YouVersion Logo
Search Icon

ʻIbrá Níoṉ 7

7
1Aur yih Malik i Sidq Shálem ká bádsháh, Ḳhudá Taʻálá ká káhin, hameshá káhin rahtá hai: jab Ibráhím bádsháhoṉ ko qatl karke wápas átá thá, to isí ne us ká istiqbál kiyá, aur us ke liye barakat cháhí; 2isí ko Ibráhím ne sab chízoṉ kí dahyakí dí; yih awwal to apne nám ke maʻní ke muwáfiq Rástbází ká Bádsháh hai; aur phir Shálem, yaʻní Sulh, ká bádsháh: 3yih bebáp, bemáṉ, benasabnáma hai, na us kí ʻumr ká shurúʻ, na zindagí ká áḳhir, balki Ḳhudá ke Beṭe ke mushábih ṭhahrá.
4Pas gaur karo ki yih kaisá buzurg thá, jis ko qaum ke buzurg Ibráhím ne lúṭ ke ʻumda se ʻumda mál kí dahyakí dí. 5Ab Lewí kí aulád meṉ se jo kahánat ká ʻuhda páte haiṉ, un ko hukm hai ki ummat, yaʻní apne bháiyoṉ se, agarchi wuh Ibráhím hí kí sulb se paidá húe hoṉ, sharíʻat ke mutábiq dahyakí leṉ: 6magar jis ká nasab un se judá hai, us ne Ibráhím se dahyakí lí, aur jis se waʻde kiye gaye the, us ke liye barakat cháhí. 7Aur is meṉ kalám nahíṉ ki chhoṭá baṛe se barakat pátá hai. 8Aur yaháṉ to marnewále ádmí dahyakí lete haiṉ, magar waháṉ wuhí letá hai, jis ke haqq meṉ gawáhí dí játí hai ki zinda hai. 9Pas ham kah sakte haiṉ ki Lewí ne bhí, jo dahyakí letá hai, Ibráhím ke zaríʻe se dahyakí dí; 10is liye ki jis waqt Malik i Sidq ne Ibráhím ká istiqbál kiyá thá, wuh us waqt tak apne báp kí sulb meṉ thá.
11Pas agar baní Lewí kí kahánat se kámilíyat hásil hotí, (kyúṉki usí kí mátahtí meṉ ummat ko sharíʻat milí thí,) to phir kyá hájat thí, ki dúsrá káhin Malik i Sidq ke taríqe ká paidá ho, aur Hárún ke taríqe ká na giná jáe? 12Aur jab kahánat badal gayí, to sharíʻat ká bhí badalná zarúr hai; 13kyúṉki jis kí bábat yih báteṉ kahí játí haiṉ, wuh dúsre qabíle meṉ shámil hai, jis meṉ se kisí ne qurbángáh kí ḳhidmat nahíṉ kí. 14Chunáṉchi záhir hai, ki hamárá Ḳhudáwand Yahúdáh meṉ se paidá húá; aur is firqe ke haqq meṉ Músá ne kahánat ká kuchh zikr nahíṉ kiyá. 15Aur jab Malik i Sidq kí mánind ek âur aisá káhin paidá honewálá thá, 16jo jismání ahkám kí sharíʻat ke muwáfiq nahíṉ, balki gairfání zindagí kí quwwat ke mutábiq muqarrar ho, to hamárá daʻwá âur bhí sáf záhir ho gayá. 17Kyúṉki us ke haqq meṉ yih gawáhí dí gayí hai, ki
Tú Malik i Sidq ke taríqe ká
Abad tak káhin hai.
18G̣araz pahlá hukm kamzor aur befáida hone ke sabab se mansúḳh ho gayá, 19(kyúṉki sharíʻat ne kisí chíz ko kámil nahíṉ kiyá), aur us kí jagah ek bihtar ummed rakkhí gayí, jis ke wasíle se ham Ḳhudá ke nazdík já sakte haiṉ. 20Aur chúṉki Masíh ká taqarrur bagair qasam ke na húá, 21(kyúṉki wuh to bagair qasam ke káhin muqarrar húe haiṉ, magar yih qasam ke sáth us kí taraf se húá, jis ne is kí bábat kahá, ki
Ḳhudáwand ne qasam kháí hai, aur us se phiregá nahíṉ, ki
Tú abad tak káhin hai;)
22isí liye Yisúʻ ek bihtar ʻahd ká zámin ṭhahrá. 23Aur chúṉki maut ke sabab qáim na rah sakte the, is liye wuh to bahut káhin muqarrar húe; 24magar chúṉki yih abad tak qáim rahnewálá hai, is liye is kí kahánat lázawál hai. 25Isí liye jo us ke wasíle se Ḳhudá ke pás áte haiṉ, wuh unheṉ púrí púrí naját de saktá hai, kyúṉki wuh un kí shafáʻat ke liye hamesha zinda hai.
26Chunáṉchi aisá hí sardár káhin hamáre láiq bhí thá, jo pák, aur beriyá, aur bedág ho, aur gunahgároṉ se judá, aur ásmánoṉ se baland kiyá gayá ho; 27aur un sardár káhinoṉ kí mánind is ká muhtáj na ho, ki har roz pahle apne gunáhoṉ aur phir ummat ke gunáhoṉ ke wáste qurbáníáṉ chaṛháe; kyúṉki ise wuh ek hí bár kar guzrá, jis waqt apne áp ko qurbán kiyá. 28Is liye ki sharíʻat to kamzor ádmíoṉ ko sardár káhin muqarrar kartí hai; magar us qasam ká kalám jo sharíʻat ke baʻd kháí gayí, us Beṭe ko muqarrar kartá hai, jo hamesha ke liye kámil kiyá gayá hai.

Currently Selected:

ʻIbrá Níoṉ 7: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in