YouVersion Logo
Search Icon

Marqus 6

6
1Phir waháṉ se nikalkar wuh apne watan meṉ áyá, aur us ke shágird us ke píchhe ho liye. 2Jab Sabt ká din áyá, to wuh ʻibádatḳháne meṉ taʻlím dene lagá; aur bahut log sunkar hairán húe aur kahne lage, ki Yih báteṉ is ko kaháṉ se á gayíṉ? aur yih kyá hikmat hai jo ise baḳhshí gayí hai, aur kaise muʻjize is ke háth se záhir hote haiṉ! 3Kyá yih wuhí baṛhaí nahíṉ, jo Maryam ká beṭá, aur Yaʻqúb aur Yoses aur Yahúdáh aur Shamaʻún ká bháí hai? Aur kyá us kí bahineṉ yaháṉ hamáre háṉ nahíṉ? Pas unhoṉ ne us ke sabab se ṭhokar kháí. 4Yisúʻ ne un se kahá, ki Nabí apne watan aur apne rishtadároṉ aur apne ghar ke siwá âur kahíṉ beʻizzat nahíṉ hotá. 5Aur wuh koí muʻjiza waháṉ na dikhá saká, siwá is ke, ki thoṛe se bímároṉ par háth rakhkar unheṉ achchhá kar diyá. 6Aur us ne un kí beiʻtiqádí par taʻajjub kiyá.
Aur wuh chároṉ taraf ke gáṉwoṉ meṉ taʻlím detá phirá.
7Aur us ne un bárah ko pás bulákar unheṉ do do karke bhejná shurúʻ kiyá; aur unheṉ nápák rúhoṉ par iḳhtiyár diyá; 8aur hukm diyá, ki ráste ke liye, siwá láṭhí ke, kuchh na lo; na roṭí, na jholí, na apne kamarband meṉ paise; 9magar jútiyáṉ pahino, aur do kurte na pahino. 10Aur us ne un se kahá; Jaháṉ tum kisí ghar meṉ dáḳhil ho, to usí meṉ raho, jab tak waháṉ se rawána na ho. 11Aur jis jagah ke log tumheṉ qubúl na kareṉ, aur tumhárí na suneṉ, waháṉ se chalte waqt apne talwoṉ kí gard jháṛ do, táki un par gawáhí ho. 12Aur unhoṉ ne rawána hokar manádí kí, ki Tauba karo; 13aur bahut badrúhoṉ ko nikálá, aur bahut bímároṉ ko tel malkar achchhá kiyá.
14Aur Herodes bádsháh ne us ká zikr suná, kyúṉki us ká nám mashhúr ho gayá thá, aur us ne kahá, ki Yúhanná baptisma denewálá murdoṉ meṉ se jí uṭhá hai, is liye us se muʻjize záhir hote haiṉ. 15Magar baʻz kahte the, ki Eliyyáh hai, aur baʻz yih, ki Nabíoṉ meṉ se kisí kí mánind ek nabí hai. 16Magar Herodes ne sunkar kahá, ki Yúhanná jis ká sir maiṉ ne kaṭwáyá, wuhí jí uṭha hai. 17Kyúṉki Herodes ne áp ádmí bhejkar Yúhanná ko pakaṛwáyá, aur apne bháí Filippus kí bíwí Herodiyás ke sabab se, use qaidḳháne meṉ báṉdh rakkhá thá, kyúṉki Herodes ne us se biyáh kiyá thá, 18aur Yúhanná ne us se kahá thá, ki Apne bháí kí bíwí rakhní tujhe rawá nahíṉ. 19Pas Herodiyás us se dushmaní rakhtí, aur cháhtí thí ki use qatl karáe, magar na ho saká; 20is wáste ki Herodes Yúhanná ko rástbáz aur muqaddas ádmí jánkar us se ḍartá, aur use bacháe rakhtá thá. Aur us kí báteṉ sunkar bahut hairán ho játá thá; magar suntá ḳhushí se thá. 21Aur mauqaʻ ke din, jab Herodes ne apní sálgirih meṉ apne amíroṉ aur faují sardároṉ, aur Galíl ke raísoṉ kí ziyáfat kí, 22aur usí Herodiyás kí beṭí andar áí, aur náchkar Herodes aur us ke mihmánoṉ ko ḳhush kiyá; to bádsháh ne us laṛkí se kahá, Jo cháhe mujh se máṉg, maiṉ tujhe dúṉgá; 23aur us se qasam kháí, ki Jo tú mujh se máṉgegí, apní ádhí bádsháhat tak tujhe dúṉgá. 24Aur us ne báhar jákar apní máṉ se kahá, ki Maiṉ kyá máṉgúṉ? Wuh bolí; Yúhanná baptisma denewále ká sir. 25Wuh fiʼlfaur bádsháh ke pás jaldí se andar ái, aur us se yih ʻarz kí; Maiṉ cháhtí húṉ, ki tú Yúhanná baptisma denewále ká sir ek thál meṉ abhí mujhe maṉgwá de. 26Bádsháh bahut gamgín húá, magar apní qasamoṉ aur mihmánoṉ ke sabab us se inkár karná na cháhá. 27Pas bádsháh ne fiʼlfaur ek sipáhí ko hukm dekar bhejá, ki us ká sir láe. Us ne jákar us ká sir qaidḳháne meṉ káṭá, 28aur ek thál meṉ rakhkar láyá aur laṛkí ko diyá, aur laṛkí ne apní máṉ ko diyá. 29Phir us ke shágird sunkar áe, aur us kí lásh uṭhákar qabr meṉ rakkhí.
