YouVersion Logo
Search Icon

Yaʻqúb 4

4
1Tum meṉ laṛáiyáṉ aur jhagṛe kaháṉ se á gaye? Kyá un ḳhwáhishoṉ se nahíṉ, jo tumháre aʻzá meṉ fasád kartí haiṉ? 2Tum ḳhwáhish karte ho, aur tumheṉ miltá nahíṉ: ḳhún aur hasad karte ho, aur kuchh hásil nahíṉ kar sakte; tum jhagaṛte aur laṛte ho; tumheṉ is liye nahíṉ miltá, ki máṉgte nahíṉ; 3tum máṉgte ho, aur páte nahíṉ, is liye ki burí níyat se máṉgte ho, táki apní ʻaish o ʻishrat meṉ ḳharch karo. 4Ai ziná karnewáliyo, kyá tumheṉ nahíṉ maʻlúm, ki dunyá se dostí rakhní Ḳhudá se dushmaní karní hai? Pas jo koí dunyá ká dost banná cháhtá hai, wuh apne áp ko Ḳhudá ká dushman banátá hai. 5Kyá tum yih samajhte ho, ki kitáb i muqaddas befáida kahtí hai? Jis rúh ko us ne hamáre andar basáyá hai, kyá wuh aisí árzú kartí hai, jis ká anjám hasad ho? 6Wuh to ziyáda taufíq baḳhshtá hai. Isí liye yih áyá hai, ki Ḳhudá magrúroṉ ká muqábala kartá hai, magar firotanoṉ ko taufíq baḳhshtá hai. 7Pas Ḳhudá ke tábiʻ ho jáo; aur Iblís ká muqábala karo, to wuh tum se bhág jáegá. 8Ḳhudá ke nazdík jáo, to wuh tumháre nazdík áegá. Ai gunahgáro, apne háthoṉ ko sáf karo; aur ai dodilo, apne diloṉ ko pák karo. 9Afsos aur mátam karo, aur roo: tumhárí haṉsí mátam se badal jáe, aur tumhárí ḳhushí udásí se. 10Ḳhudáwand ke sámne firotaní karo, wuh tumheṉ sarbaland karegá.
11Ai bháiyo, ek dúsre kí badgoí na kare. Jo apne bháí kí badgoí kartá, yá bháí par ilzám lagátá hai, wuh sharíʻat kí badgoí kartá, aur sharíʻat par ilzám lagátá hai; aur agar tú sharíʻat par ilzám lagátá hai, to sharíʻat par ʻamal karnewálá nahíṉ, balki us par hákim ṭhahrá. 12Sharíʻat ká denewálá aur hákim to ek hí hai, jo bacháne aur halák karne par qádir hai; tú kaun hai, jo apne paṛausí par ilzám lagátá hai?
13Tum jo yih kahte ho, ki Ham áj yá kal fuláṉ shahr meṉ jákar waháṉ ek baras ṭhahreṉge, aur saudá-garí karke nafaʻ uṭháeṉge; 14aur yih jánte nahíṉ ki kal kyá hogá; zará suno to. Tumhárí zindagí chíz hí kyá hai? Buḳhárát ká sá hál hai; abhí nazar áe, abhí gáib ho gaye. 15Bajáe is ke tumheṉ yih kahná cháhiye, ki Agar Ḳhudáwand cháhe, to ham zinda bhí raheṉge, aur yih yá wuh kám bhí kareṉge. 16Magar ab tum apní sheḳhíoṉ par faḳhr karte ho; aisá sab faḳhr burá hai. 17Pas jo koí bhaláí karní jántá hai, aur nahíṉ kartá, us ke liye yih gunáh hai.

Currently Selected:

Yaʻqúb 4: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in