2 Samúel 19
19
1Aur Yoáb ko batáyá gayá, ki Dekh, bádsháh Abísalom ke liye nauha aur mátam kar rahá hai. 2So tamám logoṉ ke liye us din kí fath mátam se badal gayí, kyúṉki logoṉ ne us din yih kahte suná ki Bádsháh apne beṭe ke liye dilgír hai. 3So wuh log us din chorí se shahr meṉ ghuse, jaise wuh log jo laṛáí se bhágte haiṉ sharm ke máre chorí chorí chalte haiṉ. 4Aur bádsháh ne apná muṉh ḍháṉk liyá, aur bádsháh baland áwáz se chilláne lagá, ki Háe, mere beṭe Abísalom, háe, Abísalom, mere beṭe, mere beṭe! 5Tab Yoáb ghar meṉ bádsháh ke pás jákar kahne lagá, ki Tú ne áj apne sab ḳhádimoṉ ko sharmsár kiyá, jinhoṉ ne áj ke din terí ján aur tere beṭoṉ aur terí beṭiyoṉ kí jáneṉ, aur terí bíwiyoṉ kí jáneṉ, aur terí haramoṉ kí jáneṉ bacháíṉ; 6kyúṉki tú apne ‘adáwat rakhnewáloṉ ko piyár kartá hai, aur apne dostoṉ se ‘adáwat rakhtá hai. Is liye ki tú ne áj ke din záhir kar diyá, ki sardár aur ḳhádim tere nazdík beqadr haiṉ; kyúṉki áj ke din maiṉ dekhtá húṉ, ki agar Abísalom jítá rahtá, aur ham sab mar játe, to tú bahut ḳhush hotá. 7So ab uṭh, báhar nikal, aur apne ḳhádimoṉ se tasallíbaḳhsh báteṉ kar, kyúṉki maiṉ Ḳhudáwand kí qasam khátá húṉ, ki agar tú báhar na jáe, to áj rát ko ek ádmí bhí tere sáth nahíṉ rahegá; aur yih tere liye un sab áfatoṉ se badtar hogá jo terí naujawání se lekar ab tak tujh par áí haiṉ. 8So bádsháh uṭhkar pháṭak meṉ já baiṭhá: aur sab logoṉ ko batáyá gayá, ki Dekho, bádsháh pháṭak meṉ baiṭhá hai: tab sab log bádsháh ke sámne áe.
Aur Isráílí apne apne ḍere ko bhág gaye the. 9Aur Isráíl ke qabíloṉ ke bích sab logoṉ meṉ jhagṛá thá, aur wuh kahte the, ki Bádsháh ne hamáre dushmanoṉ ke háth se aur Filistíoṉ ke háth se ham ko bacháyá; aur ab wuh Abísalom ke sámne se mulk chhoṛkar bhág gayá hai. 10Aur Abísalom jise ham ne masah karke apná hákim banáyá thá laṛáí meṉ mar gayá hai. So tum ab bádsháh ko wápas láne kí bát kyúṉ nahíṉ karte?
11Tab Dáúd bádsháh ne Sadoq aur Abíyátar káhinoṉ ko kahlá bhejá, ki Yahúdáh ke buzurgoṉ se kaho, ki Tum bádsháh ko us ke mahall meṉ pahuṉcháne ke liye sab se píchhe kyúṉ hote ho, jis hál ki sáre Isráíl kí bát use us ke mahall meṉ pahuṉcháne ke báre meṉ bádsháh tak pahuṉchí hai? 12Tum to mere bháí, aur merí haḍḍí aur gosht ho: phir tum bádsháh ko wápas le jáne ke liye sab se píchhe kyúṉ ho? 13Aur ‘Amásá se kahná, Kyá tú merí haḍḍí aur gosht nahíṉ? so agar tú Yoáb kí jagah mere huzúr hamesha ke liye lashkar ká sardár na ho, to Ḳhudá mujh se aisá hí, balki is se bhí ziyáda kare. 14Aur us ne sab baní Yahúdáh ká dil ek ádmí ke dil kí tarah máil kar liyá; chunáṉchi unhoṉ ne bádsháh ko paig̣ám bhejá, ki Tú apne sab ḳhádimoṉ ko sáth lekar lauṭ á. 15So bádsháh lauṭkar Yardan par áyá. Aur sab baní Yahúdáh Jiljál ko gaye, ki bádsháh ká istiqbál kareṉ, aur use Yardan ke pár le áeṉ.
