YouVersion Logo
Search Icon

Romíoṉ 7

7
1Ai bháiyo, kyá tum nahíṉ jánte, (maiṉ un se kahtá húṉ jo sharíʻat se wáqif haiṉ,) ki jab tak ádmí jítá hai, usí waqt tak sharíʻat us par iḳhtiyár rakhtí hai? 2Chunáṉchi jis ʻaurat ká shauhar maujúd hai, wuh sharíʻat ke muwáfiq apne shauhar kí zindagí tak us ke band meṉ hai; lekin agar shauhar mar gayá, to wuh shauhar kí sharíʻat se chhúṭ gayí. 3Pas agar shauhar ke jíte jí dúsre mard kí ho jáe, to zániya kahláegí; lekin agar shauhar mar jáe, to wuh us sharíʻat se ázád hai, yaháṉ tak kí agar dúsre mard kí ho bhí jáe, to zániya na ṭhahregí. 4Pas ai mere bháiyo, tum bhí Masíh ke badan ke wasíle se sharíʻat ke iʻtibár se is liye murda ban gaye, ki us dúsre ke ho jáo, jo murdoṉ meṉ se jiláyá gayá, táki ham sab Ḳhudá ke liye phal paidá kareṉ. 5Kyúṉki jab ham jismání the, to gunáh kí ragbateṉ, jo sharíʻat ke báʻis paidá hotí thíṉ, maut ká phal paidá karne ke liye hamáre aʻzá meṉ tásír kartí thíṉ. 6Lekin jis chíz kí qaid meṉ the, us ke iʻtibár se markar, ab ham sharíʻat se aise chhúṭ gaye, ki rúh ke naye taur par, na ki lafzoṉ ke puráne taur par, ḳhidmat karte haiṉ.
7Pas ham kyá kaheṉ? Kyá sharíʻat gunáh hai? Hargiz nahíṉ! Balkí bagair sharíʻat ke maiṉ gunáh ko na pahchántá; masalan, agar sharíʻat yih na kahtí, ki Tú lálach na kar, to maiṉ lálach ko na jántá: 8magar gunáh ne mauqaʻ pákar, hukm ke zaríʻe se mujh meṉ har tarah ká lálach paidá kar díyá: kyúṉki sharíʻat ke bagair gunáh murda hai. 9Ek zamáne meṉ shariʻat ke bagair maiṉ zinda thá; magar jab hukm áyá, to gunáh zinda ho gayá, aur maiṉ mar gayá; 10aur jis hukm ká manshá zindagí thá, wuhí mere haqq meṉ maut ká báʻis ban gayá: 11kyúṉki gunáh ne mauqaʻ pákar, hukm ke zaríʻe se mujhe bahkáyá, aur usí ke zaríʻe se mujhe már bhí ḍálá. 12Pas sharíʻat pák hai, aur hukm bhí pák, aur rást, aur achchhá hai. 13Pas jo chíz achchhí hai, kyá wuh mere liye maut ṭhahrí? Hargiz nahíṉ! Balki gunáh ne, achchhí chíz ke zaríʻe se mere liye maut paidá karke, mujhe már ḍálá; táki us ká gunáh honá záhir ho, aur hukm ke zaríʻe se gunáh hadd se ziyáda makrúh maʻlúm ho. 14Kyúṉki ham jánte haiṉ ki sharíʻat to rúhání hai, magar maiṉ jismání, aur gunáh ke háth biká húá húṉ. 15Aur jo maiṉ kartá húṉ us ko nahíṉ jántá; kyúṉki jis ká maiṉ iráda kartá húṉ, wuh nahíṉ kartá, balki jis se mujh ko nafrat hai, wuhí kartá húṉ. 16Aur agar maiṉ us par ʻamal kartá húṉ, jis ká iráda nahíṉ kartá, to maiṉ mántá húṉ ki sharíʻat ḳhúb hai. 17Pas is súrat meṉ us ká karnewálá maiṉ na rahá, balki gunáh hai jo mujh meṉ basá húá hai. 18Kyúṉki maiṉ jántá húṉ ki mujh meṉ, yaʻní mere jism meṉ, koí nekí basí húí nahíṉ: albatta iráda to mujh meṉ maujúd hai, magar nek kám mujh se ban nahíṉ paṛte. 19Chunáṉchi jis nekí ká iráda kartá húṉ, wuh to nahíṉ kartá: magar jis badí ká iráda nahíṉ kartá, use kar letá húṉ. 20Pas agar maiṉ wuh kartá húṉ jis ká iráda nahíṉ kartá, to us ká karnewálá maiṉ na rahá, balki gunáh hai jo mujh meṉ basá húá hai. 21G̣araz maiṉ aisí sharíʻat pátá húṉ, ki jab nekí ká iráda kartá húṉ, to badí mere pás á maujúd hotí hai. 22Kyúṉki bátiní insáníyat ke rú se to maiṉ Ḳhudá kí sharíʻat ko bahut pasand kartá húṉ: 23ma gar mujhe apne aʻzá meṉ ek âur tarah kí sharíʻat nazar átí hai, jo merí ʻaql kí sharíʻat se laṛkar, mujhe us gunáh kí sharíʻat kí qaid meṉ le átí hai, jo mere aʻzá meṉ maujúd hai. 24Háe, maiṉ kaisá kambaḳht ádmi húṉ! is maut ke badan se mujhe kaun chhuṛáegá? 25Apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se Ḳhudá ká shukr kartá húṉ. G̣araz maiṉ ḳhud apní ʻaql se to Ḳhudá kí sharíʻat ká, magar jism se gunáh kí sharíʻat ká mahkúm húṉ.

Currently Selected:

Romíoṉ 7: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in