1 Salátín 1
1
1Aur Dáúd bádsháh buḍḍhá aur kuhansál húá; aur wuh use kapṛe uṛháte, par wuh garm na hotá thá. 2So us ke ḳhádimoṉ ne us se kahá, ki Hamáre málik bádsháh ke liye ek jawán kuṉwárí ḍhúṉḍhí jáe, jo bádsháh ke huzúr khaṛí rahe aur us kí ḳhabargírí kiyá kare, aur tere pahlú meṉ leṭ rahá kare, táki hamáre málik bádsháh ko garmí pahuṉche. 3Chunáṉchi unhoṉ ne Isráíl kí sárí mamlukat meṉ ek ḳhúbsúrat laṛkí talásh karte karte Shúnamít Abíshág ko páyá; aur use bádsháh ke pás láe. 4Aur wuh laṛkí bahut shakíl thí: so wuh bádsháh kí ḳhabargírí aur us kí ḳhidmat karne lagí; lekin bádsháh us se wáqif na húá. 5Tab Hajjít ke beṭe Adúniyáh ne sir uṭháyá aur kahne lagá, Maiṉ bádsháh húṉgá; aur apne liye rath aur sawár, aur pachás ádmí jo us ke áge áge dauṛeṉ taiyár kiye. 6Aur us ke báp ne us ko kabhí itná bhí kahkar ázurda nahíṉ kiyá, ki Tú ne yih kyúṉ kiyá hai? aur wuh bahut ḳhúbsúrat bhí thá, aur Abísalom ke ba‘d paidá húá thá. 7Aur us ne Zarúyáh ke beṭe Yoáb aur Abíyátar káhin se guftogú kí: aur yih donoṉ Adúniyáh ke pairau hokar us kí madad karne lage. 8Lekin Sadoq káhin, aur Yahoyada‘ ke beṭe Bináyáh, aur Nátan nabí, aur Sima‘í, aur Re‘í, aur Dáúd ke bahádur logoṉ ne Adúniyáh ká sáth na diyá. 9Aur Adúniyáh ne bheṛeṉ, aur bail, aur moṭe moṭe jánwar Zuhalat ke patthar ke pás jo ‘Ain Rájil ke barábar hai, zabh kiye, aur apne sab bháiyoṉ, ya‘ní bádsháh ke beṭoṉ kí, aur sab Yahúdáh ke logoṉ kí jo bádsháh ke mulázim the da‘wat kí: 10par Nátan nabí, aur Bináyáh, aur bahádur logoṉ, aur apne bháí Sulaimán ko na buláyá. 11Tab Nátan ne Sulaimán kí máṉ Batsaba‘ se kahá, Kyá tú ne nahíṉ suná, ki Hajjít ká beṭá Adúniyáh bádsháh ban baiṭhá hai, aur hamáre málik Dáúd ko yih ma‘lúm nahíṉ? 12Ab tú á, ki maiṉ tujhe saláh dúṉ, táki tú apní, aur apne beṭe Sulaimán kí ján bachá sake. 13Tú Dáúd bádsháh ke huzúr jákar us se kah, Ai mere málik, ai bádsháh, kyá tú ne apní lauṉḍí se qasam khákar nahíṉ kahá, ki Yaqínan terá beṭá Sulaimán mere ba‘d saltanat karegá, aur wuhí mere taḳht par baiṭhegá? pas Adúniyáh kyúṉ bádsháhí kartá hai? 14Aur dekh, tú bádsháh se bát kartí hí hogí ki maiṉ bhí tere ba‘d á pahuṉchúṉgá, aur terí bátoṉ kí tasdíq karúṉgá. 15So Batsaba‘ andar koṭhrí meṉ bádsháh ke pás gayí: aur bádsháh bahut buḍḍhá thá; aur Shúnamít Abíshág bádsháh kí ḳhidmat kartí thí. 16Aur Batsaba‘ ne jhukkar bádsháh ko sijda kiyá. Bádsháh ne kahá, Tú kyá cháhtí hai? 17Us ne us se kahá, Ai mere málik, tú ne Ḳhudáwand apne Ḳhudá kí qasam khákar apní lauṉḍí se kahá thá, ki Yaqínan terá beṭá Sulaimán mere ba‘d saltanat karegá, aur wuhí mere taḳht par baiṭhegá. 18Par dekh, ab to Adúniyáh bádsháh ban baiṭhá hai; aur ai mere málik bádsháh, tujh ko is kí ḳhabar nahíṉ. 19Aur us ne bahut se bail, aur moṭe moṭe jánwar, aur bheṛeṉ zabh kí haiṉ, aur bádsháh ke sab beṭoṉ, aur Abíyátar káhin, aur lashkar ke sardár Yoáb kí da‘wat kí hai; par tere bande Sulaimán ko us ne nahíṉ buláyá. 