16Aur Jirá ke beṭe Binyamíní Sima‘í ne jo Bahúrím ká thá jaldí kí, aur baní Yahúdáh ke sáth Dáúd bádsháh ke istiqbál ko áyá. 17Aur us ke sáth ek hazár Binyamíní jawán the; aur Sáúl ke gharáne ká ḳhádim Zíbá apne pandrah beṭoṉ aur bís naukaroṉ samet áyá; aur wuh bádsháh ke sámne Yardan ke pár utre. 18Aur ek kishtí pár gayí, ki bádsháh ke gharáne ko le áe, aur jo kám use munásib ma‘lúm ho, use kare. Aur Jirá ká beṭá Sima‘í bádsháh ke sámne jaise hí wuh Yardan pár húá, auṉdhá hokar girá, 19aur bádsháh se kahne lagá, ki Merá málik merí taraf gunáh mansúb na kare, aur jis din merá málik bádsháh Yarúshalem se niklá, us din jo kuchh tere ḳhádim ne badmizájí se kiyá, use aisá yád na rakh, ki bádsháh us ko apne dil meṉ rakkhe. 20Kyúṉki terá banda yih jántá hai, ki maiṉ ne gunáh kiyá hai; aur dekh, áj ke din maiṉ hí Yúsuf ke gharáne meṉ se pahle áyá húṉ, ki apne málik bádsháh ká istiqbál karúṉ. 21Zarúyáh ke beṭe Abíshai ne jawáb diyá, Kyá Sima‘í is sabab se márá na jáe, ki us ne Ḳhudáwand ke mamsúh par la‘nat kí? 22Dáúd ne kahá, Ai Zarúyáh ke beṭo, mujhe tum se kyá kám, ki tum áj ke din mere muḳhálif húe ho? kyá Isráíl meṉ se koí ádmí áj ke din qatl kiyá jáe? kyá maiṉ yih nahíṉ jántá, ki maiṉ áj ke din Isráíl ká bádsháh húṉ? 23Aur bádsháh ne Sima‘í se kahá, Tú márá nahíṉ jáegá. Aur bádsháh ne us se qasam kháí.
24Phir Sáúl ká beṭá Mifíbosat bádsháh ke istiqbál ko áyá; us ne bádsháh ke chale jáne ke din se lekar us ke salámat ghar á jáne ke din tak na to apne páṉwon par paṭṭiyáṉ báṉdhíṉ, aur na apní dáṛhí katarwáí, aur na apne kapṛe dhulwáe the. 25Aur aisá húá, ki jab wuh Yarúshalem meṉ bádsháh se milne áyá, to bádsháh ne us se kahá, Ai Mifíbosat, tú mere sáth kyúṉ nahíṉ gayá thá? 26Us ne jawáb diyá, Ai mere málik bádsháh, mere naukar ne mujh se dag̣á kí: kyúṉki tere ḳhádim ne kahá thá, ki Maiṉ apne liye gadhe par zín kasúṉgá, táki maiṉ sawár hokar bádsháh ke sáth jáúṉ; is liye ki terá ḳhádim laṉgṛá hai. 27So us ne mere málik bádsháh ke huzúr tere ḳhádim par buhtán lagáyá; par merá málik bádsháh to Ḳhudá ke firishte kí mánind hai: so jo kuchh tujhe achchhá ma‘lúm ho, so kar. 28Kyúṉki mere báp ká sárá gharáná mere málik bádsháh ke áge murdoṉ kí mánind thá: taubhí tú ne apne ḳhádim ko un logoṉ ke bích biṭháyá jo tere dastarḳhwán par kháte the. Pas, kyá ab bhí merá koí haqq hai, ki maiṉ bádsháh ke áge phir faryád karúṉ? 29Bádsháh ne us se kahá, Tú apní báteṉ kyúṉ bayán kartá játá hai? maiṉ kahtá húṉ, ki Tú aur Zíbá donoṉ ápas meṉ us zamín ko báṉṭ lo. 30Aur Mifíbosat ne bádsháh se kahá, Wuhí sab le le; is liye ki merá málik bádsháh apne ghar meṉ phir salámat á gayá hai.
