Isí sabab se Ḳhudá ne un ko gandí shahwatoṉ meṉ chhoṛ diyá: yaháṉ tak ki un kí ʻauratoṉ ne apne tabaʻí kám ko ḳhiláftabaʻ kám se badal ḍálá: isí tarah mard bhí ʻauratoṉ se tabaʻí kám chhoṛkar ápas kí shahwat se mast ho gaye; yaʻní mardoṉ ne mardoṉ ke sáth rúsiyáhí ke kám karke, apne áp meṉ apní gumráhí ke láiq badla páyá.
Aur jis tarah unhoṉ ne Ḳhudá ká pahchánná nápasand kiyá, isí tarah Ḳhudá ne bhí un ko nápasandída ʻaql ke hawále kar diyá, ki náláiq harakateṉ kareṉ.