YouVersion Logo
Search Icon

Aʻmál 28

28
1Jab ham pahuṉch gaye, to jáná ki is ṭapú ká nám Milite hai. 2Aur un ajnabíoṉ ne ham par ḳháss mihrbání kí, kyúṉki meṉh kí jhaṛí aur járe ke sabab unhoṉ ne ág jaláke ham sab kí ḳhátir kí. 3Jab Paulus ne lakṛiyoṉ ká gaṭṭhá jamaʻ karke ág meṉ ḍálá, to ek sáṉp garmí pákar niklá, aur us ke háth par lipaṭ gayá. 4Jis waqt un ajnabíoṉ ne wuh kíṛá us ke háth meṉ laṭká húá dekhá, to ek dúsre se kahne lage, ki Beshakk yih ádmí ḳhúní hai; agarchi samundar se bach gayá, taubhí ʻAdl use jíne nahíṉ detá. 5Pas us ne kíṛe ko ág meṉ jhaṭak diyá, aur use kuchh zarar na páhuṉchá. 6Magar wuh muntazir the, ki is ká badan súj jáegá, yá yih marke yakáyak gir paṛegá. Lekin jab der tak intizár kiyá, aur dekhá ki us ko kuchh zarar na pahuṉchá, to âur ḳhayál karke kahá, ki yih to koí deotá hai.
7Waháṉ se qaríb Publiyus nám us ṭápú ke sardár ki milk thí. Us ne ghar le jákar, tín din tak baṛí mihrbání se hamárí mihmáni kí. 8Aur aisá húá ki Publiyus ká báp buḳhár aur pechish kí wajh se bímár paṛá thá. Paulus ne us ke pás jákar duʻá máṉgí, aur us par háth rakhkar shifá dí. 9Jab aisá húá, to báqí log jo us ṭápú meṉ bímár the áe, aur achchhe kiye gaye. 10Aur imhoṉ ne hamárí baṛí ʻizzat kí; aur chalte waqt jo kuchh hameṉ darkár thá, jaház par rakh diyá.
11Tín mahíne ke baʻd, ham Iskandriya ke ek jaház par rawána húe, jo jáṛe bhar us ṭápú meṉ rahá thá, aur jis ká nishán Diyuskúrí thá. 12Aur Surakúsa meṉ jaház ṭhahrákar tín din rahe; 13aur waháṉ se pher khákar Regiyum meṉ áe: aur ek roz baʻd dakkhiná chalí, to dúsre din Putiyulí meṉ áe. 14Waháṉ ham ko bháí mile, aur un kí minnat se ham sát din un ke pás rahe: aur isí tarah Roma tak gaye. 15Waháṉ se bháí, hamárí ḳhabar sunkar, Appiyus ke Chauk aur Tínsaráe tak hamáre istiqbál ko áe: aur Paulus ne unheṉ dekhkar Ḳhudá ká shukr kiyá, aur us ki ḳhátirjamaʻ húí.
16Jab ham Roma meṉ pahuṉche, to Paulus ko ijázat húí, kí akelá us sipáhí ke sáth rahe, jo us par pahrá detá thá.
17Tín roz ke baʻd aisá húá ki us ne Yahúdíoṉ ke raísoṉ ko bulwáyá; aur jab jamaʻ ho gaye, to un se kahá, ki Ai bháiyo, harchand maiṉ ne ummat ke, aur bápdádá kí rasmoṉ ke ḳhiláf kuchh nahíṉ kiyá, taubhí Yarúshalem se qaidí hokar Romíoṉ ke háth hawále kiyá gayá. 18Unhoṉ ne merí tahqíqát karke mujhe chhoṛ dená cháha, kyúṉki mere qatl ká koí sabab na thá. 19Magar jab Yahúdíoṉ ne muḳhálafat kí, to maiṉ ne láchár hokar Qaisar ke háṉ apíl kiyá; magar is wáste nahíṉ kiyá, ki apní qaum par mujhe kuchh ilzám lagáná thá. 20Pas is liye maiṉ ne tumheṉ buláyá hai, ki tum se milúṉ aur guftgú karúṉ: kyúṉki Isráíl kí ummed ke sabab maiṉ is zanjír se jakṛá húá húṉ. 21Unhoṉ ne us se kahá; Na hamáre pás Yahúdiya se tere báre meṉ ḳhatt áe, na bháiyoṉ meṉ se kisí ne ákar terí kuchh ḳhabar dí, na buráí bayán kí. 22Magar ham munásib jánte haiṉ ki tujh se suneṉ, tere kyá ḳhayálát haiṉ; kyúṉki is firqe kí bábat ham ko maʻlúm hai, ki har jagah us ke ḳhiláf kahte haiṉ.
23Aur wuh us se ek din ṭhahrákar, kasrat se us ke háṉ jamaʻ húe, aur wuh Ḳhudá kí bádsháhat kí gawáhí de dekar aur Músá kí Tauret, aur nabíoṉ ke sahífoṉ se Yisúʻ kí bábat samjhá samjhákar subh se shám tak un se bayán kartá rahá. 24Aur baʻz ne us kí bátoṉ ko mán liyá, aur baʻz ne na máná. 25Jab ápas meṉ muttafiq na húe, to Paulus ke is ek bát ke kahne par ruḳhsat húe, ki Rúhuʼl Quds ne Yasháʻyáh nabí kí maʻrifat tumháre bápdádá se ḳhúb kahá, ki
26Is ummat ke pás jákar kah,
Ki tum kánoṉ se sunoge, aur hargiz na samjhoge;
Aur áṉkhoṉ se dekhoge, aur hargiz maʻlúm na karoge:
27Kyúṉki is ummat ke dil par charbí chhá gayí hai,
Aur wuh kánoṉ se úṉchá sunte haiṉ,
Aur unhoṉ ne apní áṉkheṉ band kar lí haiṉ;
Kahíṉ aisá na ho ki áṉkhoṉ se maʻlúm kareṉ,
Aur kánoṉ se suneṉ,
Aur dil se samjheṉ,
Aur rujúʻ láeṉ,
Aur maiṉ unheṉ shifá baḳhshúṉ.
28Pas tum ko maʻlúm ho, ki Ḳhudá kí is naját ká paigám gairqaumoṉ ke pás bhejá gayá hai, aur wuh use sun bhí leṉgí. [29Jab us ne yih kahá, to Yahúdí ápas meṉ bahut bahs karke chale gaye.]
30Aur wuh púre do baras apne kiráe ke ghar meṉ rahá, 31aur jo us ke pás áte the, un sab se miltá rahá, aur kamál dilerí se, bagair rok ṭok ke, Ḳhudá kí bádsháhat kí manádí kartá, aur Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí báteṉ sikhátá rahá.

Currently Selected:

Aʻmál 28: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in