31Aur Barzillí Jili‘ádí Rájilím se áyá, aur bádsháh ke sáth Yardan pár gayá, táki use Yardan ke pár pahuṉcháe. 32Aur yih Barzillí niháyat ‘umr rasída ádmí, ya‘ní assí baras ká thá: us ne bádsháh ko, jab tak wuh Mahanáyim meṉ rahá, rasad pahuṉcháí thí; is liye ki wuh bahut baṛá ádmí thá. 33So bádsháh ne Barzillí se kahá, ki Tú mere sáth pár chal, aur maiṉ Yarúshalem meṉ apne sáth terí parwarish karúṉgá. 34Aur Barzillí ne bádsháh ko jawáb diyá, ki Merí zindagí ke din hí kitne haiṉ jo maiṉ bádsháh ke sáth Yarúshalem ko jáúṉ? 35Áj maiṉ assí baras ká húṉ: kyá maiṉ bhale aur bure meṉ imtiyáz kar saktá húṉ? kyá terá banda jo kuchh khátá pítá hai, us ká mazá ján saktá hai? kyá maiṉ gánewáloṉ aur gánewáliyoṉ kí áwáz phir sun saktá húṉ? pas terá banda apne málik bádsháh par kyúṉ bár ho? 36Terá banda faqat Yardan ke pár tak bádsháh ke sáth jáná cháhtá hai; so bádsháh mujhe aisá baṛá ajr kyúṉ de? 37Apne bande ko lauṭ jáne de, táki maiṉ apne shahr meṉ apne báp aur máṉ kí qabr ke pás marúṉ. Par dekh, terá banda Kimhám házir hai; wuh mere málik bádsháh ke sáth pár jáe; aur jo kuchh tujhe bhalá ma‘lúm de, us se kar. 38Tab bádsháh ne kahá, ki Kimhám mere sáth pár chalegá, aur jo kuchh tujhe bhalá ma‘lúm ho, wuhí maiṉ us ke sáth karúṉgá, aur jo kuchh tú cháhegá, maiṉ tere liye wuhí karúṉgá. 39Aur sab log Yardan ke pár ho gaye. Aur bádsháh bhí pár húá; phir bádsháh ne Barzillí ko chúmá, aur use du‘á dí, aur wuh apní jagah ko lauṭ gayá.
40So bádsháh Jiljál ko rawána húá, aur Kimhám us ke sáth chalá: aur Yahúdáh ke sab log, aur Isráíl ke logoṉ meṉ se bhí adhe bádsháh ko pár láe. 41Tab Isráíl ke sab log bádsháh ke pás ákar us se kahne lage, ki Hamáre bháí baní Yahúdáh tujhe kyúṉ chorí se le áe, aur bádsháh ko, aur us ke gharáne ko aur Dáúd ke sáth jitne the un ko Yardan ke pár se láe? 42Tab sab baní Yahúdáh ne baní Isráíl ko jawáb diyá, Is liye ki bádsháh ká hamáre sáth nazdík ká rishta hai; so tum is bát ke sabab se náráz kyúṉ húe? kyá ham ne bádsháh ke dám ká kuchh khá liyá hai? yá us ne ham ko kuchh in‘ám diyá hai? 43Phir baní Isráíl ne baní Yahúdáh ko jawáb diyá, ki Bádsháh meṉ hamáre das hisse haiṉ, aur hamárá haqq bhí Dáúd par tum se ziyáda hai: pas tum ne kyúṉ hamárí hiqárat kí, ki bádsháh ke lauṭá láne meṉ pahle ham se saláh nahíṉ lí? Aur baní Yahúdáh kí báteṉ baní Isráíl kí bátoṉ se ziyáda saḳht thíṉ.
Currently Selected:
2 Samúel 19: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)