Magar jab hamáre Munjí Ḳhudá kí mihrbání, aur insán ke sath us kí ulfat záhir húí; to us ne ham ko naját dí, magar rástbází ke kámoṉ ke sabab nahíṉ, jo ham ne ḳhud kiye, balki apní rahmat ke mutábiq nayí paidáish ke gusl aur Rúhuʼl Quds ke hameṉ nayá banáne ke wasíle se, jise us ne hamáre Munjí Yisúʻ Masíh kí maʻrífat ham par ifrát se názil kiyá; táki ham us ke fazl se rástbáz ṭhahrkar, hamesha kí zindagí kí ummed ke mutábiq wáris baneṉ.