YouVersion Logo
Search Icon

Romíoṉ 3

3
1Pas Yahúdí ko kyá fauqíyat hai, aur ḳhatne se kyá fáida? 2Har tarah se bahut, ḳhásskar yih ki Ḳhudá ká kalám un ke supurd húá. 3Agar baʻz bewafá nikle, to kyá húá? kyá un kí bewafáí Ḳhudá kí wafádárí ko bátil kar saktí hai? 4Hargiz nahíṉ: balki Ḳhudá sachchá ṭhahre, aur har ek ádmí jhúṭhá: chunáṉchi likhá hai;
Ki tú apní bátoṉ meṉ rástbáz ṭhahre,
Aur apne muqaddame meṉ fath páe.
5Agar hamárí nárástí Ḳhudá kí rástbází kí ḳhúbí ko záhir kartí hai, to ham kyá kaheṉ? kyá yih ki Ḳhudá beinsáf hai jo g̣azab názil kartá hai? (Maiṉ yih bát insán kí tarah kahtá húṉ.) 6Hargiz nahíṉ: warna Ḳhudá kyúṉkar dunyá ká insáf karegá? 7Agar mere jhúṭh ke sabab se Ḳhudá kí sachcháí us ke jalál ke wáste ziyáda záhir húí, to phir kyúṉ gunahgár kí tarah mujh par hukm diyá játá hai? 8aur ham kyúṉ buráí na kareṉ, táki bhaláí paidá ho? chunáṉchi ham par yih tuhmat lagáí bhí játí hai, aur baʻz kahte haiṉ ki in ká yihí maqúla hai: magar aisoṉ ká mujrim ṭhahrná insáf hai.
9Pas kyá húá? kyá ham kuchh fazílat rakhte haiṉ? Biʼlkull nahíṉ. Kyúṉki ham Yahúdíoṉ aur Yúnáníoṉ donoṉ par peshtar hí yih ilzám lagá chuke haiṉ, ki wuh sab ke sab gunáh ke mátaht haiṉ. 10Chunáṉchi likhá hai, ki
Koí rástbáz nahíṉ, ek bhí nahíṉ;
11Koí samajhdár nahíṉ,
Koí Ḳhudá ká tálib nahíṉ;
12Sab gumráh haiṉ, sab ke sab nikamme ban gaye;
Koí bhaláí karnewálá nahíṉ, ek bhí nahíṉ:
13Un ká galá khulí húí qabr hai;
Unhoṉ ne apní zabánoṉ se fareb diyá:
Un ke hoṉṭhoṉ meṉ sáṉpoṉ ká zahr hai;
14Un ká muṉh laʻnat aur kaṛwáhaṭ se bhará húá hai;
15Un ke qadam ḳhún baháne ke liye tezrau haiṉ;
16Un kí ráhoṉ meṉ tabáhí aur badhálí hai,
17Aur wuh salámatí kí ráh se wáqif na húe:
18Un kí áṉkhoṉ meṉ Ḳhudá ká ḳhauf nahíṉ.
19Ab ham jánte haiṉ ki sharíʻat jo kuchh kahtí hai, un se kahtí hai jo sharíʻat ke mátaht haiṉ; táki har ek ká muṉh band ho jáe, aur sárí dunyá Ḳhudá ke nazdík sazá ke láiq ṭhahre: 20kyúṉki sharíʻat ke aʻmál se koí bashar us ke huzúr rástbáz nahíṉ ṭhahregá, is liye ki sharíʻat ke wasíle se to gunáh kí pahchán hí hotí hai. 21Magar ab sharíʻat ke bagair Ḳhudá kí ek rástbází záhir húí hai, jis kí gawáhí sharíʻat aur nabíoṉ se hotí hai; 22yaʻní Ḳhudá kí wuh rástbází, jo Yisúʻ Masíh par ímán láne se sab ímán lánewáloṉ ko hásil hotí hai; kyúṉki kuchh farq nahíṉ; 23is liye ki sab ne gunáh kiyá, aur Ḳhudá ke jalál se mahrúm haiṉ; 24magar us ke fazl ke sabab, us maḳhlasí ke wasíle se jo Masíh Yisúʻ meṉ hai, muft rástbáz ṭhahráe játe haiṉ: 25use Ḳhudá ne us ke ḳhún ke báʻis ek aisá kaffára ṭhahráyá, jo ímán láne se fáidamand ho; táki jo gunáh peshtar ho chuke the, aur jin se Ḳhudá ne tahammul karke tarah dí thí, un ke báre meṉ wuh apní rást-bází záhir kare; 26balki isí waqt us kí rástbází záhir ho: táki wuh ḳhud bhí ʻádil rahe, aur jo Yisúʻ par ímán láe, us ko bhí rástbáz ṭhahránewálá ho. 27Pas faḳhr kaháṉ rahá? Is kí gunjáish hí nahíṉ. Kaun sí sharíʻat ke sabab se? kyá aʻmál kí sharíʻat se? Nahíṉ: balki ímán kí sharíʻat se. 28Chunáṉchi ham yih natíja nikálte haiṉ, ki insán sharíʻat ke aʻmál ke bagair ímán ke sabab se rástbáz ṭhahrtá hai. 29Kyá Ḳhudá sirf Yahúdíoṉ hí ká hai; gairqaumoṉ ká nahíṉ? Beshakk, gairqaumoṉ ká bhí hai: 30kyúṉki ek hí Ḳhudá hai, jo maḳhtúnoṉ ko bhí ímán se, aur námaḳhtúnoṉ ko bhí ímán hí ke wasíle se rástbáz ṭhahráegá. 31Pas kyá ham sharíʻat ko ímán se bátil karte haiṉ? Hargiz nahíṉ: balki sharíʻat ko qáim rakhte haiṉ.

Currently Selected:

Romíoṉ 3: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in