1
Yaʻqúb 3:17
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Magar jo hikmat úpar se átí hai, awwal to wuh pák hotí hai, phir milansár, halím, aur tarbiyatpizír, rahm aur achchhe phaloṉ se ladí húí, betarafdár, aur beriyá hotí hai.
Compare
Explore Yaʻqúb 3:17
2
Yaʻqúb 3:13
Tum meṉ dáná aur samajhdár kaun hai? jo aisá ho, wuh apne kámoṉ ko nek chál chalan ke wasíle se us hilm ke sáth záhir kare jo hikmat se paidá hotá hai.
Explore Yaʻqúb 3:13
3
Yaʻqúb 3:18
Aur sulh karánewáloṉ ke liye rástbází ká phal sulh ke sáth boyá játá hai.
Explore Yaʻqúb 3:18
4
Yaʻqúb 3:16
Is liye ki jaháṉ hasad aur tafriqa hotá hai, waháṉ fasád aur har tarah ká burá kám bhí hotá hai.
Explore Yaʻqúb 3:16
5
Yaʻqúb 3:9-10
Isí se ham Ḳhudáwand aur Báp kí hamd karte haiṉ; aur isí se ádmíoṉ ko, jo Ḳhudá kí súrat par paidá húe haiṉ, badduʻá dete haiṉ. Ek hí muṉh se mubárakbád aur badduʻá nikaltí hai. Ai mere bháiyo, aisá na honá cháhiye.
Explore Yaʻqúb 3:9-10
6
Yaʻqúb 3:6
Zabán bhí ek ág hai; zabán hamáre aʻzá meṉ sharárat ká ek ʻálam hai, aur sáre jism ko dág lagátí hai, aur dáira e dunyá ko ág lagá detí hai, aur jahannam kí ág se jaltí rahtí hai.
Explore Yaʻqúb 3:6
7
Yaʻqúb 3:8
magar zabán ko koí ádmí qábú meṉ nahíṉ kar saktá; wuh ek balá hai, jo kabhí ruktí hí nahíṉ; zahr i qátil se bharí húí hai.
Explore Yaʻqúb 3:8
8
Yaʻqúb 3:1
Ai mere bháiyo, tum meṉ se bahut se ustád na baneṉ, kyúṉki jánte ho, ki ham jo ustád haiṉ ziyáda sazá páeṉge
Explore Yaʻqúb 3:1
Home
Bible
Plans
Videos