YouVersion Logo
Search Icon

2 Patras 1

1
1Shamaʻún Patras kí taraf se, jo Yisúʻ Masíh ká banda aur rasúl hai, un logoṉ ke nám jinhoṉ ne hamáre Ḳhudá aur Munjí Yisúʻ Masíh kí rástbází ke sabab hamárá sá qímatí ímán páyá hai. 2Ḳhudá, aur hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ kí pahchán ke sabab fazl aur itmínán tumheṉ ziyáda hotá rahe; 3kyúṉki us kí iláhí qudrat ne wuh sab chízeṉ jo zindagí aur díndári se mutaʻalliq haiṉ, hameṉ us ki pahchán ke wasíle se ʻináyat kiṉ, jis ne ham ko apne ḳháss jalál aur nekí ke zaríʻe se buláyá; 4jin ke báʻis us ne ham se qímatí aur niháyat baṛe waʻde kiye, táki un ke wasíle se tum us ḳharábí se chhúṭkar, jo dunyá meṉ burí ḳhwáhish ke sabab se hai, zát i iláhí meṉ sharík ho jáo. 5Pas isí báʻis tum apní taraf se kamál koshish karke, apne ímán par nekí, aur nekí par maʻrifat, 6aur maʻrifat par parhezgárí, aur parhezgárí par sabr, aur sabr par díndárí, 7aur díndárí par birádarána ulfat, aur birádarána ulfat par mahabbat baṛháo. 8Kyúṉki agar yih báteṉ tum meṉ maujúd hoṉ, aur ziyáda bhí hotí jáeṉ, to tum ko hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke pahchánne meṉ bekár aur bephal na hone deṉgí. 9Aur jis meṉ yih báteṉ na hoṉ, wuh andhá hai, aur kotáhnazar, aur apne pahle gunáhoṉ ke dhoe jáne ko bhúle baiṭhá hai. 10Pas, ai bháiyo, apne buláwe aur barguzídagí ko sábit karne kí ziyáda koshish karo: kyúṉki agar aisá karoge, to kabhí ṭhokar na kháoge: 11balki is se tum hamáre Ḳhudáwand aur Munjí Yisúʻ Masíh kí abadí bádsháhat meṉ baṛí ʻizzat ke sáth dáḳhil kiye jáoge.
12Is liye maiṉ tumheṉ yih báteṉ yád diláne ko hamesha mustaʻidd rahúṉgá; agarchi tum un se wáqif aur us haqq bát par qáim ho, jo tumheṉ hásil hai. 13Aur jab tak maiṉ is ḳhaime meṉ húṉ, tumheṉ yád dilá dilákar ubhárná apne úpar wájib samajhtá húṉ; 14kyúṉki hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke batáne ke muwáfiq mujhe maʻlúm hai, ki mere ḳhaime ke giráe jáne ká waqt jald ánewálá hai. 15Pas maiṉ aisí koshish karúṉgá, ki mere intiqál ke baʻd tum in bátoṉ ko hamesha yád rakh sako. 16Kyúṉki jab ham ne tumheṉ apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí qudrat aur ámad se wáqif kiyá thá, to dagábází kí ghaṛí húí kahániyoṉ kí pairawí nahíṉ kí thí, balki ḳhud us kí ʻazmat ko dekhá thá. 17Ki us ne Ḳhudá Báp se us waqt ʻizzat aur jalál páyá, jab us afzal jalál meṉ se use yih áwáz áí, ki Yih merá piyárá Beṭá hai, jis se maiṉ ḳhush húṉ: 18aur jab ham us ke sáth muqaddas paháṛ par the, to ásmán se yihí áwáz átí suní. 19Aur hamáre pás nabíoṉ ká wuh kalám hai, jo ziyáda muʻtabar ṭhahrá; aur tum achchhá karte ho, jo yih samajhkar us par gaur karte ho, ki wuh ek chirág hai, jo andherí jagah meṉ raushní baḳhshtá hai, jab tak pau na phaṭe, aur subh ká sitára tumháre diloṉ meṉ na chamke: 20aur pahle yih ján lo, ki kitáb i muqaddas kí kisí nubuwwat kí bát kí táwíl kisí ke zátí iḳhtiyár par mauqúf nahíṉ. 21Kyúṉki nubuwwat kí koí bát ádmí kí ḳhwáhish se kabhí nahíṉ húí, balki ádmí Rúhuʼl Quds kí tahrík ke sabab Ḳhudá kí taraf se bolte the.

Currently Selected:

2 Patras 1: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in