YouVersion Logo
Search Icon

2 Samúel 23

23
1Dáúd kí áḳhirí báteṉ yih haiṉ.
Dáúd bin Yassí kahtá hai,
Ya‘ní yih us shaḳhs ká kalám hai jo sarfaráz kiyá gayá,
Aur Ya‘qúb ke Ḳhudá ká mamsúh,
Aur Isráíl ká shírín nag̣masáz hai:
2 Ḳhudáwand kí rúh ne merí ma‘rifat kalám kiyá,
Aur us ká suḳhan merí zabán par thá.
3Isráíl ke Ḳhudá ne farmáyá,
Isráíl kí Chaṭán ne mujh se kahá:
Ek hai jo sadáqat se logoṉ par hukúmat kartá hai,
Jo Ḳhudá ke ḳhauf ke sáth hukúmat kartá hai.
4Wuh subh kí raushní kí mánind hogá, jab súraj nikaltá hai,
Aisí subh jis meṉ bádal na hoṉ;
Jab narm narm ghás zamín meṉ se
Bárish ke ba‘d kí sáf chamak ke bá‘is nikaltí hai.
5Merá ghar to sach much Ḳhudá ke sámne aisá hai bhí nahíṉ;
Taubhí us ne mere sáth ek dáimí ‘ahd,
Jis kí sárí báteṉ mu‘ayan aur páedár haiṉ, báṉdhá hai:
Kyúṉki yihí merí sárí naját aur sárí murád hai,
Go wuh us ko baṛhátá nahíṉ.
6Par nárást log sab ke sab káṉṭoṉ kí mánind ṭhahreṉge jo haṭá diye játe haiṉ,
Kyúṉki wuh háth se pakṛe nahíṉ já sakte:
7Balki jo ádmí un ko chhúe
Zarúr hai ki wuh lohe aur neze kí chhaṛ se musallah ho;
So wuh apní hí jagah meṉ ág se bi’lkull bhasam kar diye jáeṉge.
8Aur Dáúd ke baháduroṉ ke nám yih haiṉ: ya‘ní Ta-Hakmoní, Yosheb Bashebat jo sipahsálároṉ ká sardár thá; wuhí Ezní Adíno thá; jis se áṭh sau ek hí waqt meṉ maqtúl húe. 9Us ke ba‘d ek Aḳhúhí ke beṭe Dúde ká beṭá Ilí‘azar thá; yih un tínoṉ súrmáoṉ meṉ se ek thá jo Dáúd ke sáth us waqt the jab unhoṉ ne un Filistíoṉ ko jo laṛáí ke liye jama‘ húe the lalkárá, hálánki sab baní Isráíl chale gaye the: 10aur us ne uṭhkar Filistíoṉ ko itná márá, ki us ká háth thakkar talwár se chipak gayá: aur Ḳhudáwand ne us din baṛí fath karáí; aur log phirkar faqat lúṭne ke liye us ke píchhe ho liye. 11Ba‘d us ke Harárí Ají ká beṭá Sammah thá. Aur Filistíoṉ ne us qit‘a e zamín ke pás jo masúr ke peṛoṉ se bhará thá, jama‘ hokar dal báṉdh liyá thá, aur log Filistíoṉ ke áge se bhág gaye the. 12Lekin us ne us qit‘e ke bích meṉ khaṛe hokar us ko bacháyá, aur Filistíoṉ ko qatl kiyá: aur Ḳhudáwand ne baṛí fath karáí. 