YouVersion Logo
Search Icon

Marqus 9

9
1Aur us ne un se kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Jo yaháṉ khaṛe haiṉ, un meṉ se baʻz aise haiṉ, ki jab tak Ḳhudá kí bádsháhat ko qudrat ke sáth áyá húá na dekh leṉ, maut ká maza hargiz na chakkheṉge.
2Chha din ke baʻd Yisúʻ ne Patras aur Yaʻqúb aur Yúhanná ko hamráh liyá, aur unheṉ alag ek úṉche paháṛ par akele meṉ le gayá; aur un ke sámne us kí súrat badal gayí: 3aur us kí poshák aisí núrání aur niháyat safed ho gayí, ki dunyá meṉ koí dhobí waisí safed nahíṉ kar saktá. 4Aur Eliyyáh Músá ke sáth unheṉ dikháí diyá; aur wuh Yisúʻ se báteṉ karte the. 5Patras ne Yisúʻ se kahá; Rabbí, hamárá yaháṉ rahná achchhá hai: pas ham tín dere banáeṉ; ek tere liye, ek Músá ke liye, ek Eliyyáh ke liye. 6Kyúṉki wuh na jántá thá, ki kyá jawáb de; is liye ki wuh bahut ḍar gaye the. 7Phir ek bádal ne un par sáya kar liyá, aur us bádal meṉ se áwáz áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai; is kí suno. 8Aur unhoṉ ne yakáyak jo chároṉ taraf nazar kí, to Yisúʻ ke siwá âur kisí ko apne sáth phir na dekhá.
9Jab wuh paháṛ se utarte the, to us ne unheṉ hukm diyá, ki Jab tak Ibn i Ádam murdoṉ meṉ se jí na uṭhe, jo kuchh tum ne dekhá hai, kisí se na kahná. 10Unhoṉ ne us kalám ko yád rakkhá; aur wuh ápas meṉ bahs karte the, ki murdoṉ meṉ se jí uṭhne ke kyá ma ní haiṉ? 11Phir unhoṉ ne us se yih púchhá, ki Faqíh kyúṉkar kahte haiṉ, ki Eliyyáh ká pahle áná zarúr hai? 12Us ne un se kahá, ki Eliyyáh albatta pahle ákar sab kuchh bahál karegá; magar kyá wajh hai ki Ibn i Ádam ke haqq meṉ likhá hai, ki wuh bahut se dukh uṭháegá, aur haqír kiyá jáegá? 13Lekin maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Eliyyáh to á chuká, aur jaisá us ke haqq meṉ likhá húá hai, unhoṉ ne jo kuchh cháhá us ke sáth kiyá.
14Aur jab wuh shágirdoṉ ke pás áe, to dekhá ki un ke chároṉ taraf baṛí bhiṛ hai, aur faqíh un se bahs kar rahe haiṉ. 15Aur fiʼlfaur sárí bhíṛ use dekhkar niháyat hairán húi, aur us kí taraf dauṛkar use salám karne lagí. 16Us ne un se púchhá; Tum un se kyá bahs karte ho? 17Aur bhíṛ meṉ se ek ne use jawáb diyá, ki Ai ustád, maiṉ apne beṭe ko, jis meṉ gúṉgí rúh hai, tere pás láyá thá: 18wuh jaháṉ use pakaṛtí hai, paṭak detí hai: aur wuh kaf bhar látá, aur dáṉt pístá, aur súkhtá játá hai: aur maiṉ ne tere shágirdoṉ se kahá thá ki wuh use nikál deṉ, magar wuh na nikál sake. 19Us ne jawáb meṉ un se kahá: Ai beiʻtiqád qaum, maiṉ kab tak tumháre sáth rahúṉgá? kab tak tumhárí bardásht karúṉgá? use mere pás láo. 20Pas wuh use us ke pás láe: aur jab us ne use dekhá, to fiʼlfaur rúh ne use maroṛá; aur wuh zamín par girá, aur kaf bhar lákar loṭne lagá. 21Us ne us ke báp se púchhá; Yih is ko kitní muddat se hai? Wuh bolá, Bachpan se: 22aur us ne aksar use ág meṉ aur aksar pání meṉ ḍálá, táki use halák kare: lekin agar tú kuchh kar saktá hai, to ham par tars khákar hamárí madad kar. 23Yisúʻ ne us se kahá; Kyá! Agar tú kar saktá hai! Jo iʻtiqád rakhtá hai, us ke liye sab kuchh ho saktá hai. 24Fiʼlfaur us laṛke ká báp chillákar bolá; Maiṉ iʻtiqád rakhtá húṉ, tú merí beiʻtiqádi ká ʻiláj kar. 25Jab Yisúʻ ne dekhá, ki log dauṛ dauṛkar jamaʻ ho rahe haiṉ, to us nápák rúh ko jhiṛakkar us se kahá; Ai gúṉgí bahrí rúh, maiṉ tujhe hukm kartá húṉ, is meṉ se nikal á, aur is meṉ phir kabhí dáḳhil na ho. 26Wuh chillákar, aur use bahut maroṛkar, nikal áí: aur wuh murda sá ho gayá, aisá ki aksaroṉ ne kahá, ki Wuh mar gayá. 27Magar Yisúʻ ne us ká háth pakaṛkar use uṭháyá, aur wuh uṭh khaṛá húá. 28Jab wuh ghar meṉ áyá, to us ke shágirdoṉ ne alag us se púchhá, ki Ham use kyúṉ na nikál sake? 29Us ne un se kahá, ki Yih qism duʻá ke siwá kisí âur tarah nahíṉ nikal saktí.
