2 Samúel 21
21
1Aur Dáúd ke aiyám meṉ pai dar pai tín sál kál paṛá; aur Dáúd ne Ḳhudáwand se daryáft kiyá. Ḳhudáwand ne farmáyá, ki Yih Sáúl aur us ke ḳhúnrez gharáne ke sabab se hai, kyúṉki us ne Jiba‘úníoṉ ko qatl kiyá. 2Tab bádsháh ne Jiba‘úníoṉ ko bulákar un se bát kí. Yih Jiba‘úní baní Isráíl meṉ se nahíṉ balki bache húe Amoríoṉ meṉ se the; aur baní Isráíl ne un se qasam kháí thí; aur Sáúl ne baní Isráíl aur baní Yahúdáh kí ḳhátir apní garmjoshí meṉ un ko qatl kar ḍálná cháhá thá. 3So Dáúd ne Jiba‘úníoṉ se kahá, Maiṉ tumháre liye kyá karúṉ, aur maiṉ kis chíz se kaffára dúṉ, táki tum Ḳhudáwand kí mírás ko du‘á do? 4Jiba‘úníoṉ ne us se kahá, ki Hamáre aur Sáúl yá us ke gharáne ke darmiyán chándí yá sone ká koí mu‘ámala nahíṉ; aur na ham ko yih iḳhtiyár hai, ki ham Isráíl ke kisí mard ko ján se máreṉ. Us ne kahá, Jo kuchh tum kaho maiṉ wuhí tumháre liye karúṉgá. 5Unhoṉ ne bádsháh ko jawáb diyá, ki Jis shaḳhs ne hamárá nás kiyá, aur hamáre ḳhiláf aisí tadbír nikálí ki ham nábúd kiye jáeṉ, aur Isráíl kí kisí mamlukat meṉ báqí na raheṉ, 6usí ke beṭoṉ meṉ se sát ádmí hamáre hawále kar diye jáeṉ, aur ham un ko Ḳhudáwand ke liye Ḳhudáwand ke chune húe Sáúl ke Jibi‘ah meṉ laṭká deṉge. Bádsháh ne kahá, Maiṉ de dúṉgá. 7Lekin bádsháh ne Mifíbosat bin Yúnatan bin Sáúl ko Ḳhudáwand kí qasam ke sabab se, jo un ke ya‘ní Dáúd aur Sáúl ke beṭe Yúnatan ke darmiyán húí thí, bachá rakkhá. 8Par bádsháh ne Aiyáh kí beṭí Risfah ke donoṉ beṭoṉ Armoní aur Mifíbosat ko, jo Sáúl se húe the, aur Sáúl kí beṭí Míkal ke páṉchoṉ beṭoṉ ko jo Barzillí Mahúlátí ke beṭe ‘Adríel se húe the lekar 9un ko Jiba‘úníoṉ ke hawále kiyá, aur unhoṉ ne un ko paháṛ par Ḳhudáwand ke huzúr laṭká diyá: so wuh sátoṉ ek sáth mare: yih sab fasl káṭne ke aiyám meṉ, ya‘ní jau kí fasl ke shurú‘ ke dinoṉ meṉ máre gaye. 10Tab Aiyáh kí beṭí Risfah ne táṭ liyá, aur fasl ke shurú‘ se us ko apne liye chaṭán par bichháe rahí, jab tak ki ásmán se un par bárish na húí, aur us ne na to din ke waqt hawá ke parandoṉ ko, aur na rát ke waqt janglí darandoṉ ko un par áne diyá. 11Aur Dáúd ko batáyá gayá, ki Sáúl kí haram Aiyáh kí beṭí Risfah ne aisá aisá kiyá. 12Tab Dáúd ne jákar Sáúl kí haḍḍiyoṉ ko, aur us ke beṭe Yúnatan kí haḍḍiyoṉ ko Jili‘ád ke logoṉ se liyá jo un ko Baitshán ke chauk meṉ se churá láe the, jaháṉ Filistíoṉ ne un ko, jis din ki unhoṉ ne Sáúl ko Jilbú‘a meṉ qatl kiyá, ṭáṉg diyá thá. 13So wuh Sáúl kí haḍḍiyoṉ aur us ke beṭe Yúnatan kí haḍḍiyoṉ ko waháṉ se le áyá, aur unhoṉ ne un kí bhí haḍḍiyáṉ jama‘ kíṉ jo laṭkáe gaye the. 14Aur unhoṉ ne Sáúl aur us ke beṭe Yúnatan kí haḍḍiyoṉ ko Zila‘ meṉ jo Binyamín kí sarzamín meṉ hai, usí ke bap Qís kí qabr meṉ dafn kiyá; aur unhoṉ ne jo kuchh bádsháh ne farmáyá sab púrá kiyá. Is ke ba‘d Ḳhudá ne us mulk ke báre meṉ du‘á suní.
15Aur Filistí phir Isráílíoṉ se laṛe; aur Dáúd apne ḳhádimoṉ ke sáth niklá, aur Filistíoṉ se laṛá; aur Dáúd bahut thak gayá. 16Aur Ishbí Banob ne, jo deozádoṉ meṉ se thá, aur jis ká neza wazn meṉ pítal kí tín sau misqál thá, aur wuh ek nayí talwár báṉdhe thá, cháhá ki Dáúd ko qatl kare. 17Par Zarúyáh ke beṭe Abíshai ne us kí kumak kí, aur us Filistí ko aisí zarb lagáí, ki use már diyá. Tab Dáúd ke logoṉ ne qasam khákar us se kahá, ki Tú phir kabhí hamáre sáth jang par nahíṉ jáegá, tá na ho ki tú Isráíl ká chirág̣ bujhá de.
18Is ke ba‘d Filistíoṉ ke sáth phir Júb meṉ laṛáí húí: tab Húsátí Sibkí ne Saf ko jo deozádoṉ meṉ se thá qatl kiyá. 19Aur phir Filistíoṉ se Júb meṉ ek âur laṛáí húí: tab Ilhanán bin Ya‘rí Árijím ne jo Baitlahm ká thá, Játí Júliyat ko qatl kiyá, jis ke neze kí chhaṛ juláhe ke shahtír kí tarah thí. 20Phir Ját meṉ laṛáí húí, aur waháṉ ek baṛá qaddáwar shaḳhs thá; us ke donoṉ háthoṉ aur donoṉ páṉwoṉ meṉ chha chha ungliyáṉ thíṉ jo sab kí sab gintí meṉ chaubís thíṉ, aur yih bhí us deo se paidá húá thá. 21Jab is ne Isráílíoṉ kí fazíhat kí, to Dáúd ke bháí Sima‘í ke beṭe Yúnatan ne use qatl kiyá. 22Yih chároṉ us deo se Ját meṉ paidá húe the, aur wuh Dáúd ke háth se aur us ke ḳhádimoṉ ke háth se máre gaye.
Currently Selected:
2 Samúel 21: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)