13Aur un tís sardároṉ meṉ se tín sardár nikle, aur fasl káṭne ke mausim meṉ Dáúd ke pás ‘Adullám ke mag̣áre meṉ áe: aur Filistíoṉ kí fauj Rifáíoṉ kí wádí meṉ ḳhaimazan thí. 14Aur Dáúd us waqt gaṛhí meṉ thá, aur Filistíoṉ ke pahre kí chaukí Baitlahm meṉ thí. 15Aur Dáúd ne taraste húe kahá, Ai kásh koí mujhe Baitlahm ke us kúeṉ ká pání píne ko detá, jo pháṭak ke pás hai. 16Aur un tínoṉ baháduroṉ ne Filistíoṉ ke lashkar meṉ se jákar Baitlahm ke kúeṉ se jo pháṭak ke barábar hai pání bhar liyá, aur use Dáúd ke pás láe; lekin us ne na cháhá ki piye; balki use Ḳhudáwand ke huzúr unḍel diyá; 17aur kahne lagá, Ai Ḳhudáwand mujh se yih hargiz na ho, ki maiṉ aisá karúṉ; kyá maiṉ un logoṉ ká ḳhún píúṉ jinhoṉ ne apní ján jokhoṉ meṉ ḍálí? Isí liye us ne na cháhá, ki use piye. Un tínoṉ baháduroṉ ne aise aise kám kiye. 18Aur Zarúyáh ke beṭe Yoáb ká bháí Abíshai un tinoṉ meṉ afzal thá. Us ne tín sau par apná bhálá chalákar un ko qatl kiyá, aur tinoṉ meṉ námí thá. 19Kyá wuh un tínoṉ meṉ mu‘azzaz na thá? Isí liye wuh un ká sardár húá: taubhí wuh un pahle tínoṉ ke barábar nahíṉ hone páyá. 20Aur Yahoyada‘ ká beṭá Bináyáh Qabzíl ke ek súrmá ká beṭá thá jis ne baṛe baṛe kám kiye the; us ne Moáb ke Aríel ke donoṉ beṭoṉ ko qatl kiyá, aur jákar barf ke mausim meṉ ek g̣ár ke bích ek sher i babar ko márá. 21Aur us ne ek jasím Misrí ko qatl kiyá: us Misrí ke háth meṉ bhálá thá; par yih láṭhí hí liye húe us par lapká, aur Misrí ke háth se bhálá chhín liyá, aur usí ke bhále se use márá. 22Pas Yahoyada‘ ke beṭe Bináyáh ne aise aise kám kiye, aur tínoṉ baháduroṉ meṉ námí thá. 23Wuh un tísoṉ se ziyáda mu‘azzaz thá, par wuh un pahle tínoṉ ke barábar nahíṉ hone páyá. Aur Dáúd ne use apne muháfiz sipáhíoṉ par muqarrar kiyá.
24Aur tísoṉ meṉ Yoáb ká bháí ‘Asáhel aur Ilhanán Baitlahm ke Dodo ká beṭá, 25Harodí Sammah, Harodí Iliqa; 26Faltí Ḳhalis, ‘Írá bin ‘Aqís Taqú‘í: 27‘Anatotí Abia‘zar, Húsátí Mabúní; 28Aḳhúhí Zalmon, Natofátí Maharí; 29Natofátí Ba‘nah ká beṭá Halib, Ittai bin Ríbí, baní Binyamín ke Jibi‘ah ká; 30Fir‘átoní Bináyáh, aur Ja‘s ke náloṉ ká Hiddí; 31‘Arbátí Abialbún, Barhúmí ‘Azmávat; 32Sa‘lboní Ilyahba, Baní Yasín Yúnatan; 33Harárí Sammah, Aḳhíám bin Sarár Harárí; 34Ilífalat bin Ahasbí Ma‘kátí ká beṭá, Ilí‘ám bin Aḳhítuffal Jiloní; 35Karmilí Hasro, Arbí Fa‘rí; 36Zobáh ke Nátan ká beṭá Ijál, Jaddí Bání; 37‘Ammoní Silaq, Baírotí Naharí, Zarúyáh ke beṭe Yoáb ke silahbardár; 38Itrí ‘Írá, Itrí Jaríb; 39aur Hittí Úriyáh: yih sab saiṉtís the.

Currently Selected:

2 Samúel 23: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in