1
Marqus 7:21-23
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Kyúṉki andar se, yaʻni ádmí ke dil se, bure ḳhayál, harámkáríáṉ, choriyáṉ, ḳhúnrezíáṉ, zinákáríáṉ, lálach, badíáṉ, makr, shahwatparastí, badnazarí, badgoí, sheḳhí, bewuqúfí nikaltí hai; yih sab burí báteṉ andar se nikalkar ádmí ko nápák kartí haiṉ.
Compare
Explore Marqus 7:21-23
2
Marqus 7:15
Koí chíz báhar se ádmí meṉ dáḳhil hokar use nápák nahíṉ kar saktí; magar jo chízeṉ ádmí meṉ se nikaltí haiṉ, wuhí ádmí ko nápák kartí haiṉ. [
Explore Marqus 7:15
3
Marqus 7:6
Us ne un se kahá; Yashaʻyáh ne tum riyákároṉ ke haqq meṉ kyá ḳhúb nubuwwat kí; jaisá ki likhá hai; Yih ummat zabán se to merí ʻizzat kartí hai, Magar in ká dil mujh se dúr hai.
Explore Marqus 7:6
4
Marqus 7:7
Aur yih befáida merí parastish karte haiṉ, Kyúṉki ádmíoṉ ke hukmoṉ kí taʻlím dete haiṉ.
Explore Marqus 7:7
5
Marqus 7:8
Tum Ḳhudá ke hukm ko tark karke ádmíoṉ kí riwáyat ko qáim rakhte ho.
Explore Marqus 7:8
Home
Bible
Plans
Videos