1
Romíoṉ 6:23
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Kyúṉki gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.
Compare
Explore Romíoṉ 6:23
2
Romíoṉ 6:14
Is liye ki gunáh ká tum par iḳhtiyár na hogá, kyúṉki tum sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht ho.
Explore Romíoṉ 6:14
3
Romíoṉ 6:4
Pas maut meṉ shámil hone ke baptisma ke wasíle se ham us ke sáth dafn húe; táki jis tarah Masíh Báp ke jalál ke wasíle se murdoṉ meṉ se jiláyá gayá, usí tarah ham bhí nayí zindagí kí ráh chaleṉ.
Explore Romíoṉ 6:4
4
Romíoṉ 6:13
Aur apne aʻzá nárástí ke hathyár hone ke liye gunáh ke hawále na kiyá karo; balki apne áp ko murdoṉ meṉ se zinda jánkar Ḳhudá ke hawále karo, aur apne aʻzá rástbázi ke hathyár hone ke liye Ḳhudá ke hawále karo.
Explore Romíoṉ 6:13
5
Romíoṉ 6:6
Chunáṉchi ham jánte haiṉ, ki hamárí purání insáníyat us ke sáth is liye salíb dí gayí, ki gunáh ká badan bekár ho jáe, táki ham áge ko gunáh kí gulámí meṉ na raheṉ.
Explore Romíoṉ 6:6
6
Romíoṉ 6:11
Isí tarah tum bhí apne áp ko gunáh ke iʻtibár se murda, magar Ḳhudá ke iʻtibár se Masíh Yisúʻ meṉ zinda samjho.
Explore Romíoṉ 6:11
7
Romíoṉ 6:1-2
Pas ham kyá kaheṉ? Kyá gunáh karte raheṉ, táki fazl ziyáda ho? Hargiz nahíṉ! Ham jo gunáh ke iʻtibár se mar gaye, kyúṉkar us meṉ áyanda ko zindagí guzáreṉ?
Explore Romíoṉ 6:1-2
8
Romíoṉ 6:16
Kyá tum nahíṉ jánte, ki jis kí tábiʻdárí ke liye apne áp ko gulámoṉ kí tarah hawále kar dete ho, usí ke gulám ho, jis ke tábiʻdár ho; ḳhwáh gunáh ke, jis ká anjám maut hai; ḳhwáh tábiʻdárí ke, jis ká anjám rástbází hai.
Explore Romíoṉ 6:16
9
Romíoṉ 6:17-18
Lekín Ḳhudá ká shukr hai, ki agarchi tum gunáh ke gulám the, táham dil se us taʻlím ke tábiʻdár ho gaye, jis ke sáṉche meṉ tum ḍhále gaye the; aur gunáh se ázád hokar rástbází ke gulám ho gaye.
Explore Romíoṉ 6:17-18
Home
Bible
Plans
Videos