Marqus 8
8
1Un dinoṉ meṉ, jab phir baṛí bhíṛ jamaʻ húi, aur un ke pás kuchh kháne ko na thá, to us ne apne shágirdoṉ ko pás bulákar un se kahá; 2Mujhe is bhíṛ par tars átá hai, kyúṉki yih tín din se barábar mere sáth rahí hai, aur in ke pás kuchh kháne ko nahíṉ: 3agar maiṉ inheṉ bhúká ghar ko ruḳhsat karúṉ, to ráh meṉ thakkar rah jáeṉge; aur baʻz in meṉ se dúr ke haiṉ. 4Us ke shágirdoṉ ne use jawáb diyá, ki Is bíyábán meṉ kaháṉ se koí itní roṭiyáṉ láe ki inheṉ ser kar sake? 5Us ne un se púchhá, ki Tumháre pás kitní roṭiyáṉ haiṉ? Wuh bole, Sát. 6Phir us ne logoṉ ko hukm diyá, ki zamín par baiṭh jáeṉ: aur us ne wuh sát roṭiyáṉ líṉ, aur shukr karke toṛíṉ, aur apne shágirdoṉ ko detá gayá ki un ke áge rakkheṉ; aur unhoṉ ne logoṉ ke áge rakh díṉ. 7Aur un ke pás thoṛí sí chhoṭí machhliyáṉ thíṉ: us ne un par barakat cháhkar kahá, ki Yih bhí un ke áge rakh do. 8Pas wuh khákar ser húe; aur bache húe ṭukṛoṉ ke sát ṭokre uṭháe. 9Aur log chár hazár ke qaríb the; phir us ne unheṉ ruḳhsat kiya. 10Aur wuh fiʼlfaur apne shágirdoṉ ke sáth kishtí meṉ baiṭhkar Dalmanúta ke ʻiláqe meṉ gayá.
11Phir Farísí nikalkar us se bahs karne lage, aur use ázmáne ke liye us se koí ásmání nishán talab kiyá. 12Us ne apní rúh meṉ áh kheṉchkar kahá; Is zamáne ke log kyúṉ nishán talab karte haiṉ? Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki is zamáne ke logoṉ ko koí nishán diyá na jáegá. 13Aur wuh unheṉ chhoṛkar phir kishtí meṉ baiṭhá, aur pár chala gayá.
14Aur wuh roṭí lení bhúl gaye the; aur kishtí meṉ un ke pás ek se ziyáda roṭí na thí. 15Aur us ne unheṉ yih hukm diyá, ki Ḳhabardár, Farísíoṉ ke khamír aur Herodes ke ḳhamír se hoshyár rahná. 16Wuh ápas meṉ charchá karne aur kahne lage, ki Hamáre pás roṭí nahíṉ. 17Magar Yisúʻ ne yih maʻlúm karke un se kahá; Tum kyúṉ charchá karte ho, ki hamáre pás roṭí nahíṉ? kyá ab tak nahíṉ jánte, aur nahíṉ samajhte? kyá tumhárá dil saḳht ho gayá hai? 18Áṉkheṉ haiṉ, aur tum dekhte nahíṉ? kán haiṉ, aur sunte nahíṉ? aur kyá tumheṉ yád nahíṉ? 19Jis waqt maiṉ ne wuh páṉch roṭiyáṉ páṉch hazár ke liye toṛíṉ, to tum ne kitní ṭokriyáṉ ṭukṛoṉ se bharí húí uṭháíṉ? Unhoṉ ne us se kahá; Bárah. 20Aur jis waqt sát roṭiyáṉ chár hazár ke liye toṛíṉ, to tum ne kitne ṭokre ṭukṛoṉ se bhare húe uṭháe? Unhoṉ ne us se kahá; Sát. 21Us ne un se kahá; Kyá tum ab tak nahíṉ samajhte?
22Phir wuh Baitsaidá meṉ áe. Aur log ek andhe ko us ke pás láe, aur us kí minnat kí, ki use chhúe. 23Wuh us andhe ká háth pakaṛkar use gáṉw se báhar le gayá; aur us kí áṉkhoṉ meṉ thúkkar apne háth us par rakkhe, aur us se púchhá; Kyá tú kuchh dekhtá hai? 24Us ne nazar uṭhákar kahá; Maiṉ ádmíoṉ ko dekhtá húṉ; kyúṉki wuh mujhe chalte húe aise dikháí dete haiṉ, jaise daraḳht. 25Phir us ne dobára us kí áṉkhoṉ par apne háth rakkhe, aur us ne gaur se nazar kí, aur achchhá ho gayá, aur sárí chízeṉ sáf sáf dekhne lagá. 26Phir us ne yih kahkar us ko us ke ghar kí taraf rawána kiyá, ki Is gáṉw ke andar qadam bhí na rakhná.
27Phir Yisúʻ aur us ke shágird Qaisariya Filippí ke gáṉwoṉ meṉ chale gaye: aur ráh meṉ us ne apne shágirdoṉ se yih púchhá, ki Log mujhe kyá kahte haiṉ? 28Unhoṉ ne yih jawáb diyá, ki Yúhanná baptisma denewálá; aur baʻz; Eliyyáh; aur baʻz; Nabíoṉ meṉ se koí. 29Us ne un se púchhá; Lekin tum mujhe kyá kahte ho? Patras ne jawáb meṉ us se kahá; Tú Masíh hai. 30Phir us ne unheṉ tákíd kí, ki merí bábat kisí se yih na kahná. 31Phir wuh unheṉ taʻlím dene lagá, ki Zarúr hai ki Ibn i Ádam bahut dukh uṭháe aur buzurg aur sardár káhin aur faqíh use radd karen, aur wuh qatl kiyá jáe, aur tín din ke baʻd jí uṭhe. 32Aur us ne yih bát sáf sáf kahí. Patras use alag le jákar use malámat karne lagá. 33Magar us ne phirke, aur apne shágirdoṉ par nigáh karke Patras ko malámat kiyá, aur kahá; Ai Shaitán, mere sámne se dúr ho, kyúṉki tú Ḳhudá kí bátoṉ ká nahíṉ, balki ádmíoṉ kí bátoṉ ká ḳhayál rakhtá hai. 34Phir us ne bhíṛ ko apne shágirdoṉ samet pás bulákar un se kahá; Agar koí mere píchhe áná cháhe, to apní ḳhudí se inkár kare, aur apní salíb uṭháe, aur mere píchhe ho le. 35Kyúṉki jo koí apní ján bachání cháhe wuh use khoegá, aur jo koí merí aur Injíl ke wáste apní ján khoegá, wuh use bacháegá. 36Aur ádmí agar sárí dunyá ko hásil kare aur apní ján ká nuqsán uṭháe to use kyá fáida hogá? 37Aur ádmí apní ján ke badle kyá de? 38Kyúṉki jo koí is zinákár aur ḳhatákár qaum meṉ mujh se aur merí bátoṉ se sharmáegá, Ibn i Ádam bhí, jab apne Báp ke jalál meṉ pák firishtoṉ ke sáth áegá, to us se sharmáegá.
Currently Selected:
Marqus 8: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)