1
Yaʻqúb 4:7
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Pas Ḳhudá ke tábiʻ ho jáo; aur Iblís ká muqábala karo, to wuh tum se bhág jáegá.
Compare
Explore Yaʻqúb 4:7
2
Yaʻqúb 4:8
Ḳhudá ke nazdík jáo, to wuh tumháre nazdík áegá. Ai gunahgáro, apne háthoṉ ko sáf karo; aur ai dodilo, apne diloṉ ko pák karo.
Explore Yaʻqúb 4:8
3
Yaʻqúb 4:10
Ḳhudáwand ke sámne firotaní karo, wuh tumheṉ sarbaland karegá.
Explore Yaʻqúb 4:10
4
Yaʻqúb 4:6
Wuh to ziyáda taufíq baḳhshtá hai. Isí liye yih áyá hai, ki Ḳhudá magrúroṉ ká muqábala kartá hai, magar firotanoṉ ko taufíq baḳhshtá hai.
Explore Yaʻqúb 4:6
5
Yaʻqúb 4:17
Pas jo koí bhaláí karní jántá hai, aur nahíṉ kartá, us ke liye yih gunáh hai.
Explore Yaʻqúb 4:17
6
Yaʻqúb 4:3
tum máṉgte ho, aur páte nahíṉ, is liye ki burí níyat se máṉgte ho, táki apní ʻaish o ʻishrat meṉ ḳharch karo.
Explore Yaʻqúb 4:3
7
Yaʻqúb 4:4
Ai ziná karnewáliyo, kyá tumheṉ nahíṉ maʻlúm, ki dunyá se dostí rakhní Ḳhudá se dushmaní karní hai? Pas jo koí dunyá ká dost banná cháhtá hai, wuh apne áp ko Ḳhudá ká dushman banátá hai.
Explore Yaʻqúb 4:4
8
Yaʻqúb 4:14
aur yih jánte nahíṉ ki kal kyá hogá; zará suno to. Tumhárí zindagí chíz hí kyá hai? Buḳhárát ká sá hál hai; abhí nazar áe, abhí gáib ho gaye.
Explore Yaʻqúb 4:14
Home
Bible
Plans
Videos