YouVersion Logo
Search Icon

Marqus 7

7
1Phir Farísí aur baʻz faqíh us ke pás jamaʻ húe; wuh Yarúshalem se áe the, 2aur unhoṉ ne dekhá, ki us ke baʻz shágird nápák, yaʻní bin dhoe háthoṉ se roṭí kháte haiṉ. 3Kyúṉki Farísí aur sab Yahúdí, buzurgoṉ kí riwáyat par qáim rahne ke sabab, jab tak apne háth ḳhúb dho na leṉ nahíṉ kháte. 4Aur bázár se ákar, jab tak gusl na kar leṉ, nahíṉ kháte; aur bahut sí âur báteṉ haiṉ, jo qáim rakhne ke liye buzurgoṉ se unheṉ pahuṉchí haiṉ, jaise piyáloṉ, aur loṭoṉ, aur táṉbe ke bartanoṉ ká dhoná. 5Pas Farísíoṉ aur faqíhoṉ ne us se púchhá; Kyá sabab hai, ki tere shágird buzurgoṉ kí riwáyat par nahíṉ chalte, balki nápák háthoṉ se roṭí kháte haiṉ. 6Us ne un se kahá; Yashaʻyáh ne tum riyákároṉ ke haqq meṉ kyá ḳhúb nubuwwat kí; jaisá ki likhá hai;
Yih ummat zabán se to merí ʻizzat kartí hai,
Magar in ká dil mujh se dúr hai.
7Aur yih befáida merí parastish karte haiṉ,
Kyúṉki ádmíoṉ ke hukmoṉ kí taʻlím dete haiṉ.
8Tum Ḳhudá ke hukm ko tark karke ádmíoṉ kí riwáyat ko qáim rakhte ho. 9Aur us ne un se kahá; Tum apní riwáyat ke mánne ke liye Ḳhudá ke hukm ko kyá ḳhúb bátil karte ho! 10Kyúṉki Músá ne farmáyá hai ki Apne báp kí aur apní máṉ kí ʻizzat kar; aur, Jo koí báp yá máṉ ko burá kahe, wuh zarúr ján se márá jáe. 11Lekin tum kahte ho; Agar koí báp yá máṉ se kahe, ki Jis chíz ká tujhe mujh se fáida pahuṉch saktá thá, wuh qurbán, yaʻní Ḳhudá kí nazr ho chukí, 12to tum use phir báp yá máṉ kí kuchh madad karne nahíṉ dete. 13Yúṉ tum Ḳhudá ke kalám ko apní riwáyat se, jo tum ne járí kí hai, bátil kar dete ho; aur aise bahutere kám karte ho. 14Aur wuh logoṉ ko phir pás bulákar un se kahne lagá, ki Tum sab merí suno aur samjho. 15Koí chíz báhar se ádmí meṉ dáḳhil hokar use nápák nahíṉ kar saktí; magar jo chízeṉ ádmí meṉ se nikaltí haiṉ, wuhí ádmí ko nápák kartí haiṉ. [16Agar kisi ke sunne ke kán hoṉ to sun le.] 17Aur jab wuh bhíṛ ke pás se ghar meṉ gayá, to us ke shágirdoṉ ne us se is tamsíl ke maʻní púchhe. 18Us ne un se kahá; Kyá tum bhí aise besamajh ho? Kyá tum nahíṉ samajhte ki koí chíz jo báhar se ádmí ke andar játí hai, use nápák nahíṉ kar saktí; 19is liye ki wuh us ke dil meṉ nahíṉ, balki peṭ meṉ játí hai, aur páeḳháne meṉ nikal játí hai? Yih kahkár us ne tamám kháne kí chízoṉ ko pák ṭhahráyá. 20Phir us ne kahá; Jo ádmí meṉ se nikaltá hai, wuhí ádmí ko nápák kartá hai. 21Kyúṉki andar se, yaʻni ádmí ke dil se, bure ḳhayál, harámkáríáṉ, 22choriyáṉ, ḳhúnrezíáṉ, zinákáríáṉ, lálach, badíáṉ, makr, shahwatparastí, badnazarí, badgoí, sheḳhí, bewuqúfí nikaltí hai; 23yih sab burí báteṉ andar se nikalkar ádmí ko nápák kartí haiṉ.
24Phir waháṉ se uṭhkar Súr aur Saidá kí sarhaddoṉ meṉ gayá. Aur ek ghar meṉ dáḳhil húá, aur na cháhtá thá, ki koí jáne; magar poshída na rah saká; 25balki fiʼlfaur ek ʻaurat jis kí chhoṭí beṭí meṉ nápák rúh thí, us kí ḳhabar sunkar áí, aur us ke qadamoṉ par girí. 26Yih ʻaurat Yúnání thí, aur qaum kí Súrufíníkí. Us ne us se darḳhwást kí, ki badrúh ko merí beṭi meṉ se nikál. 27Us ne us se kahá, ki Pahle laṛkoṉ ko ser hone de, kyúṉki laṛkoṉ kí roṭí lekar kuttoṉ ko ḍál dení achchhí nahíṉ. 28Us ne jawáb meṉ kahá; Háṉ, Ḳhudáwand; kutte bhí mez ke tale laṛkoṉ ki roṭí ke ṭukṛoṉ meṉ se kháte haiṉ. 29Us ne us se kahá; Is kalám ke sabab já; badrúh terí beṭí se nikal gayí hai; 30aur us ne apne ghar meṉ jákar dekhá, ki laṛkí palang par paṛí hai, aur badrúh nikal gayí hai.
31Aur wuh phir Súr kí sarhaddoṉ se nikalkar Saidá kí ráh se Dikapulis kí sarhaddoṉ meṉ hotá húá Galíl kí jhíl par pahuṉchá. 32Aur logoṉ ne ek bahre ko jo haklá bhí thá, us ke pás lákar us kí minnat kí, ki apná háth us par rakh. 33Wuh us ko bhíṛ meṉ se alag le gayá, aur apní ungliyáṉ us ke kánoṉ meṉ ḍáliṉ, aur thúkkar us kí zabán chhúí, 34aur ásmán kí taraf nazar karke ek áh bharí, aur us se kahá; Iffattah, yaʻní Khul já. 35Aur us ke kán khul gaye, aur us kí zabán kí girih khul gayí, aur wuh sáf bolne lagá. 36Aur us ne unheṉ hukm diyá, ki Kisí se na kahná; lekin jitná wuh un ko hukm detá rahá, utná hí ziyáda wuh charchá karte rahe. 37Aur unhoṉ ne niháyat hí hairán hokar kahá; Jo kuchh us ne kiyá, sab achchhá kiyá; wuh bahroṉ ko sunne kí, aur gúṉgoṉ ko bolne kí táqat detá hai.

Currently Selected:

Marqus 7: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in