YouVersion Logo
Search Icon

ʻIbrá Níoṉ 4

4
1Pas jab us ke árám meṉ dáḳhil hone ká waʻda báqí hai, to hameṉ ḍarná cháhiye, aisá na ho ki tum meṉ se koí rahá húá maʻlúm ho. 2Kyúṉki hameṉ bhí un hí kí tarah ḳhushḳhabarí sunáí gayí. Lekin sune húe kalám ne un ko is liye kuchh fáida na diyá, ki sunnewáloṉ ke diloṉ meṉ ímán ke sáth na baiṭhá. 3Aur ham jo ímán láe, us árám meṉ dáḳhil hote haiṉ, jis tarah us ne kahá, ki
Maiṉ ne apne gazab meṉ qasam kháí,
Ki yih mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge:
go biná e ʻálam ke waqt us ke kám ho chuke the. 4Chunáṉchi us ne sátweṉ din kí bábat kisí mauqaʻ par is tarah kahá hai, ki Ḳhudá ne apne sáre kámoṉ ko púrá karke sátweṉ din árám kiyá. 5Aur phir is maqám par yih kahtá hai, ki
Wuh mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge.
6Pas jab yih bát báqí hai, ki baʻz us árám meṉ dáḳhil hoṉ, aur jin ko pahle ḳhushḳhabarí sunáí gayí thí, wuh náfarmání ke sabab se dáḳhil na húe; 7to phir ek ḳháss din ṭhahrákar, itní muddat ke baʻd Dáúd kí kitáb meṉ use Áj ká din kahtá hai, jaisá peshtar kahá gayá, ki
Agar áj tum us kí áwáz suno,
To apne diloṉ ko saḳht na karo.
8Aur agar Yahoshúʻ ne unheṉ árám meṉ dáḳhil kiyá hotá, to wuh us ke baʻd dúsre din ká zikr na kartá. 9Pas Ḳhudá kí ummat ke liye sabt ká árám báqí hai. 10Kyúṉki jo us ke árám meṉ dáḳhil húá, us ne bhí Ḳhudá kí tarah apne kámoṉ ko púrá karke árám kiyá. 11Pas áo, ham us árám meṉ dáḳhil hone kí koshish kareṉ, táki un kí tarah náfarmání karke koí shaḳhs gir na paṛe. 12Kyúṉki Ḳhudá ká kalám zinda aur muassir, aur har ek dodhárí talwár se ziyáda tez hai, aur ján aur rúh, aur band band, aur gúde gúde ko judá karke guzar játá hai, aur dil ke ḳhayáloṉ aur irádoṉ ko jáṉchtá hai. 13Aur us se maḳhlúqát kí koí chíz chhipí nahíṉ, balki jis se ham ko kám hai us kí nazaroṉ meṉ sab chízeṉ khulí aur beparda haiṉ.
14Pas jab hamárá ek aisá baṛá sardár káhin hai, jo ásmánoṉ se guzar gayá, yaʻní Ḳhudá ká Beṭá Yisúʻ, to áo, ham apne iqrár par qáim raheṉ. 15Kyúṉki hamárá aisá sardár káhin nahíṉ, jo hamárí kamzoríoṉ meṉ hamárá hamdard na ho sake, balki sárí bátoṉ meṉ hamárí tarah ázmáyá gayá, táham begunáh rahá. 16Pas áo, ham fazl ke taḳht ke pás dilerí se chaleṉ, táki ham par rahm ho, aur wuh fazl hásil kareṉ jo zarúrat ke waqt hamárí madad kare.

Currently Selected:

ʻIbrá Níoṉ 4: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in