Romíoṉ 2
2
1Pas ai ilzám lagánewále, tú koí kyúṉ na ho, tere pás koí ʻuzr nahíṉ; kyúṉki jis bát ká tú dúsre par ilzám lagátá hai, usí ká tú apne áp ko mujrim ṭhahrátá hai; is liye ki tú jo ilzám lagátá hai, ḳhud wuhí kám kartá hai. 2Aur ham jánte haiṉ ki aise kám karnewáloṉ kí ʻadálat Ḳhudá kí taraf se haqq ke mutábiq hotí hai. 3Ai insán, tú jo aise kam karnewáloṉ par ilzám lagátá hai, aur ḳhud wuhí kám kartá hai, kyá yih samajhtá hai, ki tú Ḳhudá kí ʻadálat se bach jáegá? 4Yá tú us kí mihrbání aur tahammul aur sabr kí daulat ko náchíz jántá hai, aur nahíṉ samajhtá ki Ḳhudá kí mihrbání tujh ko tauba kí taraf máil kartí hai? 5Balki tú apní saḳhtí aur gairtáib dil ke mutábiq us qahr ke din ke liye apne wáste gazab kamá rahá hai, jis meṉ Ḳhudá kí sachchí ʻadálat záhir hogí. 6Wuh har ek ko us ke kámoṉ ke muwáfiq badla degá: 7jo nekokárí meṉ sábitqadam rahkar jalál aur ʻizzat aur baqá ke tálib hote haiṉ, un ko hamesha kí zindagí degá; 8magar jo tafriqa andáz aur haqq ke na mánnewále, balki nárástí ke mánnewále haiṉ, un par gazab aur qahr hogá; 9aur musíbat aur tangí har ek badkár kí ján par áegí, pahle Yahúdí kí, phir Yúnání kí. 10Magar jalál aur ʻizzat aur salámatí har ek nekokár ko milegí, pahle Yahúdí ko, phir Yúnání ko: 11kyúṉki Ḳhudá ke háṉ kisí kí tarafdárí nahíṉ. 12Is liye ki jinhoṉ ne bagair sharíʻat páe gunáh kiyá, wuh bagair sharíʻat ke halák bhí hoṉge: aur jinhoṉ ne sharíʻat ke mátaht hokar gunáh kiyá, un kí sazá sharíʻat ke muwáfiq hogí; (13kyúṉki sharíʻat ke sunnewále Ḳhudá ke nazdík rástbáz nahíṉ hote, balki sharíʻat par ʻamal karnewále rástbáz ṭhahráe jáeṉge. 14Is liye ki jab wuh qaumeṉ jo sharíʻat nahíṉ rakhtíṉ, apní tabíʻat se sharíʻat ke kám kartí haiṉ, to báwujúd sharíʻat na rakhne ke, wuh apne liye ḳhud ek sharíʻat haiṉ. 15Chunáṉchi wuh sharíʻat kí báteṉ apne diloṉ par likhí húí dikhátí haiṉ, aur un ká dil bhí un bátoṉ ki gawáhí detá hai; aur un ke báhamí ḳhayálát yá to un par ilzám lagáte haiṉ, yá un ko maʻzúr rakhte haiṉ;) 16jis roz Ḳhudá merí ḳhushḳhabarí ke mutábiq Yisúʻ Masíh kí maʻrifat ádmíoṉ kí poshída bátoṉ ká insáf karegá.
17Pas agar tú Yahúdí kahlátá, aur sharíʻat par takya aur Ḳhudá par faḳhr kartá hai, 18aur us kí marzí jántá, aur sharíʻat kí taʻlím pákar ʻumda ʻumda báteṉ pasand kartá hai; 19aur agar tujh ko is bát par bhí bharosá hai, ki maiṉ andhoṉ ká rahnumá, aur andhere meṉ paṛe húoṉ ke liye raushní, 20aur nádánoṉ ká tarbíyat karnewálá, aur bachchoṉ ká ustád húṉ, aur ʻilm aur haqq ká jo namúna sharíʻat meṉ hai, wuh mere pás hai; 21pas tú jo auroṉ ko sikhátá hai, apne áp ko kyúṉ nahíṉ sikhátá? Tú jo waʻz kartá hai ki chorí na karná, áp ḳhud kyúṉ chorí kartá hai? 22Tú jo kahtá hai ki ziná na karná, áp ḳhud kyúṉ ziná kartá hai? Tú jo butoṉ se nafrat rakhtá hai, áp ḳhud kyúṉ mandiroṉ ko lúṭtá hai? 23Tú jo sharíʻat par faḳhr kartá hai, sharíʻat ke ʻudúl se Ḳhudá kí kyúṉ beʻizzatí kartá hai? 24Kyúṉki Tumháre sabab se gairqaumoṉ meṉ Ḳhudá ke nám par kufr baká játá hai; chunáṉchi yih likhá bhí hai. 25Ḳhatne se fáida to hai, basharte ki tú sharíʻat par ʻamal kare: lekin jab tú ne sharíʻat se ʻudúl kiyá, to terá ḳhatna námaḳhtúní ṭhahrá. 26Pas agar námaḳhtún shaḳhs sharíʻat ke hukmoṉ par ʻamal kare, to kyá us kí námaḳhtúní ḳhatne ke barábar na giní jáegí? 27Aur jo shaḳhs qaumíyat ke sabab se námaḳhtún rahá, agar wuh sharíʻat ko púrá kare, to kyá tujhe, jo báwujúd kalám aur ḳhatne ke sharíʻat se ʻudúl kartá hai, qusúrwár na ṭhahráegá? 28Kyúṉki wuh Yahúdí nahíṉ, jo záhir ká hai; aur na wuh ḳhatna hai, jo záhirí aur jismání hai: 29balki Yahúdí wuhí hai, jo bátin meṉ hai; aur ḳhatna wuhí hai, jo dil ká aur rúhání hai, na ki lafzí; aise kí taʻríf ádmíoṉ kí taraf se nahíṉ, balki Ḳhudá kí taraf se hotí hai.
Currently Selected:
Romíoṉ 2: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)