YouVersion Logo
Search Icon

ʻIbrá Níoṉ 3

3
1Pas, ai pák bháiyo, tum jo ásmání buláwe meṉ sharík ho, us Rasúl aur Sardár Káhin Yisúʻ par gaur karo, jis ká ham iqrár karte haiṉ; 2jo apne muqarrar karnewále ke haqq meṉ diyánatdár thá, jis tarah ki Músá us ke sáre ghar meṉ thá. 3Kyúṉki wuh Músá se is qadr ziyáda ʻizzat ke láiq samjhá gayá, jis qadr ghar ká banánewálá ghar se ziyáda ʻizzatdár hotá hai. 4Chunáṉchi har ek ghar ká koí na koí banánewálá hotá hai, magar jis ne sab chízeṉ banáíṉ, wuh Ḳhudá hai. 5Músá to us ke sáre ghar meṉ ḳhádim kí tarah diyánatdár rahá, táki áyanda bayán honewálí bátoṉ kí gawáhí de; 6lekin Masíh beṭe kí tarah us ke ghar ká muḳhtár hai, aur us ká ghar ham haiṉ, basharte ki apní dilerí aur ummed ká faḳhr áḳhir tak mazbútí se qáim rakkheṉ. 7Pas jis tarah ki Rúhuʼl Quds farmátá hai,
Agar áj tum us kí áwáz suno,
8To apne diloṉ ko saḳht na karo, jis tarah ki gussa diláne ke waqt
Ázmáish ke din jangal meṉ kiyá thá;
9Jaháṉ tumháre bápdádá ne mujhe jáṉchá aur ázmáyá,
Aur chálís baras tak mere kám dekhe.
10Isí liye maiṉ us pusht se náráz húá,
Aur kahá, ki In ke dil hamesha gumráh hote rahte haiṉ;
Aur inhoṉ ne merí ráhoṉ ko nahíṉ pahcháná;
11Chunáṉchi maiṉ ne apne gazab meṉ qasam kháí,
Ki yih mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge.
12Ai bháiyo, ḳhabardár, tum meṉ se kisí ká aisá burá aur beímán dil na ho, jo zinda Ḳhudá se phir jáe: 13balki jis roz tak Áj ká din kahá játá hai, har roz ápas meṉ nasíhat kiyá karo, táki tum meṉ se koí gunáh ke fareb meṉ ákar saḳhtdil na ho jáe: 14kyúṉki ham Masíh meṉ sharík húe haiṉ, basharte ki apne ibtidáí bharose par áḳhir tak mazbútí se qáim raheṉ: 15chunáṉchi kahá játá hai, ki
Agar áj tum us kí áwáz suno,
To apne diloṉ ko saḳht na karo,
jis tarah ki gussa diláne ke waqt kiyá thá.
16Kin logoṉ ne áwáz sunkar gussa diláyá? kyá un sab ne nahíṉ, jo Músá ke wasíle Misr se nikle the? 17Aur wuh kin logoṉ se chálís baras tak náráz rahá? Kyá un se nahíṉ, jinhoṉ ne gunáh kiyá, aur un kí lásheṉ biyábán meṉ paṛí rahíṉ? 18Aur kin kí bábat us ne qasam kháí, ki wuh mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge, siwá un ke jinhoṉ ne náfarmáni kí? 19G̣araz ham dekhte haiṉ, ki wuh beímání ke sabab dáḳhil na ho sake.

Currently Selected:

ʻIbrá Níoṉ 3: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in