2 Samúel 24
24
1Us ke ba‘d Ḳhudáwand ká g̣ussa Isráíl par phir bhaṛká; aur us ne Dáúd ke dil ko un ke ḳhiláf yih kahkar ubhárá, ki Jákar Isráíl aur Yahúdáh ko gin. 2Aur bádsháh ne lashkar ke sardár Yoáb ko jo us ke sáth thá hukm kiyá, ki Isráíl ke sab qabíloṉ meṉ, Dán se Baírsaba‘ tak, gasht karo, aur logoṉ ko gino, táki logoṉ kí ta‘dád mujhe ma‘lúm ho. 3Tab Yoáb ne bádsháh se kahá, ki Ḳhudáwand terá Ḳhudá un logoṉ ko ḳhwáh wuh kitne hí hoṉ, sau guná baṛháe, aur mere málik bádsháh kí áṉkheṉ ise dekheṉ: par mere málik bádsháh ko yih bát kyúṉ bhátí hai? 4Taubhí bádsháh kí bát Yoáb aur lashkar ke sardároṉ par g̣álib hí rahí. Aur Yoáb aur lashkar ke sardár bádsháh ke huzúr se Isráíl ke logoṉ ká shumár karne ko nikle. 5Aur wuh Yardan pár utre, aur us shahr kí dahiní taraf ‘Aro‘ír meṉ ḳhaimazan húe jo Jadd kí wádí meṉ Ya‘zer kí jánib hai. 6Phir wuh Jili‘ád aur Tahtím Hudsí ke ‘iláqe meṉ gaye; aur Dán Ya‘n ko gaye, aur ghúmkar Saidá tak pahuṉche; 7aur waháṉ se Súr ke qil‘e ko, aur Hawwíoṉ aur Kan‘áníoṉ ke sab shahroṉ ko gaye; aur Yahúdáh ke junúb meṉ Baírsaba‘ tak nikal gaye. 8Chunáṉchi sárí mamlukat meṉ gasht karke nau mahíne aur bís din ke ba‘d wuh Yarúshalem ko lauṭe. 9Aur Yoáb ne mardumshumárí kí ta‘dád bádsháh ko dí: so Isráíl meṉ áṭh lákh bahádur mard nikle jo shamsherzan the. Aur Yahúdáh ke mard páṉch lákh nikle.
10Aur logoṉ ká shumár karne ke ba‘d Dáúd ká dil bechain húá, aur Dáúd ne Ḳhudáwand se kahá, Yih jo maiṉ ne kiyá so baṛá gunáh kiyá; ab, ai Ḳhudáwand, maiṉ terí minnat kartá húṉ, ki tú apne bande ká gunáh dúr kar de, kyúṉki mujh se baṛí hamáqat húí. 11So jab Dáúd subh ko uṭhá, to Ḳhudáwand ká kalám Jád par jo Dáúd ká g̣aibbín thá názil húá, aur us ne kahá, ki 12Já, aur Dáúd se kah, Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Maiṉ tere sámne tín baláeṉ pesh kartá húṉ; tú un meṉ se ek ko chun le, táki maiṉ use tujh par názil karúṉ. 13So Jád ne Dáúd ke pás jákar us ko yih batáyá, aur us se púchhá, Kyá tere mulk meṉ sát baras qaht rahe, yá tú tín mahíne tak apne dushmanoṉ se bhágtá phire, aur wuh tujhe ragedeṉ, yá terí mamlukat meṉ tín din tak marí ho? Tú soch le, aur g̣aur kar le, ki maiṉ use jis ne mujhe bhejá hai kyá jawáb dúṉ. 14Dáúd ne Jád se kahá, Maiṉ baṛe shikanje meṉ húṉ: ham Ḳhudáwand ke háth meṉ paṛeṉ, kyúṉki us kí rahmateṉ ‘azím haiṉ: par maiṉ insán ke háth meṉ na paṛúṉ. 15So Ḳhudáwand ne Isráíl par wabá bhejí jo us subh se lekar waqt i mu‘ayana tak rahí: aur Dán se Baírsaba‘ tak logoṉ meṉ se sattar hazár ádmí mar gaye. 16Aur jab firishte ne apná háth baṛháyá ki Yarúshalem ko halák kare, to Ḳhudáwand us wabá se malúl húá, aur us firishte se jo logoṉ ko halák kar rahá thá kahá, Yih bas hai; ab apná háth rok le. Us waqt Ḳhudáwand ká firishta Yabosí Araunáh ke khalíhán ke pás khaṛá thá. 17Aur Dáúd ne, jab us firishte ko jo logoṉ ko már rahá thá dekhá, to Ḳhudáwand se kahne lagá, Dekh, gunáh to maiṉ ne kiyá, aur ḳhatá mujh se húí; par in bheṛoṉ ne kyá kiyá hai? so terá háth mere, aur mere báp ke gharáne ke ḳhiláf ho.
18Usí din Jád ne Dáúd ke pás ákar us se kahá, Já, aur Yabúsí Araunáh ke khalíhán meṉ Ḳhudáwand ke liye ek mazbah baná. 19So Dáúd Jád ke kahne ke muwáfiq, jaisá Ḳhudáwand ká hukm thá, gayá. 20Aur Araunáh ne nigáh kí, aur bádsháh aur us ke ḳhádimoṉ ko apní taraf áte dekhá: so Araunáh niklá, aur zamín par sarnigún hokar bádsháh ke áge sijda kiyá. 21Aur Araunáh kahne lagá, Merá málik bádsháh apne bande ke pás kyúṉ áyá? Dáúd ne kahá, Yih khalíhán tujh se ḳharídne aur Ḳhudáwand ke liye ek mazbah banáne áyá húṉ, táki logoṉ meṉ se wabá játí rahe. 22Araunáh ne Dáúd se kahá, Merá málik bádsháh jo kuchh use achchhá ma‘lúm ho lekar chhaṛháe: dekh, soḳhtaní qurbání ke liye bail haiṉ, aur dáeṉ chaláne ke auzár, aur bailoṉ ke sámán íṉdhan ke liye haiṉ: 23yih sab kuchh, ai bádsháh, Araunáh bádsháh kí nazr kartá hai. Aur Araunáh ne bádsháh se kahá, ki Ḳhudáwand terá Ḳhudá tujh ko qubúl farmáe. 24Tab bádsháh ne Araunáh se kahá, Nahíṉ, balki maiṉ zarúr qímat dekar us ko tujh se ḳharídúṉgá, aur maiṉ Ḳhudáwand apne Ḳhudá ke huzúr aisí soḳhtaní qurbáníáṉ nahíṉ guzránúṉgá, jin par merá kuchh ḳharch na húá ho. So Dáúd ne wuh khalíhán aur wuh bail chándí kí pachás misqáleṉ dekar ḳharíde. 25Aur Dáúd ne waháṉ Ḳhudáwand ke liye mazbah banáyá, aur soḳhtaní qurbáníáṉ aur salámatí kí qurbáníáṉ chaṛháíṉ. Aur Ḳhudáwand ne us mulk ke báre meṉ du‘á suní aur wabá Isráíl meṉ se játí rahí.
Currently Selected:
2 Samúel 24: URDR55
Highlight
Share
Copy
![None](/_next/image?url=https%3A%2F%2Fimageproxy.youversionapi.com%2F58%2Fhttps%3A%2F%2Fweb-assets.youversion.com%2Fapp-icons%2Fen.png&w=128&q=75)
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)