1
Romíoṉ 7:25
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se Ḳhudá ká shukr kartá húṉ. G̣araz maiṉ ḳhud apní ʻaql se to Ḳhudá kí sharíʻat ká, magar jism se gunáh kí sharíʻat ká mahkúm húṉ.
Compare
Explore Romíoṉ 7:25
2
Romíoṉ 7:18
Kyúṉki maiṉ jántá húṉ ki mujh meṉ, yaʻní mere jism meṉ, koí nekí basí húí nahíṉ: albatta iráda to mujh meṉ maujúd hai, magar nek kám mujh se ban nahíṉ paṛte.
Explore Romíoṉ 7:18
3
Romíoṉ 7:19
Chunáṉchi jis nekí ká iráda kartá húṉ, wuh to nahíṉ kartá: magar jis badí ká iráda nahíṉ kartá, use kar letá húṉ.
Explore Romíoṉ 7:19
4
Romíoṉ 7:20
Pas agar maiṉ wuh kartá húṉ jis ká iráda nahíṉ kartá, to us ká karnewálá maiṉ na rahá, balki gunáh hai jo mujh meṉ basá húá hai.
Explore Romíoṉ 7:20
5
Romíoṉ 7:21-22
G̣araz maiṉ aisí sharíʻat pátá húṉ, ki jab nekí ká iráda kartá húṉ, to badí mere pás á maujúd hotí hai. Kyúṉki bátiní insáníyat ke rú se to maiṉ Ḳhudá kí sharíʻat ko bahut pasand kartá húṉ
Explore Romíoṉ 7:21-22
6
Romíoṉ 7:16
Aur agar maiṉ us par ʻamal kartá húṉ, jis ká iráda nahíṉ kartá, to maiṉ mántá húṉ ki sharíʻat ḳhúb hai.
Explore Romíoṉ 7:16
Home
Bible
Plans
Videos