ʻIbrá Níoṉ 2
2
1Is liye jo báteṉ ham ne suníṉ, un par âur bhí dil lagákar gaur karná cháhiye, táki bahkar un se dúr na chale jáeṉ. 2Kyúṉki jo kalám firishtoṉ kí maʻrifat farmáyá gayá thá, jab wuh qáim rahá, aur har qusúr aur náfarmání ká ṭhík ṭhík badla milá: 3to itní baṛí naját se gáfil rahkar ham kyúṉkar bach sakte haiṉ? jis ká bayán pahle Ḳhudáwand ke wasíle se húá, aur sunnewáloṉ se hameṉ páya e subút ko pahuṉchá; 4aur sáth hí Ḳhudá bhí apní marzí ke muwáfiq, nishánoṉ, aur ʻajíb kámoṉ, aur tarah tarah ke muʻjizoṉ, aur Rúhuʼl Quds kí niʻmatoṉ ke zaríʻe se us kí gawáhí detá rahá.
5Us ne us ánewále jahán ko, jis ká ham zikr karte haiṉ, firishtoṉ ke tábiʻ nahíṉ kiyá. 6Balki kisí ne kisí mauqaʻ par yih bayán kiyá hai, ki
Insán kyá chíz hai, jo tú us ká ḳhayál kartá hai?
Yá ádamzád kyá hai, jo tú us par nigáh kartá hai?
7Tú ne use firishtoṉ se kuchh hí kam kiyá;
Tú ne us par jalál aur ʻizzat ká táj rakkhá.
Aur apne háthoṉ ke kámoṉ par use iḳhtiyár baḳhshá;
8Tú ne sab chízeṉ tábiʻ karke us ke páṉwoṉ tale kar dí haiṉ.
Pas jis súrat meṉ us ne sab chízeṉ us ke tábiʻ kar díṉ, to us ne koí chíz aisí na chhoṛí, jo us ke tábiʻ na kí ho. Magar ham ab tak sab chízeṉ us ke tábiʻ nahíṉ dekhte. 9Albatta us ko dekhte haiṉ, jo firishtoṉ se kuchh hí kam kyá gayá, yaʻní Yisúʻ ko, ki maut ká dukh sahne ke sabab jalál aur ʻizzat ká táj use pahináyá gayá hai, táki Ḳhudá ke fazl se wuh har ek ádmí ke liye maut ká maza chakkhe. 10Kyúṉki jis ke liye sab chízeṉ haiṉ, aur jis ke wasíle se sab chízeṉ haiṉ, us ko yihí munásib thá, ki jab bahut se beṭoṉ ko jalál meṉ dáḳhil kare, to un kí naját ke bání ko dukhoṉ ke zaríʻe se kámil kar le. 11Is liye ki pák karnewálá aur pák honewále sab ek hí asl se haiṉ: isí báʻis wuh unheṉ bháí kahne se nahíṉ sharmátá. 12Chunáṉchi kahtá hai, ki
Terá nám maiṉ apne bháiyoṉ se bayán karúṉgá,
Kalísiyá meṉ terí hamd ke gít gáúṉgá.
13Aur phir yih, ki Maiṉ us par bharosá rakkhúṉgá. Aur phir yih, ki Dekh, maiṉ un laṛkoṉ samet jinheṉ Ḳhudá ne mujhe diyá. 14Pas jis súrat meṉ ki laṛke ḳhún aur gosht meṉ sharík haiṉ, to wuh ḳhud bhí un kí tarah un meṉ sharík húá; táki maut ke wasíle se us ko jise maut par qudrat hásil thí, yaʻní Iblís ko, tabáh kar de; 15aur jo ʻumr bhar maut ke ḍar se gulámí meṉ giriftár rahe, unheṉ chhuṛá le. 16Kyúṉki wáqiʻ meṉ wuh firishtoṉ ká nahíṉ, balki Ibráhím kí nasl ká sáth detá hai. 17Pas us ko sab bátoṉ meṉ apne bháiyoṉ kí mánind banná lázim húá; táki ummat ke gunáhoṉ ká kaffára dene ke wáste, un bátoṉ meṉ jo Ḳhudá se ʻiláqa rakhtí haiṉ, ek rahmdil aur diyánatdár sardár káhin bane. 18Kyúṉki jis súrat meṉ us ne ḳhud hí ázmáish kí hálat meṉ dukh uṭháyá, to wuh un kí bhí madad kar saktá hai, jin kí ázmáish hotí hai.
Currently Selected:
ʻIbrá Níoṉ 2: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)