1
Romíoṉ 5:8
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Lekin Ḳhudá apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the, to Masíh hamárí ḳhátir múá.
Compare
Explore Romíoṉ 5:8
2
Romíoṉ 5:5
aur ummed se sharmindagí hásil nahíṉ hotí, kyúṉki Rúhuʼl Quds jo ham ko baḳhshá gayá hai, us ke wasíle se Ḳhudá kí mahabbat hamáre diloṉ meṉ dálí gayí hai.
Explore Romíoṉ 5:5
3
Romíoṉ 5:3-4
Aur sirf yihí nahíṉ, balki musíbatoṉ meṉ bhí faḳhr kareṉ; yih jánkar, ki musíbat se sabr paidá hotá hai; aur sabr se puḳhtagí; aur puḳhtagí se ummed paidá hotí hai
Explore Romíoṉ 5:3-4
4
Romíoṉ 5:1-2
Pas jab ham ímán se rástbáz ṭhahre, to Ḳhudá ke sáth apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke wasíle se sulh rakkheṉ; jis ke wasíle se ímán ke sabab us fazl tak hamárí rasáí bhí húí, jis par qáim haiṉ; aur Ḳhudá ke jalál kí ummed par faḳhr kareṉ.
Explore Romíoṉ 5:1-2
5
Romíoṉ 5:6
Kyúṉki jab ham kamzor hí the, to ʻain waqt par Masíh bedínoṉ kí ḳhátir múá.
Explore Romíoṉ 5:6
6
Romíoṉ 5:9
Pas jab ham us ke ḳhún ke báʻis ab rástbáz ṭhahre, to us ke wasíle se gazab i Iláhí se zarúr hí bacheṉge.
Explore Romíoṉ 5:9
7
Romíoṉ 5:19
Kyúṉki jis tarah ek hí shaḳhs kí náfarmání se bahut se log gunahgár ṭhahre, usí tarah ek kí farmánbardárí se bahut se log rástbáz ṭhahreṉge.
Explore Romíoṉ 5:19
8
Romíoṉ 5:11
aur sirf yihí nahíṉ, balki apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke sabab, jis ke wasíle se ab hamárá Ḳhudá ke sáth mel ho gayá, Ḳhudá par faḳhr bhí karte haiṉ.
Explore Romíoṉ 5:11
Home
Bible
Plans
Videos