YouVersion Logo
Search Icon

2 Samúel 20

20
1Aur waháṉ ek sharír Binyamíní thá, aur us ká nám Siba‘ bin Bikrí thá: us ne narsingá phúṉká, aur kahá, ki Dáúd meṉ hamárá koí hissa nahíṉ, aur na hamárí mírás Yassí ke beṭe ke sáth hai: ai Isráílío, apne apne ḍere ko chale jáo. 2So sab Isráílí Dáúd kí pairawí chhoṛkar Siba‘ bin Bikrí ke píchhe ho liye: lekin Yahúdáh ke log Yardan se Yarúshalem tak apne bádsháh ke sáth hí sáth rahe.
3Aur Dáúd Yarúshalem meṉ apne mahall meṉ áyá. Aur bádsháh ne apní un dasoṉ haramoṉ ko, jin ko wuh apne ghar kí nigahbání ke liye chhoṛ gayá thá, lekar un ko nazarband kar diyá, aur un kí parwarish kartá rahá, par un ke pás na gayá. So unhoṉ ne apne marne ke din tak nazarband rahkar ranḍápe kí hálat meṉ zindagí káṭí.
4Aur bádsháh ne ‘Amásá ko hukm kiyá, ki Tín din ke andar baní Yahúdáh ko mere pás jama‘ kar, aur tú bhí yaháṉ házir ho. 5So ‘Amásá baní Yahúdáh ko faráham karne gayá, par wuh mu‘aiyana waqt se jo us ne us ke liye muqarrar kiyá thá ziyáda ṭhahrá. 6Tab Dáúd ne Abíshai se kahá, ki Siba‘ bin Bikrí to ham ko Abísalom se ziyáda nuqsán pahuṉcháegá; so tú apne málik ke ḳhádimoṉ ko lekar us ká píchhá kar; tá na ho ki wuh fasíldár shahroṉ ko lekar hamárí nazar se bach nikle. 7So Yoáb ke ádmí, aur Karetí, aur Faletí, aur sab bahádur us ke píchhe ho liye, aur Yarúshalem se nikle táki Siba‘ bin Bikrí ká píchhá kareṉ. 8Aur jab wuh us baṛe patthar ke nazdík pahuṉche jo Jiba‘ún meṉ hai to ‘Amásá un se milne ko áyá. Aur Yoáb apná jangí libás pahine thá, aur us ke úpar ek paṭká thá, jis se ek talwár miyán meṉ paṛí húí us kí kamar meṉ bandhí thí; aur us ke chalte chalte wuh nikal paṛí. 9So Yoáb ne ‘Amásá se kahá, Ai mere bháí, tú ḳhairíyat se hai? Aur Yoáb ne ‘Amásá kí dáṛhí apne dahine háth se pakṛí, ki us ko bosa de. 10Aur ‘Amásá ne us talwar ká jo Yoáb ke háth meṉ thí ḳhayál na kiyá: so us ne us se us ke peṭ meṉ aisá márá, ki us kí aṉtṛiyáṉ zamín par nikal paṛíṉ, aur us ne dúsrá wár na kiyá; so wuh mar gayá. Phir Yoáb aur us ká bháí Abíshai Siba‘ bin Bikrí ká píchhá karne chale. 11Aur Yoáb ke jawánoṉ meṉ se ek shaḳhs us ke pás khaṛá ho gayá, aur kahne lagá, ki Jo koí Yoáb se rází hai aur jo koí Dáúd kí taraf hai, so Yoáb ke píchhe ho le. 12Aur ‘Amásá saṛak ke bích apne ḳhún meṉ loṭ rahá thá. Aur jab us shaḳhs ne dekhá, kí sab log khaṛe ho gaye hain, to wuh ‘Amásá ko saṛak par se maidán meṉ uṭhá le gayá; aur jab yih dekhá, ki jo koí us ke pás átá hai, khaṛá ho játá hai, to us par ek kapṛá ḍál diyá. 13Aur jab wuh saṛak par se haṭá liyá gayá, to sab log Yoáb ke píchhe Siba‘ bin Bikrí ká píchhá karne chale. 14Aur wuh Isráíl ke sab qabíloṉ meṉ se hotá húá Abíl, aur Bait Ma‘kah, aur sab Bíríoṉ tak pahuṉchá, aur wuh sab bhí jama‘ hokar us ke píchhe chale. 15Aur unhoṉ ne ákar use Bait Ma‘kah ke Abíl meṉ gher liyá, aur shahr ke sámne aisá damdama báṉdhá, ki wuh fasíl ke barábar rahá; aur sab logoṉ ne jo Yoáb ke sáth the díwár ko toṛná shurú‘ kiyá, táki use girá deṉ. 16Tab ek dánishmand ‘aurat shahr meṉ se pukárkar kahne lagí, ki Zará Yoáb se kah do ki yaháṉ áe, táki maiṉ us se kuchh kahúṉ. 17So wuh us ke nazdík áyá; us ‘aurat ne us se kahá, Kyá tú Yoáb hai? Us ne kahá, Háṉ. Tab wuh us se kahne lagí, Apní lauṉḍí kí báteṉ sun. Us ne kahá, Maiṉ suntá húṉ. 18Tab wuh kahne lagí, ki Qadím zamáne meṉ yúṉ kahá karte the, ki Wuh zarúr Abíl meṉ saláh púchheṉge; aur is tarah wuh bát ko ḳhatm karte the. 19Aur maiṉ Isráíl meṉ un logoṉ meṉ se húṉ jo sulhpasand aur diyánatdár haiṉ; tú cháhtá hai, ki ek shahr aur máṉ ko Isráílíoṉ ke darmiyán halák kare: so tú kyúṉ Ḳhudáwand kí mírás ko nigalná cháhtá hai? 20Yoáb ne jawáb diyá, Mujh se hargiz, hargiz aisá na ho, ki maiṉ nigal jáúṉ, yá halák karúṉ. 21Bát yih nahíṉ hai, balki Ifráím ke kohistání mulk ke ek shaḳhs ne, jis ká nám Siba‘ bin Bikrí hai, bádsháh ya‘ní Dáúd ke ḳhiláf háth uṭháyá hai: so faqat usí ko mere hawále kar de, to maiṉ shahr se chalá jáúṉgá. Us ‘aurat ne Yoáb se kahá, Dekh, us ká sir díwár par se tere pás pheṉk diyá jáegá. 22Tab wuh ‘aurat apní dánáí se sab logoṉ ke pás gayí. So unhoṉ ne Siba‘ bin Bikrí ká sir káṭkar use báhar Yoáb kí taraf pheṉk diyá. Tab us ne narsingá phúṉká, aur log shahr se alag hokar apne apne ḍere ko chale gaye. Aur Yoáb Yarúshalem ko bádsháh ke pás lauṭ áyá.
23Aur Yoáb Isráíl ke sáre lashkar ká sardár thá, aur Bináyáh bin Yahoyada‘ Karetíoṉ aur Faletíoṉ ká sardár thá; 24aur Adorám ḳhiráj ká dárog̣a thá; aur Aḳhílúd ká beṭá Yahúsafat muarriḳh thá; 25aur Siwá munshí thá; aur Sadoq aur Abíyátar káhin the; 26aur ‘Írá Yáirí bhí Dáúd ká ek káhin thá.

Currently Selected:

2 Samúel 20: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in