Romíoṉ 1
1
1Paulus kí taraf se jo Yisúʻ Masíh ká banda hai, aur rasúl hone ke liye buláyá gayá, aur Ḳhudá kí us ḳhushḳhabarí ke liye maḳhsús kiyá gayá hai, 2jis ká us ne peshtar se apne nabíoṉ kí maʻrifat kitáb i muqaddas meṉ, 3apne Beṭe hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí nisbat waʻda kiyá thá; jo jism ke iʻtibár se to Dáúd kí nasl se paidá húá, 4lekin pákízagí kí rúh ke iʻtibár se, murdoṉ meṉ se jí uṭhne ke sabab, qudrat ke sáth Ḳhudá ká Beṭá ṭhahrá; 5jis kí maʻrifat ham ko fazl aur risálat milí, táki us ke nám kí ḳhátir sab qaumoṉ meṉ se log ímán ke tábiʻ hoṉ; 6jin meṉ se tum bhí Yisúʻ Masíh ke hone ke liye buláe gaye ho — 7un sab ke nám, jo Roma meṉ Ḳhudá ke piyáre haiṉ, aur muqaddas hone ke liye buláe gaye haiṉ. Hamáre Báp Ḳhudá aur Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí taraf se tumheṉ fazl aur itmínán hásil hotá rahe.
8Awwal to maiṉ tum sab ke báre meṉ Yisúʻ Masíh ke wasíle se apne Ḳhudá ká shukr kartá húṉ, ki tumháre ímán ká tamám dunyá meṉ shuhra ho rahá hai. 9Chunáṉchi Ḳhudá, jis kí ʻibádat maiṉ apní rúh se us ke Beṭe kí ḳhushḳhabarí dene meṉ kartá húṉ, wuhí merá gawáh hai, ki maiṉ bilánága tumheṉ yád kartá húṉ, 10aur apní duʻáoṉ meṉ hamesha yih darḳhwást kartá húṉ, ki ab áḳhir kár Ḳhudá ki marzí se mujhe tumháre pás áne meṉ kisí tarah kámyábí ho. 11Kyúṉki maiṉ tumhárí muláqát ká mushtáq húṉ, táki tum ko koí rúhání niʻmat dúṉ, jis se tum mazbút ho jáo; 12g̣araz ki maiṉ bhí tumháre darmiyán hokar tumháre sáth us ímán ke báʻís tasallí páúṉ, jo tum meṉ aur mujh meṉ, donoṉ meṉ hai. 13Aur ai bháiyo, maiṉ is se tumhárá náwáqif rahná nahíṉ cháhtá, kí maiṉ ne bárhá tumháre pás áne ká iráda kiyá, táki jaisá mujhe âur gairqaumoṉ meṉ phal milá, waisá hí tum meṉ bhí mile; magar áj tak ruká rahá. 14Maiṉ Yúnáníoṉ aur gair Yúnáníoṉ, dánáoṉ aur nádánoṉ ká qarzdár húṉ. 15Pas maiṉ tum ko bhí jo Roma meṉ ho, ḳhushḳhabarí sunáne ko hattaʼl maqdúr taiyár húṉ. 16Kyúṉki maiṉ Injíl se sharmátá nahíṉ: is liye ki wuh har ek ímán lánewále ke wáste, pahle Yahúdí, phir Yúnání ke wáste, naját ke liye Ḳhudá kí qudrat hai. 17Is wáste ki us meṉ Ḳhudá kí rástbází ímán se aur ímán ke liye záhir hotí hai, jaisá likhá hai, ki Rástbáz ímán se jítá rahegá.
18Kyúṉki Ḳhudá ká gazab un ádmíoṉ kí tamám bedíní aur nárástí par ásmán se záhir hotá hai, jo haqq ko nárástí se dabáe rakhte haiṉ; 19kyúṉki jo kuchh Ḳhudá kí nisbat maʻlúm ho saktá hai, wuh un ke bátin meṉ záhir hai; is liye ki Ḳhudá ne us ko un par záhir kar diyá. 20Kyúṉki us kí andekhí sífateṉ, yaʻní us kí azalí qudrat aur ulúhíyat, dunyá kí paidáish ke waqt se banáí núí chízoṉ ke zaríʻe se maʻlúm hokar sáf nazar átí haiṉ; yaháṉ tak ki un ko kuchh ʻuzr báqí nahíṉ; 21is liye ki agarchi unhoṉ ne Ḳhudá ko ján to liyá, magar us kí ḳhudáí ke láiq us kí baṛáí aur shukrguzárí na kí; balki bátil ḳhayálát meṉ paṛ gaye, aur un ke besamajh diloṉ par andherá chhá gayá. 22Wuh apne áp ko dáná jatákar, bewuqúf ban gaye; 23aur gairfání Ḳhudá ke jalál ko fání insán, aur parandoṉ aur chaupáyoṉ aur kíṛe makauṛoṉ kí súrat meṉ badal ḍálá.
24Is wáste Ḳhudá ne un ke diloṉ kí ḳhwáhishoṉ ke mutábiq unheṉ nápákí meṉ chhoṛ diyá, ki un ke badan ápas meṉ behurmat kiye jáeṉ: 25is liye ki unhoṉ ne Ḳhudá kí sachcháí ko badalkar jhúṭh baná ḍálá, aur maḳhlúqát kí ziyáda parastish aur ʻibádat kí, banisbat us Ḳháliq ke, jo abad tak mahmúd haí. Ámín.
26Isí sabab se Ḳhudá ne un ko gandí shahwatoṉ meṉ chhoṛ diyá: yaháṉ tak ki un kí ʻauratoṉ ne apne tabaʻí kám ko ḳhiláftabaʻ kám se badal ḍálá: 27isí tarah mard bhí ʻauratoṉ se tabaʻí kám chhoṛkar ápas kí shahwat se mast ho gaye; yaʻní mardoṉ ne mardoṉ ke sáth rúsiyáhí ke kám karke, apne áp meṉ apní gumráhí ke láiq badla páyá.
28Aur jis tarah unhoṉ ne Ḳhudá ká pahchánná nápasand kiyá, isí tarah Ḳhudá ne bhí un ko nápasandída ʻaql ke hawále kar diyá, ki náláiq harakateṉ kareṉ. 29Pas wuh har tarah kí nárástí, badí, lálach, badḳhwáhí se bhar gaye; aur hasad, ḳhúnrezí, jhagṛe, makkárí; bugz se maʻmúr ho gaye; aur gíbat karnewále, 30badgo, Ḳhudá kí nazar meṉ nafratí, auroṉ ke beʻizzat karnewále, magrúr, sheḳhíbáz, badíoṉ ke bání, máṉ báp ke náfarmán, 31bewuqúf, ʻahdshikan, tabaʻí mahabbat se ḳhálí, berahm, ho gaye: 32háláṉki wuh Ḳhudá ká yih hukm jánte haiṉ, ki aise kám karnewále maut kí sazá ke láiq haiṉ; phir bhí na faqat áp hí aise kám karte haiṉ, balki âur karnewáloṉ se ḳhush bhí hote haiṉ.
Currently Selected:
Romíoṉ 1: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)