2 Samúel 22
22
1Jab Ḳhudáwand ne Dáúd ko us ke sab dushmanoṉ aur Sáúl ke háth se riháí dí, to us ne Ḳhudáwand ke huzúr is mazmún ká gít sunáyá; 2wuh kahne lagá,
Ḳhudáwand merí chaṭán, aur merá qil‘a aur merá chhuṛánewálá hai.
3 Ḳhudáwand merí chaṭán hai; maiṉ usí par bharosá rakkhúṉgá;
Wuhí merí sipar, aur merí naját ká síṉg hai, merá úṉchá burj, aur merí panáh hai.
Mere naját denewále, tú hí mujhe zulm se bachátá hai.
4Maiṉ Ḳhudáwand ko jo sitáish ke láiq hai, pukárúṉgá:
Yúṉ maiṉ apne dushmanoṉ se bacháyá jáúṉgá.
5Kyúṉki maut kí maujoṉ ne mujhe gherá,
Bedíní ke sailáboṉ ne mujhe ḍaráyá.
6Pátál kí rassiyáṉ mere chaugird thíṉ:
Maut ke phande mujh par á paṛe the.
7Apní musíbat meṉ maiṉ ne Ḳhudáwand ko pukárá,
Maiṉ apne Ḳhudá ke huzúr chilláyá:
Us ne apní haikal meṉ se merí áwáz suní,
Aur merí faryád us ke kán meṉ pahuṉchí.
8Tab zamín hil gayí aur káṉp uṭhí,
Aur ásmán kí bunyádoṉ ne jumbish kháí
Aur hil gayíṉ, is liye ki wuh g̣azabnák húá.
9Us ke nathnoṉ se dhuwáṉ uṭhá,
Aur us ke muṉh se ág nikalkar bhasam karne lagí:
Koele us se dahak uṭhe.
10Us ne ásmánoṉ ko bhí jhuká diyá, aur níche utar áyá;
Aur us ke páṉwoṉ tale gahrí táríkí thí.
11Wuh karúbí par sawár hokar uṛá,
Aur hawá ke bázúoṉ par dikháí diyá.
12Aur us ne apne chaugird táríkí ko aur pání ke ijtimá‘
Aur ásmán ke daldár bádaloṉ ko shamiyáne banáyá.
13Us jhalak se jo us ke áge áge thí
Ág ke koele sulag gaye.
14 Ḳhudáwand ásmán se garjá,
Aur Haqq Ta‘álá ne apní áwáz sunáí.
15Us ne tír chalákar un ko paráganda kiyá;
Aur bijlí se un ko shikast dí.
16Tab Ḳhudáwand kí ḍáṉṭ se,
Us ke nathnoṉ ke dam ke jhoṉke se,
Samundar kí tháh dikháí dene lagí,
Aur jahán kí bunyádeṉ namúdár húíṉ.
17Us ne úpar se háth baṛhákar mujhe thám liyá;
Aur mujhe bahut pání meṉ se kheṉchkar báhar nikálá.
18Us ne mere zoráwar dushman aur mere ‘adáwat rakhnewáloṉ se
Mujhe chhuṛá liyá, kyúṉki wuh mere liye niháyat zabardast the.
19Wuh merí musíbat ke din mujh par á paṛe;
Par Ḳhudáwand merá sahárá thá.
20Wuh mujhe kusháda jagah meṉ nikál bhí láyá:
Us ne mujhe chhuṛáyá, is liye ki wuh mujh se ḳhush húá.
21 Ḳhudáwand ne merí rástí ke muwáfiq mujhe jazá dí;
Aur mere háthoṉ kí pákízagí ke mutábiq mujhe badla diyá.
22Kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand kí ráhoṉ par chaltá rahá,
Aur sharárat se apne Ḳhudá se alag na húá.
23Kyúṉki us ke sáre faisale mere sámne the:
Aur maiṉ us ke áín se bargashta na húá.
24Maiṉ us ke huzúr kámil bhí rahá,
Aur apní badkárí se báz rahá.
25Isí liye Ḳhudáwand ne mujhe merí rástí ke muwáfiq,
Balki merí us pákízagí ke mutábiq jo us kí nazar ke sámne thí badla diyá.
26Rahmdil ke sáth tú rahím hogá,
Aur kámil ádmí ke sáth kámil;
27Nekokár ke sáth nek hogá;
Aur kajrau ke sáth ṭeṛhá.
