1
Marqus 10:45
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Kyúṉki Ibn i Ádam bhí is liye nahíṉ áyá ki ḳhidmat le, balki ḳhidmat kare, aur apní ján bahuteroṉ ke badle fidye meṉ de.
Compare
Explore Marqus 10:45
2
Marqus 10:27
Yisúʻ ne un kí taraf nazar karke kahá; Yih ádmíoṉ se to nahíṉ ho saktá, lekin Ḳhudá se ho saktá hai: kyúṉki Ḳhudá se sab kuchh ho saktá hai.
Explore Marqus 10:27
3
Marqus 10:52
Yisúʻ ne us se kahá; Já, tere ímán ne tujhe achchhá kar diyá. Wuh fiʼlfaur bíná ho gayá, aur ráh meṉ us ke píchhe ho liyá.
Explore Marqus 10:52
4
Marqus 10:9
Is liye jise Ḳhudá ne joṛá hai, use ádmí judá na kare.
Explore Marqus 10:9
5
Marqus 10:21
Yisúʻ ne us par nazar kí, aur use us par piyár áyá, aur us se kahá; Ek bát kí tujh meṉ kamí hai: já, jo kuchh terá hai bechkar garíboṉ ko de, tujhe ásmán par ḳhazána milegá: aur ákar mere píchhe ho le.
Explore Marqus 10:21
6
Marqus 10:51
Yisúʻ ne us se kahá; Tú kyá cháhtá hai, ki maiṉ tere liye karúṉ? Andhe ne us se kahá; Ai Rabbúní, yih ki maiṉ bíná ho jáúṉ.
Explore Marqus 10:51
7
Marqus 10:43
Magar tum meṉ aisá nahíṉ hai: balki jo tum meṉ baṛá honá cháhe, wuh tumhárá ḳhádim bane
Explore Marqus 10:43
8
Marqus 10:15
Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Jo koí Ḳhudá kí bádsháhat ko bachche kí tarah qubúl na kare, wuh us meṉ hargiz dáḳhil na hogá.
Explore Marqus 10:15
9
Marqus 10:31
Lekin bahut se awwal áḳhir ho jáeṉge, aur áḳhir awwal.
Explore Marqus 10:31
10
Marqus 10:6-8
Lekin ḳhilqat ke shurúʻ se, Us ne unheṉ mard aur ʻaurat banáyá. Is sabab se mard apne báp se aur máṉ se judá hokar apní bíwí ke sáth rahegá, aur wuh aur us kí bíwí donoṉ ek jism hoṉge: pas wuh do nahíṉ, balki ek jism haiṉ.
Explore Marqus 10:6-8
Home
Bible
Plans
Videos