YouVersion Logo
Search Icon

Romíoṉ 6

6
1Pas ham kyá kaheṉ? Kyá gunáh karte raheṉ, táki fazl ziyáda ho? 2Hargiz nahíṉ! Ham jo gunáh ke iʻtibár se mar gaye, kyúṉkar us meṉ áyanda ko zindagí guzáreṉ? 3Kyá tum nahíṉ jánte, ki ham jitnoṉ ne Masíh Yisúʻ meṉ shámil hone ká baptisma liyá, to us kí maut meṉ shámil hone ká baptisma liyá? 4Pas maut meṉ shámil hone ke baptisma ke wasíle se ham us ke sáth dafn húe; táki jis tarah Masíh Báp ke jalál ke wasíle se murdoṉ meṉ se jiláyá gayá, usí tarah ham bhí nayí zindagí kí ráh chaleṉ. 5Kyúṉki jab ham us kí maut kí mushábahat se us ke sáth paiwasta ho gaye, to beshakk us ke jí uṭhne kí mushábahat se bhí us ke sáth paiwasta hoṉge. 6Chunáṉchi ham jánte haiṉ, ki hamárí purání insáníyat us ke sáth is liye salíb dí gayí, ki gunáh ká badan bekár ho jáe, táki ham áge ko gunáh kí gulámí meṉ na raheṉ. 7Kyúṉki jo múá, wuh gunáh se barí húá. 8Pas jab ham Masíh ke sáth múe, to hameṉ yaqín hai ki us ke sáth jíeṉge bhí; 9kyúṉki yih jánte haiṉ ki Masíh jab murdoṉ meṉ se jí uṭhá hai to phir nahíṉ marne ká; maut ká phir us par iḳhtiyár nahíṉ hone ká. 10Kyúṉki Masíh jo múá, gunáh ke iʻtibár se ek bár múá: magar ab jo jitá hai, Ḳhudá ke iʻtibár se jítá hai. 11Isí tarah tum bhí apne áp ko gunáh ke iʻtibár se murda, magar Ḳhudá ke iʻtibár se Masíh Yisúʻ meṉ zinda samjho. 12Pas gunáh tumháre fání badan meṉ bádsháhí na kare, ki tum us kí ḳhwáhishoṉ ke tábiʻ raho. 13Aur apne aʻzá nárástí ke hathyár hone ke liye gunáh ke hawále na kiyá karo; balki apne áp ko murdoṉ meṉ se zinda jánkar Ḳhudá ke hawále karo, aur apne aʻzá rástbázi ke hathyár hone ke liye Ḳhudá ke hawále karo. 14Is liye ki gunáh ká tum par iḳhtiyár na hogá, kyúṉki tum sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht ho.
15Pas kyá húá? kyá ham is liye gunáh kareṉ, ki sharíʻat ke mátaht nahíṉ, balki fazl ke mátaht haiṉ? Hargiz nahíṉ! 16Kyá tum nahíṉ jánte, ki jis kí tábiʻdárí ke liye apne áp ko gulámoṉ kí tarah hawále kar dete ho, usí ke gulám ho, jis ke tábiʻdár ho; ḳhwáh gunáh ke, jis ká anjám maut hai; ḳhwáh tábiʻdárí ke, jis ká anjám rástbází hai. 17Lekín Ḳhudá ká shukr hai, ki agarchi tum gunáh ke gulám the, táham dil se us taʻlím ke tábiʻdár ho gaye, jis ke sáṉche meṉ tum ḍhále gaye the; 18aur gunáh se ázád hokar rástbází ke gulám ho gaye. 19Maiṉ tumhárí insání kam-zorí ke sabab insání taur par kahtá húṉ: jis tarah tum ne apne aʻzá badkárí karne ke liye nápákí aur badkárí kí gulámí ke hawále kiye the, usí tarah ab apne aʻzá pák hone ke liye rástbází kí gulámí ke hawále kar do. 20Kyúṉki jab tum gunáh ke gulám the, to rástbází ke iʻtibár se ázád the. 21Pas jin bátoṉ se tum ab sharminda ho, un se tum us waqt kyá phal páte the? kyúṉki un ká anjám to maut hai. 22Magar ab gunáh se ázád, aur Ḳhudá ke gulám hokar, tum ko apná phal milá, jis se pákízagí hásil hotí hai, aur is ká anjám hamesha kí zindagí hai. 23Kyúṉki gunáh kí mazdúrí maut hai, magar Ḳhudá kí baḳhshish hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ meṉ hamesha kí zindagí hai.

Currently Selected:

Romíoṉ 6: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in