1
ʻIbrá Níoṉ 4:12
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Kyúṉki Ḳhudá ká kalám zinda aur muassir, aur har ek dodhárí talwár se ziyáda tez hai, aur ján aur rúh, aur band band, aur gúde gúde ko judá karke guzar játá hai, aur dil ke ḳhayáloṉ aur irádoṉ ko jáṉchtá hai.
Compare
Explore ʻIbrá Níoṉ 4:12
2
ʻIbrá Níoṉ 4:16
Pas áo, ham fazl ke taḳht ke pás dilerí se chaleṉ, táki ham par rahm ho, aur wuh fazl hásil kareṉ jo zarúrat ke waqt hamárí madad kare.
Explore ʻIbrá Níoṉ 4:16
3
ʻIbrá Níoṉ 4:15
Kyúṉki hamárá aisá sardár káhin nahíṉ, jo hamárí kamzoríoṉ meṉ hamárá hamdard na ho sake, balki sárí bátoṉ meṉ hamárí tarah ázmáyá gayá, táham begunáh rahá.
Explore ʻIbrá Níoṉ 4:15
4
ʻIbrá Níoṉ 4:13
Aur us se maḳhlúqát kí koí chíz chhipí nahíṉ, balki jis se ham ko kám hai us kí nazaroṉ meṉ sab chízeṉ khulí aur beparda haiṉ.
Explore ʻIbrá Níoṉ 4:13
5
ʻIbrá Níoṉ 4:14
Pas jab hamárá ek aisá baṛá sardár káhin hai, jo ásmánoṉ se guzar gayá, yaʻní Ḳhudá ká Beṭá Yisúʻ, to áo, ham apne iqrár par qáim raheṉ.
Explore ʻIbrá Níoṉ 4:14
6
ʻIbrá Níoṉ 4:11
Pas áo, ham us árám meṉ dáḳhil hone kí koshish kareṉ, táki un kí tarah náfarmání karke koí shaḳhs gir na paṛe.
Explore ʻIbrá Níoṉ 4:11
Home
Bible
Plans
Videos