Romíoṉ 8
8
1Pas ab, jo Masíh Yisúʻ meṉ haiṉ, un par sazá ká hukm nahíṉ. 2Kyúṉki zindagí kí Rúh kí sharíʻat ne, Masíh Yisúʻ meṉ, mujhe gunáh aur maut kí shariʻat se ázád kar diyá. 3Is liye ki jo kám shariʻat, jism ke sabab kamzor hokar, na kar sakí, wuh Ḳhudá ne kiyá; yaʻní us ne apne Beṭe ko gunáhálúda jism kí súrat meṉ aur gunáh kí qurbání ke liye bhejkar, jism meṉ gunáh kí sazá ká hukm diyá: 4táki sharíʻat ká taqázá ham meṉ púrá ho, jo jism ke mutábiq nahíṉ, balki rúh ke mutábiq chalte haiṉ. 5Kyúṉki jo jismání haiṉ, wuh jismání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ; lekin jo rúhání haiṉ, wuh rúhání bátoṉ ke ḳhayál meṉ rahte haiṉ. 6Aur jismání níyat maut hai; magar rúhání níyat zindagí aur itmínán hai: 7is liye ki jismání níyat Ḳhudá kí dushmaní hai; kyúṉki na to Ḳhudá kí sharíʻat ke tábiʻ hai, na ho saktí hai: 8aur jo jismání haiṉ, wuh Ḳhudá ko ḳhush nahíṉ kar sakte. 9Lekin tum jismání nahíṉ, balki rúhání ho, basharte ki Ḳhudá kí Rúh tum meṉ basí húí hai. Magar jis meṉ Masíh kí Rúh nahíṉ, wuh us ká nahíṉ. 10Aur agar Masíh tum meṉ hai, to badan to gunáh ke sabab se murda hai; magar rúh rástbází ke sabab se zinda hai. 11Aur agar usí kí Rúh tum meṉ basí húí hai, jis ne Yisúʻ ko murdoṉ meṉ se jiláyá, to jis ne Masíh Yisúʻ ko murdoṉ meṉ se jiláyá, wuh tumháre fání badanoṉ ko bhí apní us Rúh ke wasíle se zinda karegá, jo tum meṉ basí húí hai.
12Pas, ai bháiyo, ham qarzdár to haiṉ, magar jism ke nahíṉ, ki jism ke mutábiq zindagí guzáreṉ. 13Kyúṉki agar tum jism ke mutábiq zindagí guzároge, to zarúr maroge. Aur agar rúh se badan ke kámoṉ ko nest o nábúd karoge, to jíte rahoge. 14Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ. 15Kyúṉki tum ko gulámí kí rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí rúh milí, jis se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ. 16Rúh ḳhud hamárí rúh ke sáth milkar gawáhí detí hai, ki ham Ḳhudá ke farzand haiṉ. 17Aur agar farzand haiṉ, to wáris bhí haiṉ; yaʻní Ḳhudá ke wáris, aur Masíh ke hammírás; basharte ki ham us ke sáth dukh uṭháeṉ, táki us ke sáth jalál bhí páeṉ.
18Kyúṉki merí dánist meṉ is zamáne ke dukh dard is láiq nahíṉ, ki us jalál ke muqábil ho sakeṉ, jo ham par záhir honewálá hai. 19Kyúṉki maḳhlúqát kamál árzú se Ḳhudá ke beṭoṉ ke záhir hone kí ráh dekhtí hai. 20Is liye ki maḳhlúqát batálat ke iḳhtiyár meṉ kar dí gayí thí, na apní ḳhushí se, balki us ke báʻis se, jis ne us ko 21is ummed par batálat ke iḳhtiyár meṉ kar diyá, ki maḳhlúqát bhí faná ke qabze se chhúṭkar, Ḳhudá ke farzandoṉ ke jalál kí ázádí meṉ dáḳhil ho jáegí. 22Kyúṉki ham ko maʻlúm hai, ki sárí maḳhlúqát milkar ab tak karáhtí hai, aur dard i zih meṉ paṛí taṛaptí hai. 23Aur na faqat wuhí, balki ham bhí, jinheṉ Rúh ke pahle phal mile haiṉ, áp apne bátin meṉ karáhte haiṉ, aur lepálak hone, yaʻní apne badan kí maḳhlasí, kí ráh dekhte haiṉ. 24Chunáṉchi hameṉ ummed ke wasíle se naját milí; magar jis chíz kí ummed hai, jab wuh nazar á jáe, to phir ummed kaisí? kyúṉki jo chíz koí dekh rahá hai, us kí ummed kyá karegá? 25Lekin jis chíz ko nahíṉ dekhte, agar ham us kí ummed kareṉ, to sabr se us kí ráh dekhte haiṉ.
