1
Titus 2:11-12
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Kyúṉki Ḳhudá ká wuh fazl záhir húá hai, jo sáre ádmíoṉ kí naját ká báʻis hai, aur hameṉ tarbiyat detá hai, táki bedíní aur dunyawí ḳhwáhishoṉ ká inkár karke, is maujúda jahán meṉ parhezgárí, aur rástbází, aur díndárí ke sáth zindagí guzáreṉ
Compare
Explore Titus 2:11-12
2
Titus 2:13-14
aur us mubárak ummed, yaʻní apne buzurg Ḳhudá aur Munjí Yisúʻ Masíh ke jalál ke záhir hone ke muntazir raheṉ; jis ne apne áp ko hamáre wáste de diyá, táki fidya hokar hameṉ har tarah kí bedíní se chhuṛá le, aur pák karke apní ḳháss milkíyat ke liye ek aisí ummat banáe, jo nek kámoṉ meṉ sargarm ho.
Explore Titus 2:13-14
3
Titus 2:7-8
Sárí bátoṉ meṉ apne áp ko nek kámoṉ ká namúna baná. Terí taʻlím meṉ safáí, aur sanjídagí, aur aisí sihhatkalámí páí jáe, jo malámat ke láiq na ho; táki muḳhálif ham par ʻaib lagáne kí koí wajh na pákar sharminda ho jáe.
Explore Titus 2:7-8
Home
Bible
Plans
Videos