Yaʻqúb 5
5
1Ai daulatmando, zará suno to; tum apní musíbatoṉ par jo ánewálí haiṉ roo aur wáwailá karo. 2Tumhárá mál bigaṛ gayá, aur tumhárí poshákoṉ ko kíṛá khá gayá. 3Tumháre sone cháṉdí ko zang lag gayá; aur, wuh zang tum par gawáhí degá, aur ág kí tarah; tumhárá gosht kháegá. Tum ne aḳhír zamáne meṉ ḳhazána jamaʻ kiyá hai. 4Dekho, jin mazdúroṉ ne tumháre khet káṭe, un kí wuh mazdúrí jo tum ne dagá karke rakh chhoṛí, chillátí hai, aur fasl káṭne-wáloṉ kí faryád Rabbuʼl afwáj ke kánoṉ tak pahuṉch gayí hai. 5Tum ne zamín par ʻaish o ʻishrat kí, aur maze uṛáe; tum ne apne diloṉ ko zabh ke din moṭá táza kiyá. 6Tum ne rástbáz shaḳhs ko qusúrwár ṭhahráyá aur qatl kiyá; wuh tumhárá muqábala nahíṉ kartá.
7Pas, ai bháiyo, Ḳhudáwand kí ámad tak sabr karo. Dekho, kisán zamín kí qímatí paidáwár ke intizár meṉ pahle aur pichhle meṉh ke barasne tak sabr kartá rahtá hai. 8Tum bhí sabr karo, aur apne diloṉ ko mazbút rakkho; kyúṉki Ḳhudáwand kí ámad qaríb hai. 9Ai bháiyo, ek dúsre kí shikáyat na karo, táki tum sazá na páo: dekho, munsif darwáze par khaṛá hai. 10Ai bháiyo, jin nabíoṉ ne Ḳhudáwand ke nám se kalám kiyá, un ko dukh uṭháne, aur sabr karne ká namúna samjho. 11Dekho, sabr kamewáloṉ ko ham mubárak kahte haíṉ: tum ne Aiyúb ke sabr ká hál to suná hí hai, aur Ḳhudáwand kí taraf se jo is ká anjám húá, use bhí maʻlúm kar liyá, jis se Ḳhudáwand ká bahut tars aur rahm záhir hotá hai.
12Magar, ai mere bháiyo, sab se baṛhkar yih hai, ki qasam na kháo; na ásmán kí, na zamín kí, na kisí âur chíz kí, balki háṉ kí jagah háṉ karo, aur nahíṉ kí jagah nahíṉ, táki sazá ke láiq na ṭhahro.
13Agar tum meṉ koí musíbatzada ho, to duʻá máṉge. Agar ḳhush ho, to hamd ke gít gáe. 14Agar tum meṉ koí bímár ho, to kalísiyá ke buzurgoṉ ko buláe, aur wuh Ḳhudáwand ke nám se us ko tel malkar, us ke liye duʻá máṉgeṉ; 15jo duʻá ímán ke sáth hogí, us ke báʻis bímár bach jáegá, aur Ḳhudáwand use uṭhá khaṛá karegá, aur agar us ne gunáh kiye hoṉ, to un kí bhí muʻáfí ho jáegí. 16Pas tum ápas meṉ ek dúsre se apne apne gunáhoṉ ká iqrár karo; aur ek dúsre ke liye duʻá máṉgo, táki shifá páo. Rástbáz kí duʻá ke asar se bahut kuchh ho saktá hai. 17Eliyyáh hamárá hamtabíʻat insán thá; us ne baṛe josh se duʻá kí, ki meṉh na barse; chunáṉchi sáṛhe tín baras tak zamín par meṉh na barsá. 18Phir us ne duʻá kí, to ásmán se pání barsá, aur zamín meṉ paidáwár húí.
19Ai mere bháiyo, agar tum meṉ koí ráh i haqq se gumráh ho jáe, aur koí us ko pher láe, 20to wuh yih ján le, ki jo koí kisí gunahgár ko us kí gumráhí se pher láegá, wuh ek ján ko maut se bacháegá, aur bahut se gunáhoṉ par parda ḍálegá.
Currently Selected:
Yaʻqúb 5: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)