28Musíbatzada logoṉ ko tú bacháegá:
Par terí áṉkheṉ mag̣rúroṉ par lagí haiṉ, táki tú unheṉ níchá kare.
29Kyúṉki, ai Ḳhudáwand, tú merá chirág̣ hai:
Aur Ḳhudáwand mere andhere ko ujálá kar degá.
30Kyúṉki terí badaulat maiṉ fauj par dháwá kartá húṉ:
Aur apne Ḳhudá kí badaulat díwár pháṉd játá húṉ.
31Lekin Ḳhudá kí ráh kámil hai:
Ḳhudáwand ká kalám táyá húá hai;
Wuh un sab kí sipar hai jo us par bharosá rakhte haiṉ.
32Kyúṉki Ḳhudáwand ke siwá âur kaun Ḳhudá hai?
Aur hamáre Ḳhudá ko chhoṛkar âur kaun chaṭán hai?
33Ḳhudá merá mazbút qil‘a hai:
Wuh apní ráh meṉ kámil shaḳhs kí rahnumáí kartá hai.
34Wuh us ke páṉw harniyoṉ ke se baná detá hai;
Aur mujhe merí úṉchí jagahoṉ meṉ qáim kartá hai.
35Wuh mere háthoṉ ko jang karná sikhátá hai;
Yaháṉ tak ki mere bázú pítal kí kamán ko jhuká dete haiṉ.
36Tú ne mujh ko apní naját kí sipar bhí baḳhshí:
Aur terí narmí ne mujhe buzurg banáyá hai.
37Tú ne mere níche mere qadam kusháda kar diye,
Aur mere páṉw nahíṉ phisle.
38Maiṉ ne apne dushmanoṉ ká píchhá karke un ko halák kiyá,
Aur jab tak wuh faná na ho gaye maiṉ wápas nahíṉ áyá.
39Maiṉ ne un ko faná kar diyá, aur aisá chhed ḍálá hai, ki wuh uṭh nahíṉ sakte:
Balki wuh to mere páṉwoṉ ke níche gire paṛe haiṉ.
40Kyúṉki tú ne laṛáí ke liye mujhe quwwat se kamarbasta kiyá:
Aur mere muḳhálifoṉ ko mere sámne zer kiyá.
41Tú ne mere dushmanoṉ kí pusht merí taraf pher dí,
Táki maiṉ apne ‘adáwat rakhnewáloṉ ko káṭ ḍálúṉ.
42Unhoṉ ne intizár kiyá, par koí na thá jo bacháe;
Balki Ḳhudáwand ká bhí intizár kiyá, par us ne un ko jawáb na diyá.
43Tab maiṉ ne un ko kúṭ kúṭkar zamín kí gard kí mánind kar diyá,
Maiṉ ne un ko galí kúchoṉ kí kíchaṛ kí tarah rauṉd rauṉdkar chároṉ taraf phailá diyá.
44Tú ne mujhe merí qaum ke jhagṛoṉ se bhí chhuṛáyá;
Tú ne mujhe qaumoṉ ká sardár hone ke liye rakh chhoṛá hai:
Jis qaum se maiṉ wáqif bhí nahíṉ, wuh merí mutí‘ hogí.
45Pardesí mere tábi‘ ho jáeṉge:
Wuh merá nám sunte hí merí farmánbardárí kareṉge.
46Pardesí murjhá jáeṉge,
Aur apne qil‘oṉ se thartharáte húe nikleṉge.
47 Ḳhudáwand zinda hai; merí chaṭán mubárak ho,
Aur Ḳhudá merí naját kí chaṭán mumtáz ho.
48Wuhí Ḳhudá jo merá intiqám letá hai,
Aur ummatoṉ ko mere tábi‘ kar detá hai,
49Aur mujhe mere dushmanoṉ ke bích se nikáltá hai:
Háṉ, tú mujhe mere muḳhálifoṉ par sarfaráz kartá hai:
Tú mujhe tundḳhú ádmí se riháí detá hai.
50Is liye, ai Ḳhudáwand, maiṉ qaumoṉ ke darmiyán terí shukrguzárí,
Aur tere nám kí madhsaráí karúṉgá.
51Wuh apne bádsháh ko baṛí naját ‘ináyat kartá hai:
Aur apne mamsúh Dáúd aur us kí nasl par
Hamesha shafaqat kartá hai
Currently Selected:
2 Samúel 22: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)