Is ummat ke pás jákar kah,
Ki tum kánoṉ se sunoge, aur hargiz na samjhoge;
Aur áṉkhoṉ se dekhoge, aur hargiz maʻlúm na karoge:
Kyúṉki is ummat ke dil par charbí chhá gayí hai,
Aur wuh kánoṉ se úṉchá sunte haiṉ,
Aur unhoṉ ne apní áṉkheṉ band kar lí haiṉ;
Kahíṉ aisá na ho ki áṉkhoṉ se maʻlúm kareṉ,
Aur kánoṉ se suneṉ,
Aur dil se samjheṉ,
Aur rujúʻ láeṉ,
Aur maiṉ unheṉ shifá baḳhshúṉ.