1
Yaʻqúb 5:16
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Pas tum ápas meṉ ek dúsre se apne apne gunáhoṉ ká iqrár karo; aur ek dúsre ke liye duʻá máṉgo, táki shifá páo. Rástbáz kí duʻá ke asar se bahut kuchh ho saktá hai.
Compare
Explore Yaʻqúb 5:16
2
Yaʻqúb 5:13
Agar tum meṉ koí musíbatzada ho, to duʻá máṉge. Agar ḳhush ho, to hamd ke gít gáe.
Explore Yaʻqúb 5:13
3
Yaʻqúb 5:15
jo duʻá ímán ke sáth hogí, us ke báʻis bímár bach jáegá, aur Ḳhudáwand use uṭhá khaṛá karegá, aur agar us ne gunáh kiye hoṉ, to un kí bhí muʻáfí ho jáegí.
Explore Yaʻqúb 5:15
4
Yaʻqúb 5:14
Agar tum meṉ koí bímár ho, to kalísiyá ke buzurgoṉ ko buláe, aur wuh Ḳhudáwand ke nám se us ko tel malkar, us ke liye duʻá máṉgeṉ
Explore Yaʻqúb 5:14
5
Yaʻqúb 5:20
to wuh yih ján le, ki jo koí kisí gunahgár ko us kí gumráhí se pher láegá, wuh ek ján ko maut se bacháegá, aur bahut se gunáhoṉ par parda ḍálegá.
Explore Yaʻqúb 5:20
Home
Bible
Plans
Videos