20Lekin ai mere málik, sáre Isráíl kí nigáh tujh par hai, táki tú un ko batáe ki mere málik bádsháh ke taḳht par kaun us ke ba‘d baiṭhegá. 21Warna yih hogá, ki jab merá málik bádsháh apne bápdádá ke sáth so jáegá, to maiṉ aur merá beṭá Sulaimán donoṉ qusúrwár ṭhahreṉge. 22Wuh hanoz bádsháh se bát hí kar rahí thí, ki Nátan nabí á gayá. 23Aur unhoṉ ne bádsháh ko ḳhabar dí, ki Dekh, Nátan nabí házir hai. Aur jab wuh bádsháh ke huzúr áyá, to us ne muṉh ke bal girkar bádsháh ko sijda kiyá. 24Aur Nátan kahne lagá, Ai mere málik bádsháh, kyá tú ne farmáyá hai, ki Mere ba‘d Adúniyáh bádsháh ho, aur wuhí mere taḳht par baiṭhe? 25Kyúṉki us ne áj jákar bail, aur moṭe moṭe jánwar, aur bheṛeṉ kasrat se zabh kí haiṉ, aur bádsháh ke sab beṭoṉ, aur lashkar ke sardároṉ, aur Abíyátar káhin kí da‘wat kí hai; aur dekh, wuh us ke huzúr khá pí rahe haiṉ, aur kahte haiṉ, Adúniyáh bádsháh jitá rahe. 26Par mujh tere g̣ulám ko, aur Sadoq káhin, aur Yahoyada‘ ke beṭe Bináyáh, aur tere ḳhádim Sulaimán ko us ne nahíṉ buláyá. 27Kyá yih bát mere málik kí taraf se hai, aur tú ne apne ḳhádimoṉ ko batáyá bhí nahíṉ, ki mere málik bádsháh ke ba‘d us ke taḳht par kaun baiṭhegá? 28Tab Dáúd bádsháh ne jawáb diyá, aur farmáyá, ki Batsaba‘ ko mere pás buláo. So wuh bádsháh ke huzúr áí, aur bádsháh ke sámne khaṛí húí. 29Bádsháh ne qasam khákar kahá, ki Ḳhudáwand kí hayát kí qasam jis ne merí ján ko har tarah kí áfat se riháí dí, 30ki sach much jaisí maiṉ ne Ḳhudáwand Isráíl ke Ḳhudá kí qasam tujh se kháí, aur kahá ki Yaqínan terá beṭá Sulaimán mere ba‘d bádsháh hogá, aur wuhí merí jagah mere taḳht par baiṭhegá; so sach much maiṉ áj ke din waisá hí karúṉgá. 31Tab Batsaba‘ zamín par muṉh ke bal girí, aur bádsháh ko sijda karke kahá, ki Merá málik Dáúd bádsháh hamesha jítá rahe. 32Aur Dáúd bádsháh ne farmáyá, ki Sadoq káhin, aur Nátan nabí, aur Yahoyada‘ ke beṭe Bináyáh ko mere pás buláo. So wuh bádsháh ke huzúr áe. 33Bádsháh ne un ko farmáyá, ki Tum apne málik ke mulázimoṉ ko apne sáth lo, aur mere beṭe Sulaimán ko mere hí ḳhachchar par sawár karáo, aur use Jaihún ko le jáo: 34aur waháṉ Sadoq káhin, aur Nátan nabí use masah kareṉ ki wuh Isráíl ká bádsháh ho: aur tum narsingá phúṉkná, aur kahná, ki Sulaimán bádsháh jítá rahe. 35Phir tum us ke píchhe píchhe chale áná, aur wuh ákar mere taḳht par baiṭhe, kyúṉki wuhí merí jagah bádsháh hogá: aur maiṉ ne use muqarrar kiyá hai, ki wuh Isráíl aur Yahúdáh ká hákim ho. 36Tab Yahoyada‘ ke beṭe Bináyáh ne bádsháh ke jawáb meṉ kahá, Ámín: Ḳhudáwand mere málik bádsháh ká Ḳhudá bhí aisá hí kahe. 37Jaise Ḳhudáwand mere málik bádsháh ke sáth rahá, waise hí wuh Sulaimán ke sáth rahe, aur us ke taḳht ko mere málik Dáúd bádsháh ke taḳht se baṛá banáe. 