)