Romíoṉ 9
9
1Maiṉ Masíh meṉ sach kahtá húṉ, jhúṭh nahíṉ boltá, aur merá dil bhí Rúhuʼl Quds meṉ gawáhí detá hai, 2ki mujhe baṛá gam hai, aur merá dil barábar dukhtá rahtá hai. 3Kyúṉki mujhe yaháṉ tak manzúr hotá, ki apne bháiyoṉ kí ḳhátir, jo jism ke rú se mere qarábatí haiṉ, maiṉ ḳhud Masíh se mahrúm ho játá; 4wuh Isráílí haiṉ; aur lepálak hone ká haqq, aur jalál, aur ʻuhúd, aur sharíʻat, aur ʻibádat, aur waʻde unhíṉ ke haiṉ; 5aur qaum ke buzurg unhíṉ ke húe haiṉ, aur jism ke rú se Masíh bhí unhín meṉ se húá, jo sab ke úpar aur abad tak Ḳhudá e mahmúd hai. Ámín. 6Lekin yih bát nahíṉ, ki Ḳhudá ká kalám bátil ho gayá. Is liye ki jo Isráíl kí aulád haiṉ, wuh sab Isráílí nahíṉ. 7Aur na Ibráhím kí nasl hone ke sabab se sab farzand ṭhahre; balki yih likhá hai, ki Izháq hí se terí nasl kahláegí: 8yaʻní jismání farzand Ḳhudá ke farzand nahíṉ; balki waʻde ke farzand nasl gine játe haiṉ. 9Kyúṉki waʻde ká qaul yih hai, ki Maiṉ is waqt ke mutábiq áúṉgá, aur Sáráh ke beṭá hogá. 10Aur sirf yihí nahíṉ, balki Ribqáh bhí ek shaḳhs, yaʻní hamáre báp Izháq se hámila thí; 11aur abhí tak na to laṛke paidá húe the, aur na unhoṉ ne nekí yá badí kí thí; ki us se kahá gayá, ki Baṛá chhoṭe kí ḳhidmat karegá; 12tákí Ḳhudá ká iráda, jo barguzídagí par mauqúf hai, aʻmál par mabní na ṭhahre, balki bulánewále par. 13Chunáṉchi likhá hai, ki Maiṉ ne Yaʻqúb se to mahabbat kí, magar ʻEsau se nafrat.
14Pas ham kyá kaheṉ? Kyá Ḳhudá ke háṉ beinsáfí hai? Hargiz nahíṉ! 15Kyúṉki wuh Músá se kahtá hai, ki Jis par rahm karná manzúr hai, us par rahm karúṉgá; aur jis par tars kháná manzúr hai, us par tars kháúṉgá. 16Pas yih na iráda karnewále par munhasar hai, na dauṛ dhúp karnewále par, balki rahm karnewále Ḳhudá par. 17Kyúṉki kitáb i muqaddas meṉ Firʻaun se kahá gayá hai, ki Maiṉ ne isí liye tujhe khaṛá kiyá hai, ki terí wajh se apní qudrat záhir karúṉ, aur merá nám tamám rú e zamín par mashhúr ho. 18Pas wuh jis par cháhtá hai rahm kartá hai, aur jise cháhtá hai use saḳht kar detá hai.
19Pas tú mujh se kahegá, Phir wuh kyúṉ ʻaib lagátá hai? Kaun us ke iráde ká muqábala kartá hai? 20Ai insán, bhalá tú kaun hai, jo Ḳhudá ke sámne jawáb detá hai? Kyá baní húí chíz banánewále se kah saktí hai, ki Tú ne mujhe kyúṉ aisá banáyá? 21Kyá kumhár ko miṭṭí par iḳhtiyár nahíṉ, ki ek hí lauṉde meṉ se ek bartan ʻizzat ke liye banáe, aur dúsrá beʻizzatí ke liye? 22Pas kyá taʻajjub hai, agar Ḳhudá, apná gazab záhir karne, aur apní qudrat áshkárá karne ke iráde se, gazab ke bartanoṉ ke sáth, jo halákat ke liye taiyár húe the, niháyat tahammul se pesh áyá: 23aur yih is liye húá ki apne jalál kí daulat rahm ke bartanoṉ ke zaríʻe se áshkárá kare, jo us ne jalál ke liye pahle se taiyár kiye the, 24yaʻní hamáre zaríʻe se, jinheṉ us ne na faqat Yahúdíoṉ meṉ se, balki gairqaumoṉ meṉ se bhí buláyá. 25Chunáṉchi Hosheʻ kí kitáb meṉ bhí Ḳhudá yúṉ farmátá hai, ki
Jo merí mnrnat na thí, use apní ummat kahúṉgá;
Aur jo piyárí na thí, use piyárí kahúṉgá.
26Aur aisá hogá, ki jis jagah un se yih kahá gayá thá, ki Tum merí ummat nahíṉ ho,
Usí jagah wuh zinda Ḳhudá ke beṭe kahláeṉge.
27Aur Yashaʻyáh Isráíl kí bábat pukárkar kahtá hai, ki Go baní Isráíl ká shumár samundar kí ret ke barábar ho, táham un meṉ se thoṛe hí bacheṉge. 28Kyúṉki Ḳhudáwand apne kalám ko tamám aur munqataʻ karke us ke mutábiq zamín par ʻamal karegá. 29Chunáṉchi Yashaʻyáh ne pahle bhí kahá hai, ki
Agar Rabbuʼl afwáj hamárí kuchh nasl báqí na rakhtá,
To ham Sadom kí mánind, aur ʻAmoráh ke barábar ho játe.
30Pas ham kyá kaheṉ? Yih, ki gairqaumoṉ ne, jo rástbází kí talásh na kartí thíṉ, rástbází hásil kí, yaʻní wuh rástbází jo ímán se hai: 31magar Isráíl, jo rástbází kí sharíʻat kí talásh kartá thá, us sharíʻat tak na pahuṉchá. 32Kis liye? Is liye ki unhoṉ ne ímán se nahíṉ, balki goyá aʻmál se us kí talásh kí. Unhoṉ ne us ṭhokar kháne ke patthar se ṭhokar kháí; 33chunáṉchi likhá hai ki
Dekho, maiṉ Siyyon meṉ ṭhes lagne ká patthar, aur ṭhokar kháne kí chaṭán rakhtá húṉ;
Aur jo us par ímán láegá, wuh sharminda na hogá.
Currently Selected:
Romíoṉ 9: URDR55
Highlight
Share
Copy
![None](/_next/image?url=https%3A%2F%2Fimageproxy.youversionapi.com%2F58%2Fhttps%3A%2F%2Fweb-assets.youversion.com%2Fapp-icons%2Fen.png&w=128&q=75)
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)