38Pas Sadoq káhin, aur Nátan nabí, aur Yahoyada‘ ká beṭá Bináyáh, aur Karetí aur Faletí gaye, aur Sulaimán ko Dáúd bádsháh ke ḳhachchar par sawár karáyá, aur use Jaihún par láe. 39Aur Sadoq káhin ne ḳhaime se tel ká síṉg liyá, aur Sulaimán ko masah kiyá. Aur unhoṉ ne narsingá phúṉká, aur sab logoṉ ne kahá, Sulaimán bádsháh jitá rahe. 40Aur sab log us ke píchhe píchhe áe, aur unhoṉ ne báṉsliyáṉ bajáíṉ, aur baṛí ḳhushí manáí, aisá ki zamín un ke shor o g̣ul se gúṉj uṭhí. 41Aur Adúniyáh aur us ke sab mihmán jo us ke sáth the khá hí chuke the, ki unhoṉ ne yih suná. Aur jab Yoáb ko narsinge kí áwáz sunáí dí, to us ne kahá, ki Shahr meṉ yih hangáma aur shor kyúṉ mach rahá hai? 42Wuh yih kah hí rahá thá, ki dekho, Abíyátar káhin ká beṭá Yúnatan áyá; aur Adúniyáh ne us se kahá, Bhítar á, kyúṉki tú láiq shaḳhs hai, aur achchhí ḳhabar láyá hogá. 43Yúnatan ne Adúniyáh ko jawáb diyá, ki Wáqa‘í hamáre málik Dáúd bádsháh ne Sulaimán ko bádsháh baná diyá hai. 44Aur bádsháh ne Sadoq káhin, aur Nátan nabí, aur Yahoyada‘ ke beṭe Bináyáh, aur Karetíoṉ aur Faletíoṉ ko us ke sáth bhejá. So unhoṉ ne bádsháh ke ḳhachchar par use sawár karáyá: 45aur Sadoq káhin aur Nátan nabí ne Jaihún par us ko masah karke bádsháh banáyá hai; so wuh wahíṉ se ḳhushí karte áe haiṉ, aisá ki shahr gúṉj gayá. Wuh shor jo tum ne suná yihí hai, 46aur Sulaimán taḳht i saltanat par baiṭh bhí gayá hai. 47Másiwá is ke bádsháh ke mulázim hamáre málik Dáúd bádsháh ko mubárakbád dene áe, aur kahne lage, ki Terá Ḳhudá Sulaimán ke nám ko tere nám se ziyáda mumtáz kare, aur us ke taḳht ko tere taḳht se baṛá banáe: aur bádsháh apne bistar par sarnigún ho gayá. 48Aur bádsháh ne bhí yúṉ farmáyá, ki Ḳhudáwand Isráíl ká Ḳhudá mubárak ho jis ne ek wáris baḳhshá, ki wuh merí hí áṉkhoṉ ke dekhte húe áj mere taḳht par baiṭhe. 49Phir to Adúniyáh ke sab mihmán ḍar gaye, aur uṭh khaṛe húe, aur har ek ne apná rásta liyá. 50Aur Adúniyáh Sulaimán ke sabab se ḍar ke máre uṭhá, aur jákar mazbah ke síṉg pakaṛ liye. 51Aur Sulaimán ko yih batáyá gayá, ki Dekh, Adúniyáh Sulaimán bádsháh se ḍartá hai: kyúṉki us ne mazbah ke síṉg pakaṛ rakkhe haiṉ, aur kahtá hai, ki Sulaimán bádsháh áj ke din mujh se qasam kháe, ki wuh apne ḳhádim ko talwár se qatl nahíṉ karegá. 52Sulaimán ne kahá, Agar wuh apne ko láiq sábit kare, to us ká ek bál bhí zamín par nahíṉ giregá: par agar us meṉ sharárat páí jáegí, to wuh márá jáegá. 53So Sulaimán bádsháh ne log bheje, aur wuh use mazbah par se utár láe. Us ne ákar Sulaimán bádsháh ko sijda kiyá: aur Sulaimán ne us se kahá, Apne ghar já.
Currently Selected:
1 Salátín 1: URDR55
Highlight
Share
Copy
![None](/_next/image?url=https%3A%2F%2Fimageproxy.youversionapi.com%2F58%2Fhttps%3A%2F%2Fweb-assets.youversion.com%2Fapp-icons%2Fen.png&w=128&q=75)
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)