1
Marqus 9:23
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Yisúʻ ne us se kahá; Kyá! Agar tú kar saktá hai! Jo iʻtiqád rakhtá hai, us ke liye sab kuchh ho saktá hai.
Compare
Explore Marqus 9:23
2
Marqus 9:24
Fiʼlfaur us laṛke ká báp chillákar bolá; Maiṉ iʻtiqád rakhtá húṉ, tú merí beiʻtiqádi ká ʻiláj kar.
Explore Marqus 9:24
3
Marqus 9:28-29
Jab wuh ghar meṉ áyá, to us ke shágirdoṉ ne alag us se púchhá, ki Ham use kyúṉ na nikál sake? Us ne un se kahá, ki Yih qism duʻá ke siwá kisí âur tarah nahíṉ nikal saktí.
Explore Marqus 9:28-29
4
Marqus 9:50
Namak achchhá hai; lekin agar namak kí namkíní játí rahe, to us ko kis chíz se mazadár karoge? Apne meṉ namak rakkho, aur ek dúsre ke sáth mel miláp se raho.
Explore Marqus 9:50
5
Marqus 9:37
Jo koí mere nám par aise bachchoṉ meṉ se ek ko qubúl kartá hai, wuh mujhe qubúl kartá hai; aur jo koí mujhe qubúl kartá hai, wuh mujhe nahíṉ, balki use jis ne mujhe bhejá hai qubúl kartá hai.
Explore Marqus 9:37
6
Marqus 9:41
Aur jo koí ek piyála pání tumheṉ is liye piláe ki tum Masíh ke ho, maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki wuh apná ajr hargiz na khoegá.
Explore Marqus 9:41
7
Marqus 9:42
Aur jo koí in chhoṭoṉ meṉ se jo mujh par ímán láe haiṉ kisí ko ṭhokar khiláe, us ke liye yih bihtar hai, ki ek baṛí chakki ká páṭ us ke gale meṉ laṭkáyá jáe, aur wuh samundar meṉ pheṉk diyá jáe.
Explore Marqus 9:42
8
Marqus 9:47
Aur agar terí áṉkh tujhe ṭhokar khiláe, to use nikál ḍál; káná hokar Ḳhudá kí bádsháhat meṉ dáḳhil honá tere liye is se bihtar hai, ki do áṉkheṉ hote jahannam meṉ ḍálá jáe
Explore Marqus 9:47
Home
Bible
Plans
Videos