30Phir waháṉ se rawána húe, aur Galíl meṉ hokar guzre, aur wuh na cháhtá thá, ki koí jáne; 31is liye ki wuh apne shágirdoṉ ko taʻlím detá aur un se kahtá thá, ki Ibn i Ádam ádmíoṉ ke hawále kiyá jáegá, aur wuh use qatl kareṉge, aur wuh qatl hone ke tín din baʻd jí uṭhegá. 32Lekin wuh is bát ko samajhte na the, aur us se púchhte húe ḍarte the.
33Phir wuh Kafarnahúm meṉ áe; aur jab wuh ghar meṉ thá, to us ne un se púchhá, ki Tum ráh meṉ kyá bahs karte the? 34Wuh chup rahe; kyúṉki unhoṉ ne ráh meṉ ek dúsre se yih bahs kí thí, ki baṛá kaun hai. 35Phir us ne baiṭhkar un bárah ko buláyá aur un se kahá, ki Agar koí awwal honá cháhe, to wuh sab meṉ pichhlá aur sab ká ḳhádim bane. 36Aur ek bachche ko lekar, un ke bích meṉ khaṛá kiyá; phir use god meṉ lekar un se kahá; 37Jo koí mere nám par aise bachchoṉ meṉ se ek ko qubúl kartá hai, wuh mujhe qubúl kartá hai; aur jo koí mujhe qubúl kartá hai, wuh mujhe nahíṉ, balki use jis ne mujhe bhejá hai qubúl kartá hai.
38Yúhanná ne us se kahá, Ai ustád, ham ne ek shaḳhs ko tere nám se badrúhoṉ ko nikálte dekhá, aur ham use manaʻ karne lage, kyúṉki wuh hamárí pairawí nahíṉ kartá thá. 39Lekin Yisúʻ ne kahá; Use manaʻ na karná; kyúṉki aisá koí nahíṉ jo mere nám se muʻjiza dikháe, aur mujhe jald burá kah sake; 40is liye ki jo hamáre ḳhiláf nahíṉ, wuh hamárí taraf hai. 41Aur jo koí ek piyála pání tumheṉ is liye piláe ki tum Masíh ke ho, maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki wuh apná ajr hargiz na khoegá. 42Aur jo koí in chhoṭoṉ meṉ se jo mujh par ímán láe haiṉ kisí ko ṭhokar khiláe, us ke liye yih bihtar hai, ki ek baṛí chakki ká páṭ us ke gale meṉ laṭkáyá jáe, aur wuh samundar meṉ pheṉk diyá jáe. 43Aur agar terá háth tujhe ṭhokar khiláe, to use káṭ ḍál; ṭundá hokar zindagí meṉ dáḳhil honá tere liye is se bihtar hai, ki do háth hote jahannam ke bích us ág meṉ jáe jo kabhí bujhne kí nahíṉ; [44jaháṉ un ká kíṛá nahíṉ martá, aur ág nahíṉ bujhtí.] 45Aur agar terá páṉw tujhe ṭhokar khiláe, use káṭ ḍál; laṉgṛá hokar zindagí meṉ dáḳhil honá tere liye is se bihtar hai, ki do páṉw hote jahannam meṉ ḍálá jáe; [46jaháṉ un ká kíṛá nahíṉ martá, aur ág nahíṉ bujhtí.] 47Aur agar terí áṉkh tujhe ṭhokar khiláe, to use nikál ḍál; káná hokar Ḳhudá kí bádsháhat meṉ dáḳhil honá tere liye is se bihtar hai, ki do áṉkheṉ hote jahannam meṉ ḍálá jáe, 48jaháṉ un ká kíṛá nahíṉ martá, aur ág nahíṉ bujhtí. 49Kyúṉki har shaḳhs ág se namkín kiyá jáegá, [aur har ek qurbání namak se namkín kí jáegí.] 50Namak achchhá hai; lekin agar namak kí namkíní játí rahe, to us ko kis chíz se mazadár karoge? Apne meṉ namak rakkho, aur ek dúsre ke sáth mel miláp se raho.

Currently Selected:

Marqus 9: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in