YouVersion Logo
Search Icon

1 Patras 1

1
1Patras kí taraf se, jo Yisúʻ Masíh ká rasúl hai, un musáfiroṉ ke nám jo Puntus, Galatiya, Kappadukiya, Ásiya aur Bithuniya meṉ jábajá rahte haiṉ, 2aur Ḳhudá Báp ke ʻilm i sábiq ke mu-wáfiq, Rúh ke pák karne se, farmánbardár hone aur Yisúʻ Masíh ká ḳhún chhiṛke jáne ke liye barguzída húe haiṉ. Fazl aur itmínán tumheṉ ziyáda hásil hotá rahe.
3Hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke Ḳhudá aur Báp kí hamd ho, jis ne Yisúʻ Masíh ke murdoṉ meṉ se jí uṭhne ke báʻis apní baṛí rahmat se hameṉ zinda ummed ke liye naye sire se paidá kiyá, 4táki ek gairfání, aur bedág, aur lázawál mírás ko hásil kareṉ; 5wuh tumháre wáste, jo Ḳhudá kí qudrat se ímán ke wasíle us naját ke liye, jo áḳhirí waqt meṉ záhir hone ko taiyár hai, hifázat kiye játe ho, ásmán par mahfúz hai. 6Is ke sabab tum ḳhushí manáte ho, agarchi ab chand roz ke liye zarúrat kí wajh se, tarah tarah kí ázmáishoṉ ke sabab gamzada ho; 7aur yih is liye hai, ki tumhárá ázmáyá húá ímán, jo ág se ázmáe húe fání sone se bhí bahut hí beshqímat hai, Yisúʻ Masíh ke zuhúr ke waqt taʻríf aur jalál aur ʻizzat ká báʻis ṭhahre: 8us se tum bedekhe mahabbat rakhte ho, aur agarchi is waqt us ko nahíṉ dekhte, táham us par ímán lákar aisí ḳhushí manáte ho, jo bayán se báhar aur jalál se bharí hai; 9aur apne ímán ká maqsad, yaʻní rúhoṉ kí naját, hásil karte ho. 10Isí naját kí bábat un nabíoṉ ne baṛí talásh aur tahqíq kí, jinhoṉ ne us fazl ke báre meṉ jo tum par hone ko thá, nubuwwat kí. 11Unhoṉ ne is bát kí tahqíq kí, ki Masíh kí Rúh, jo un meṉ thí, aur peshtar se Masíh ke dukhoṉ kí, aur un ke baʻd ke jalál kí gawáhí detí thí, wuh kaun se aur kaise waqt kí taraf ishára kartí thí. 12Un par yih záhir kiyá gayá, ki wuh na apní, balki tumhárí ḳhidmat ke liye yih báteṉ kahá karte the, jin kí ḳhabar ab tum ko un kí maʻrifat milí, jinhoṉ ne Rúhuʼl Quds ke wasíle jo ásmán par se bhejá gayá, tum ko ḳhushḳhabarí dí; aur firishte bhí in bátoṉ par gaur se nazar karne ke mushtáq haiṉ.
13Is wáste apní ʻaql kí kamar báṉdhkar, aur hoshyár hokar, us fazl kí kámil ummed rakkho, jo Yisúʻ Masíh ke zuhúr ke waqt tum par honewálá hai; 14aur farmánbardár farzand hokar apní jahálat ke zamáne kí purání ḳhwáhishoṉ ke tábiʻ na bano; 15balki jis tarah tumhárá bulánewálá pák hai, usí tarah tum bhí apne sáre chál chalan meṉ pák bano; 16kyúṉki likhá hai, ki Pák ho, is liye ki maiṉ pák húṉ. 17Aur jab ki tum Báp kahkar us se duʻá máṉgte ho, jo har ek ke kám ke muwáfiq bagair tarafdárí ke insáf kartá hai, to apní musáfirat ká zamána ḳhauf ke sáth guzáro: 18kyúṉki tum jánte ho, ki tumhárá nikammá chál chalan jo bápdádá se chalá átá thá, us se tumhárí ḳhalásí fání chízoṉ, yaʻní sone chándí ke zaríʻe se nahíṉ húí; 19balki ek beʻaib aur bedág barre, yaʻní Masíh ke beshqímat khún se; 20us ká ʻilm to biná e ʻálam ke peshtar se thá, magar zuhúr aḳhír zamáne meṉ tumhárí ḳhátir húá, 21ki us ke wasíle se Ḳhudá par ímán láe ho, jis ne us ko murdoṉ meṉ se jiláyá, aur jalál baḳhshá, táki tumhárá ímán aur ummed Ḳhudá par ho. 22Chúṉki tum ne haqq kí tábiʻdárí se apne diloṉ ko pák kiyá hai, jis se bháiyoṉ kí beriyá mahabbat paidá húí, is liye dil o ján se ápas meṉ bahut mahabbat rakkho; 23kyúṉki tum fání tuḳhm se nahíṉ, balki gairfání se, Ḳhudá ke kalám ke wasíle, jo zinda aur qáim hai, naye sire se paidá húe ho. 24Chunáṉchi
Har bashar ghás kí mánind hai,
Aur us kí sárí shán o shaukat ghás ke phúl kí mánind:
Ghás to súkh játí hai, aur phúl gir játá hai;
25Lekin Ḳhudáwand ká kalám abad tak qáim rahegá.
Yih wuhí ḳhushḳhabarí ká kalám hai, jo tumheṉ sunáyá gayá thá.

Currently Selected:

1 Patras 1: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in