ʻIbrá Níoṉ 6
6
1Pas áo, Masíh kí taʻlím kí ibtidáí báteṉ chhoṛkar kamál kí taraf qadam baṛháeṉ, aur murda kámoṉ se tauba karne, aur Ḳhudá par ímán láne kí, 2aur baptismoṉ, aur háth rakhne, aur murdoṉ ke jí uṭhne, aur abadí ʻadálat kí taʻlím kí bunyád dobára na dáleṉ. 3Aur Ḳhudá cháhe, to ham yihí kareṉge. 4Kyúṉki jin logoṉ ke dil ek bár raushan ho gaye, aur wuh ásmání baḳhshish ká maza chakh chuke, aur Rúhuʼl Quds meṉ sharík ho gaye, 5aur Ḳhudá ke ʻumda kalám, aur áyanda jahán kí quwwatoṉ ká záiqa le chuke, 6agar wuh bargashta ho jáeṉ, to unheṉ tauba ke liye phir nayá banáná námumkin hai, is liye ki wuh Ḳhudá ke Beṭe ko apní taraf se dobára salíb dekar ʻalániya zalíl karte haiṉ. 7Kyúṉki jo zamín us bárish ká pání pí letí hai, jo us par bár bár hotí hai, aur un ke kárámad sabzí paidá kartí hai, jin kí taraf se us kí kásht bhí hotí hai, wuh Ḳhudá kí taraf se barakat pátí hai: 8aur agar jháṛiyáṉ aur úṉṭkaṭáre ugátí hai, to námaqbúl, aur qaríb hai ki laʻnatí ho, aur us ká anjám jaláyá jáná hai.
9Lekin, ai ʻazízo, agarchi ham yih báteṉ kahte haiṉ, táham tumhárí nisbat in se bihtar aur naját-wálí bátoṉ ká yaqín karte haiṉ: 10is liye ki Ḳhudá beinsáf nahíṉ, jo tumháre kám aur us mahabbat ko bhúl jáe, jo tum ne us ke nám ke wáste is tarah záhir kí, ki muqaddasoṉ kí ḳhidmat kí, aur kar rahe ho. 11Aur ham is bát ke árzúmand haiṉ, ki tum meṉ se har shaḳhs púrí ummed ke wáste áḳhir tak isí tarah koshish záhir kartá rahe: 12táki tum sust na ho jáo, balki un kí mánind bano, jo ímán aur tahammul ke báʻis waʻdoṉ ke wáris hote haiṉ.
13Chunáṉchi jab Ḳhudá ne Ibráhím se waʻda karte waqt qasam kháne ke wáste kisí ko apne se baṛá na páyá, to apní hí qasam khákar 14kahá, ki Yaqínan main tujhe barakatoṉ par barakateṉ baḳhshúṉgá, aur terí aulád ko bahut baṛháúṉgá. 15Aur is tarah sabr karke us ne waʻda kí húí chíz ko hásil kiyá. 16Ádmí to apne se baṛe kí qasam kháyá karte haiṉ, aur un ke har qaziye ká áḳhirí subút qasam se hotá hai. 17Is liye jab Ḳhudá ne cháhá, ki wáʻde ke wárisoṉ par âur bhí sáf taur se záhir kare, ki merá iráda badal nahíṉ saktá, to qasam ko darmiyán meṉ láyá: 18tá-ki do betabdíl chízoṉ ke báʻis, jin ke báre meṉ Ḳhudá ká jhúṭh bolná mumkin nahíṉ, hamárí puḳhta taur se diljamʻí ho jáe, jo panáh lene ko is liye dauṛe haiṉ, ki us ummed ko, jo sámne rakkhí húí hai, qabze meṉ láeṉ; 19wuh hamárí ján ká aisá langar hai, jo sábit aur qáim rahtá hai, aur parde ke andar tak bhí pahuṉchtá hai; 20jaháṉ Yisúʻ hamesha ke liye Malik i Sidq ke taríqe ká sardár káhin bankar, hamárí ḳhátir peshrau ke taur par dáḳhil húá hai.
Currently Selected:
ʻIbrá Níoṉ 6: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)