YouVersion Logo
Search Icon

ʻIbrá Níoṉ 5

5
1Kyúṉki har sardár káhin ádmíoṉ meṉ se muntaḳhab hokar ádmíoṉ hí ke liye un bátoṉ ke wáste muqarrar kiyá játá hai, jo Ḳhudá se ʻiláqa rakhtí haiṉ, táki nazreṉ aur gunáhoṉ kí qurbáníáṉ guzráne: 2aur wuh nádánoṉ aur gumráhoṉ se narmí ke sáth pesh áne ke qábil hotá hai, is liye ki wuh ḳhud bhí kamzorí meṉ mubtalá rahtá hai; 3aur isí sabab se us par farz hai, ki gunáhoṉ kí qurbání jis tarah ummat kí taraf se guzráne, usí tarah apní taraf se bhí chaṛháe. 4Aur koí shaḳhs apne áp yih ʻizzat iḳhtiyár nahíṉ kartá, jab tak Hárún kí tarah Ḳhudá kí taraf se buláyá na jáe. 5Isí tarah Masíh ne bhí sardár káhin hone kí buzurgí apne taíṉ nahíṉ dí, balki usí ne dí, jis ne us se kahá thá, ki
Tú merá Beṭá hai,
Áj tú mujh se paidá húá:
6chunáṉchi wuh dúsre maqám par bhí kahtá hai, ki
Tú Malik i Sidq ke taríqe ká
Abad tak káhin hai.
7Us ne apní basharíyat ke dinoṉ meṉ, zor zor se pukárkar aur áṉsú bahá bahákar, usí se duʻáeṉ aur iltijáeṉ kíṉ, jo us ko maut se bachá saktá thá, aur ḳhudátarsí ke sabab us kí suní gayí; 8aur báwujúd Beṭá hone ke us ne dukh uṭhá uṭhákar farmánbardárí síkhí; 9aur kámil bankar apne sab farmánbardároṉ ke liye abadí naját ká báʻis húá; 10aur use Ḳhudá kí taraf se Malik i Sidq ke taríqe ke sardár káhin ká ḳhitáb milá.
11Is báre meṉ hameṉ bahut sí báteṉ kahní haiṉ, jin ká samjháná mushkil hai, is liye ki tum únchá sunne lage. 12Waqt ke ḳhayál se to tumheṉ ustád honá cháhiye thá, magar ab is bát kí hájat hai, ki koí shaḳhs Ḳhudá ke kalám ke ibtidáí usúl tumheṉ phir sikháe; aur saḳht gizá kí jagah tumheṉ dúdh píne kí hájat paṛ gayí. 13Kyúṉki dúdh píte húe ko rástbází ke kalám ká tajriba nahíṉ hotá, is liye ki wuh bachcha hai. 14Aur saḳht gizá púrí ʻumrwáloṉ ke liye hotí hai, jin ke hawáss kám karte karte nek o bad meṉ imtiyáz karne ke liye tez ho gaye haiṉ.

Currently Selected:

ʻIbrá Níoṉ 5: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in