30Aur rasúloṉ ne Yisúʻ ke pás jamaʻ hokar, jo kuchh unhoṉ ne kiyá, aur jo kuchh sikháyá thá, sab us se bayán kiyá. 31Us ne un se kahá; Tum áp alag wírán jagah meṉ chale áo, aur zará árám karo: is liye ki bahut log áte játe the, aur unheṉ kháná kháne kí bhí fursat na miltí thí. 32Pas wuh kishtí meṉ baiṭhkar alag ek wírán jagah meṉ chale gaye. 33Aur logoṉ ne unheṉ játe dekhá, aur bahuteroṉ ne pahchan liyá, aur sáre shahroṉ se ikaṭṭhe ho hokar paidal udhar dauṛe, aur un se pahle já pahuṉche. 34Aur us ne utarkar baṛí bhíṛ dekhí, aur use un par tars áyá, kyúṉki wuh un bheṛoṉ kí mánind the, jin ká charwáhá na ho; aur wuh unheṉ bahut báteṉ sikháne lagá. 35Jab din bahut ḍhal gayá, us ke shágird us ke pás ákar kahne lage; Yih jagah wírán hai, aur din bahut ḍhal gayá hai; 36unheṉ ruḳhsat kar, táki wuh chároṉ taraf kí bastiyoṉ aur gáṉwoṉ meṉ jákar, apne liye kuchh kháne ko mol leṉ. 37Us ne un se jawáb meṉ kahá; Tum hí unheṉ kháne ko do. Unhoṉ ne us se kahá; Kyá ham jákar do sau dínár kí roṭiyáṉ mol láeṉ, aur unheṉ khiláeṉ? 38Us ne un se kahá; Tumháre pás kitní roṭiyáṉ haiṉ? jáo, dekho. Unhoṉ ne daryáft karke kahá; Páṉch, aur do machhliyáṉ. 39Us ne unheṉ hukm diyá, ki sab harí ghás par jamáʻat jamáʻat karke baiṭh jáeṉ. 40Pas wuh sau sau aur pachás pachás kí qatáreṉ báṉdhkar baiṭh gaye. 41Phir us ne wuh páṉch roṭiyáṉ aur do machhliyáṉ líṉ, aur ásmán kí taraf dekhkar barakat cháhí, aur roṭiyáṉ toṛkar shágirdoṉ ko detá gayá, ki un ke áge rakkheṉ; aur wuh do machhliyáṉ bhí un sab meṉ báṉṭ díṉ. 42Pas wuh sab khákar ser ho gaye. 43Aur unhoṉ ne ṭukṛoṉ se bárah ṭokriyáṉ bharkar uṭháíṉ, aur kuchh machhliyoṉ se bhí. 44Aur jinhoṉ ne roṭiyáṉ kháíṉ, wuh páṉch hazár mard the.
45Aur fiʼlfaur us ne apne shágirdoṉ ko majbúr kiyá, ki kishtí par chaṛhkar us se pahle us pár Baitsaidá ko chale jáeṉ, jab tak wuh logoṉ ko ruḳhsat kare. 46Aur unheṉ ruḳhsat karke, paháṛ par duʻá máṉgne gayá. 47Aur jab shám húí, to kishtí jhíl ke bích meṉ thí, aur wuh akelá ḳhushkí par thá. 48Jab us ne dekhá, ki wuh khene se bahut tang haiṉ, kyúṉki hawá un ke muḳhálif thí, to rát ke pichhle pahar ke qaríb wuh jhíl par chaltá húá un ke pás áyá; aur un se áge nikal jáná cháhtá thá. 49Lekin unhoṉ ne use jhíl par chalte dekhkar ḳhayál kiyá ki bhút hai, aur chillá uṭhe, 50kyúṉki sab use dekhkar ghabrá gaye the. Magar us ne fiʼlfaur un se báteṉ kíṉ aur kahá; Ḳhátir jamaʻ rakkho: maiṉ húṉ; ḍaro nahíṉ. 51Phir wuh kishtí par un ke pás áyá, aur hawá tham gayí: aur wuh apne dil meṉ niháyat hairán húe; 52is liye ki wuh roṭiyoṉ ke báre meṉ na samjhe the, balki un ke dil saḳht ho gaye the.
53Aur wuh pár jákar Gannesarat ke ʻiláqe meṉ pahuṉche, aur kishtí gháṭ par lagáí. 54Aur jab kishtí par se utre, to fiʼlfaur log use pahchánkar 55us sáre ʻiláqe meṉ chároṉ taraf dauṛe, aur bímároṉ ko chárpáiyoṉ par ḍálkar, jaháṉ jaháṉ suná ki wuh hai, waháṉ waháṉ liye phire. 56Aur wuh ḳhwáh gáṉwoṉ, ḳhwáh shahroṉ, ḳhwáh bastiyoṉ meṉ jaháṉ kahíṉ játá thá, log bímároṉ ko bázároṉ meṉ rakhkar us kí minnat karte the, ki wuh sirf us kí poshák ká kanára chhú leṉ: aur jitne use chhúte the, sab achchhe ho játe the.

Currently Selected:

Marqus 6: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in