26Isí tarah Rúh bhí hamárí kamzorí meṉ madad kartí hai, kyúṉki jis taur se ham ko duʻá máṉgní cháhiye wuh nahíṉ átí; magar Rúh ḳhud aisí áheṉ bhar bharke hamárí shafáʻat kartí hai, jin ká bayán nahíṉ ho saktá. 27Aur diloṉ ká parakhnewálá jántá hai, ki Rúh kí kyá níyat hai: kyúṉki wuh Ḳhudá kí marzí ke muwáfiq muqaddasoṉ kí shafáʻat kartá hai. 28Aur ham ko maʻlúm hai, ki sab chízeṉ milkar Ḳhudá se mahabbat rakhnewáloṉ ke liye bhaláí paidá kartí haiṉ; yaʻní un ke liye, jo Ḳhudá ke iráde ke muwáfiq buláe gaye. 29Kyúṉki jinheṉ us ne pahle se jáná, unheṉ pahle se muqarrar bhí kiyá, ki us ke Beṭe ke hamshakl hoṉ, táki wuh bahut se bháiyoṉ meṉ pahlauṭhá ṭhahre: 30aur jin ko us ne pahle se muqarrar kiyá, unheṉ buláyá bhí: aur jinheṉ buláyá, un ko rástbáz bhí ṭhahráyá: aur jin ko rástbáz ṭhahráyá, un ko jalál bhí baḳhshá.
31Pas ham in bátoṉ kí bábat kyá kaheṉ? Agar Ḳhudá hamárí taraf hai, to kaun hamárá maḳhálif hai? 32Jis ne apne Beṭe hí ko dareg na kiyá, balki ham sab kí ḳhátir use hawále kar diyá, wuh us ke sáth âur sab chízeṉ bhí hameṉ kis tarah na baḳhshegá? 33Ḳhudá ke barguzídoṉ par kaun nálish karegá? Ḳhudá wuh hai jo un ko rástbáz ṭhahrátá hai; 34kaun hai jo mujrim ṭhahráegá? Masíh Yisúʻ wuh hai jo mar gayá, balki murdoṉ meṉ se jí bhí uṭhá, aur Ḳhudá kí dahiní taraf hai, aur hamárí shafáʻat bhí kartá hai. 35Kaun ham ko Masíh ki mahabbat se judá karegá? Musíbat, yá tangí, yá zulm, yá kál, yá naṉgápan, yá ḳhatra, yá talwár? 36Chunáṉchi likhá hai, ki
Ham terí ḳhátir din bhar ján se máre játe haiṉ;
Ham to zabh honewálí bheṛoṉ ke barábar gine gaye.
37Magar in sab hálatoṉ meṉ, us ke wasíle se jis ne ham se mahabbat kí, ham ko fath se bhí baṛhkar galaba hásil hotá hai. 38Kyúṉki mujh ko yaqín hai, ki Ḳhudá kí jo mahabbat hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hai, us se ham ko na maut judá kar sakegí, na zindagí, 39na firishte, na hukúmateṉ, na hál kí, na istiqbál kí chizeṉ, na qudrateṉ, na balandí, na pastí, na koí âur maḳhlúq.
Currently Selected:
Romíoṉ 8: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)