Isráíl ke Ḳhudá ne farmáyá,
Isráíl kí Chaṭán ne mujh se kahá:
Ek hai jo sadáqat se logoṉ par hukúmat kartá hai,
Jo Ḳhudá ke ḳhauf ke sáth hukúmat kartá hai.
Wuh subh kí raushní kí mánind hogá, jab súraj nikaltá hai,
Aisí subh jis meṉ bádal na hoṉ;
Jab narm narm ghás zamín meṉ se
Bárish ke ba‘d kí sáf chamak ke bá‘is nikaltí hai.